Kiya Pakistan Default Kay Risk Per Agaya Hay?  5 Saal Kay Credit Default Swap (CDS) Say Measure Kiye Gaei Adadou Shumaar Kay Mutabiq, Tuesday Ko 3.07 % Points Upar Chala Gaya Jo Kay 13 Saal Ka Buland Tareen Figure hay.

February 2020, Pakistan Main Covid-19 Kay Pandamic key Doraan CDS 5% Say 6% Darmiyan Tha.

Iss Saal Jab IMF Loan Program Ki Taraf Say Kuch Khas Support Nazar Nahe Arahi, Taab tab Yeh 30% Tak Pohanch Gaya Tha.

CDS Thora Bauhat Uss Waqt Recover Hoa Jaab Global Lender Nay Apnay  6.5 Billion Dollar Kay Program Ko Dobara August 2022 Shuru Kiya, Jis Ki Waja Say 1.2 Billion Dollar Ka Loan Kaam Hoa.

Inn Dino CDS Dobara Upar Jatay Hoay Nazar Araha Hay. Iss Say Foreign Investors Ko Ye Andaza Horaha Hay Kay Pakistan Apni Maturing Debt Ko Repay Nahe Ker Sakay Ga.

Mulk Ko December 2022 Taak Foreign Investors Ko 1 Billion Dollar Wapis Kerna Hain .

Pakistan Kay Foreign Exchange Reserves 10 Mahinay Main $9 Billion Kam Huye Hain. Is Waja Say Foreign Investors Kafi Pareshani Ka Shikaar Hoay Hain.

Mulk Kay Foreign Reserves Iss Waqt 7.6 Billion Dollars Kay Tashveeshnak Level Par Aa Chukay Hain. Yani Iss Waqt Sirf Aik Mahinay Ka Import Cover Baqi Hai. Jabkay August 2021 Main Reserves 20 Billion Dollors Thay Yani 3 Mahinay Ka Import Cover Tha.

Finance Minister Ishaq Dar Ka Kehna Hay Kay Mulk Ko Default Say Bachay Ki Unhonay Tayaari Kerli Hay. Unhonay Foreign Investors Say Time Manga Hay Aur Un Ko Yaqeen Dilaya Hay Kay Pakistan Ba Aasani 1 Billion Dollar Ka Loan December 2022 Taak Repay Kerdai Ga.

Ismail Iqbal, Securities Research Kay Head Fahad Rauf Nay Kaha Hay Kay "Moody's Aur Fitch Nay Jo Pakistan Ki Rating Ko downgrade Kiya Hai Uski Waja Say Bhi Foreign Investors Aur Ziada Ghabra Gaey Hain Aur Invest Kernay May Hesitate Ker Rahay Hain." In 2 agencies Nay Ratings Kay Kam Honay Ki Waja Floods Ki Waja Say 30 -40 Billion Dollars Kay Nuqsaan Ko Qaraar Diya Hay.

شیئر

جواب لکھیں