Pakistan Kay Shehroon Kay Halaat Tou Buray Hain Hi Lekin Aab Gaun Aur Dehaat Jo Pehlay Hi Sailaab Say Mutasir Hain, Wahan Bhi Mehngai 30 % Tak Pohanchgai Hai.
Mulk Ki Tareekh Main Pehli Baar Inflation ( Mehngai) Nay Rural Areas Ko Bhi Mutasir Kerdia Hay. Urban Areas Main Mehngai 27 % Tak Pauhanch Gaei Hay.
Pakistan Bhar Main Piyaaz 68%,Tamatar 41%,Cooking Oil 3%,Aata 9%,Milk 6%,Chicken 4%,Electricity charges 89% Aur Medicines 2.5% Barhi Hain.
Economic Experts Ka Kehna Hai Kay Ye 27% Inflation Yearly Electricity Prices Ko Understate Kernay Kay Bawajoud Hay. Mahireen Ko Mehngai Ki Raftar Aagay Bhi Mazeed Barhti Hoi Dekhai Dai Rahi Hay.