Government Ne Agriculture Sector Kay Liay Recently Package Announce Kia Tha. Aur Sath Hi Export-Oriented Sectors Ke Liye Concessional Electricity Ka Ailan Bhi Kia Tha, Wo Bhi Rs. 1800 Billion Ka.

IMF Is Package Se Naraz Hay Aur Kehta Hay Ke Pakistani Government Ko Issey New Tax Measures Ke Zariay Reverse Ya Compensate Karna Chahiye.

Government Ko Pehle Bhi Kisi Bhi Qisam Ke Tax Concession Se Aur Exemption Dainay Say Roka Gaya Tha.

Needed Consolidation:

FY22 Main GDP Kay 0.3 Ka Primary Surplus Target Poora Na Honay Kay Baad Government Ko Sakht Steps Ki Zarurat Hay.

Par Yahan Tou Samajh Hi Nai Aa Rahi Ke FY23 Liye Kia Plan Kiya Jae. Jis Mein Haal Hi Mein Aanay Walay Floods Ke Nuksanaat Bhi Shamil Hein. IMF Kay Targets Pooray Karnay Kay Liay Spendings Ki Behtar bananay Ya New tax measured uthanay ki zaroorat hay.

Han, Agar Revenue Mein Shortfall Aata Hai Ek Mahine Ke Liye Bhi Tou Uske Liye Ek PLAN Phr Bhi Maujood Hai, The Seventh & Eight Review Mein.

Yani Girne Se Bachne Ka Nahi, Par Gir K Uthne Ka Plan Zaroor Tayar Hai.

IMF Ka Government Ko Order:

Commitment Kay Mutabiq Tax-To-GDP Revenue Ko Wapis Liya Jae, Takreeban 11% Tak, Taakay Revenue Base Aur Mazboot Ho. Aur PDL Adjustment Ko Mazeed Delay Na Kiya Jae Aur Foran Increase Kiya Jae. Taakey GDP Main 1 Percent Tak Revenue Generate Ho.

Electricity Tariff Ko Barhaya Jaey (Quarterly Adjustments Aur Monthly FCAs) Jo Iss Sector Ke Liye Mazbooti Ka Bais Banega.

IMF Ne Aagey Ye Bhi Kaha Ke FY23 Ka Koi Bhi Circular Debt Management Plan (CDMP) Denay Se Pehle Ek Proper Cabinet Approval Hona Lazmi Hai. Jo Ap Ko WB Aur ADB Ke Circular Debt Accumulation Mein Ek Sustainable Reduction Dey Sakti Hai.

Aagey Ye Bhi Farmaya Ke Kisi Bhi Sector Mein Mazeed Koi Nayi Subsidies Ki Announcement, Chahay Wo Electricity Ke Liye Ho, Power Sector Ko Commitment Ho, Hum Say Puchhe Baghair Na Ki Jae.

Monetary Policy, Interest Rate Ko Low Karar Diya IMF Ne:

IMF Ne Kaha Ka Real Policy Rate Kaafi Negative Hai (The Highest Among Middle East And Central Asia). Aagey Monetary Policy Tightening Chahiye Taakay Inflation Jo Itna Barh Gai Hai Usse Kam Kiya Ja Sakay. 23% Headline Inflation Aur 14.5% Core Inflation Kay Muqablay Par Policy Rate 15% Hai.

Exchange Rate Ko Azaadi Se Move Karna Chahiye, Forex Intervention Ko Targets Kay Mutabiq Limited Kardiya Jae Aur Jo Plan Diya Gea Hai Uske Mutabiq Gross Reserve Targets Ko Sahi Se Banaya Jae .

شیئر

جواب لکھیں