iPhone Kay Shoqeen Afraad Ko Naya Model Lenay Main Intezar Kuch Taweel Kerna Hoga. iPhone 14 Pro Aur iPhone Pro Max Ki Tayari Main Takheer Horahi Hay Aur Iss Liye iPhone Ki Supply Delayed Hogai Hay.

iPhone Tayar Kernay Wali Apple Company Nay Apnay Customers Ko Bataya Hay Kay New Products Ki Market Aamaad Delay Ho Jai Gi.

Aisa Iss Liye Hoa Kion Kay China Main Yeh Products Tayar Kernay Wali Assemly Factory Main Production Kaafi Kam Hoi Hay.

Dunya Main iPhone Tayar Kernay Wali Saab Say Baari Foxconn’s iPhone Factory Kay District Main Covid Ki Waja Say 7 Days Kay Liye Lockdown Laga Diya Gaya Hay. Iss Factory Main Dunya Bhar Kay 70 % iPhone Tayar Hotay Hain.

Raftar Bharne Do
iPhone Customers Kay Liye Buri Khabar 1

Apple Ki Taraf Sai Mazeed Bataya Gaya Kay COVID-19 Kay Doraan Bhi Pabandiyan Lagaei Gaei Thein. Idaray Kay Nazdeek Employees Ki Sehat Aur Tahafuz Saab Say Pehlay Hay Aur iPhone Ki Supply Delayed Honay Say Koi Farq Nahi Paray Ga.

Yeh Bhi Bataya Gaya Kay iPhone 14 Pro Aur iPhone 14 Pro Max Models Ki Demand Ziada Hay. Taham In Models Ki Shipments Main Delay Aei Ga Aur Ye Yaqeeni Hay.

Apple Ka Ye Ilaan Investors Kay Liye Pareshan Kun Sabit Hoga Jin Ko Umeed Thei Kay China Future Main Covid Ki Waja Say Lagaei Gaei Pabandiyan Utha Lai Ga.

China Main Sunday Ko Corona Virus Kay 5643 Naye Cases Samnay Aei. Zhengzhou District Main 3683 Cases Reports Hoay. Yahan Monday,7th November Ko Corona Say 22 Deaths Reports Hoein. Yahan Ki Aabadi 1 Crore Hay.

شیئر

جواب لکھیں