Wo Time Aur Tha Jab Sirf MBBS, CA, MBA Etc Ki Degrees K Peeche Log Bhagte Thay Aur Jobs Bhi Isi Field Mein Dhunte Thay. Zamana Badal Raha Hai Aur Technological/Digital Advancement Ki Taraf Jaraha Hai. Ab Ziada Talaash Ho Rahi Hai IT Industry Ke Tech Aur Digital Nerds Ki.

Aaj Kal Tech/Digital Field Ki Puri Dunya Mein Bari Value Hai. Dunya Tezi Se Digitalization Ki Taraf Barh Rahi Hai, Har Cheez Upload Ho Rahi Hai Aur Online Aa Rahi Hai, Chahey Wo Daily Schedule Ho, Fitness Routine Ya Ek Pura Business Empire, Sab Kuch Digitalized Ho Raha Hai.

Aur Jab Itna Sab Kuch Online Ja Raha Hai Tou Iss Sab Ka Manager Or Operator Bhi Hona Laazmi Hai. Phir Sawaal Uthta Hai Ke Konsi Field Mein Kisko Hire Kiya Jaye, Kia Specialties Honi Chahiye?

Field Ek Hi Hai Jiski Umbrella Ke Andar Bohat Sare Specialist’s Aa Jaate Hein. Par Kuch Bahut Direct Hein Jinki Zarurat Is Digital Age Mein Barhti Dikhai Dey Rahi Hai. Aur In Specialist Ki Jobs Mein Ek Individual Starting Mein Hi Monthly Lakho Mein Kama Sakta Hai.

Pakistan KI IT Industry Mein Tech Jobs Achi Quantity Mein Available Hai, Jinki Pay Bhi Bohat Achi Hai Par In Jobs Ko Lene Wale Log Kam Par Rahe Hein. Waja Bohat Saari Ho Sakti Hein Par Jo Most Common 2 Waja Hein Wo Ye Hein K Ya Tou Logo Ko Iss Tech Field Ki Ehmiyat Ka Andaza Nahi Hai Ya Tou Wo Abhi Bhi Stone Age Mein Phanse Huwe Hein.

Magar Phir Bhi Jo Individuals Is Field Ko Master Kar Raha Hai Wo Pakistan Kia Puri Dunya Mein Bahut Kama Raha Hai.

Ye Hein Kuch Tech Jobs Jo Aaj Kal Pakistani Market Mein Highly Anticipated Aur Very Well Paid Hein:

Data Scientist:

Data Scientist
Naukri Ho Tou Aisi..! 1

Jab Baat Hoti Hai Data Learning Ke Zariye Complex Problem Ko Solve Karne Ki Tou Data Scientist Ko Hire Kiya Jaata Hai. Ek Data Scientist Expert Hota Hai Computer Science, Mathematics Aur Statistics Mein. Matlab Ke Ye Ek Complete Digital Analyst Hai Jo Data Ko Sahi Se Process Karke Ek Proper Result Form Karta Hai Jisse Ek Plan Of Action Banta Hai, Aur Iss Plan Ke  Mutabiq Puri Organization Chalti Hai.

Pakistan Mein Data Scientist Ki Jobs Organizations Mein Barh Chuki Hai Par Market Mein In Jobs Ko Lene Wale Kam Hein.

Ek Acha Data Scientist Banne K Liye Apko Computer Science, Computer Engineering, Software Engineering Ki Degree Ki Zarurat Hai. In Depth Aur Achi Understanding Honi Chahiye. Machine Algorithms Pe, Complete Aur Strong Python Aur Dusri Important Data Languages Pe Command Honi Chahiye.  

Pakistan Mein Agar Aap Data Scientist Hon Tou Aap Entry Level Mein Hi Rs 60,000 To Rs. 100,000 Per Month Kama Sakte Hein.

Software Engineer:

Software Engineer
Naukri Ho Tou Aisi..! 2

Software Engineers Ka Tou Sab Ne Hi Suna Huga Par Kisi Ko Inki Ehmiyat Ka Itna Andaaza Nai. Ye Wo Log Hein Jo Apni Engineering Aur Programming Knowledge Ka Istemal Karke Software Products Banate Hein. Hum Jo Applications Aur Enterprise Resource Planning Software Istemal Karte Hein Apna Roz Marha Aur Organizational Kaam Karne Ke Liye Wo Sab Inki Badolat Hai.

Java Aur Python Programming Languages Pe Inka Acha Hold Hona Chahiye Kyun Ke Ye Wo 2 Top Languages Hein Jo Aaj Kal Ki Digital Age Mein Bohat Required Hein Software Designing Mein. Baaki Aur Bhi Data Languages Hein Jiski Agar Knowledge Ho Tou Aur Bhi Acha Hai, Aur Wo Hein C++, Mean, Ruby Aur Dusri Object Oriented Design. Degree Hona Lazmi Hai Science Aur Engineering Ki.

Pakistan Mein Software Engineers Ki Khoob Demand Hai Aur Jobs Ki Availability Bhi Asaani Se Dikh Jaati Hai. Tou Agar Aap Ek Software Engineer Hein Tou Apko Job Dhundne Mein Pareshani Ya Ziada Wait Nai Karna Parhe Ga.

IT Industry Mian Ek Entry Level Per Koi Bhi Aaraam Se Rs. 70,000 Ya Usse Bhi Ziada Monthly Basis Pe Kama Leta Hai Aur Agar Wo Experienced Hu Tou Rs. 200,000 Ya Ziada Monthly Salary Mil Sakti Hai.

 Full-Stack Developer:

Full Stack Developer
Naukri Ho Tou Aisi..! 3

Ek Full Stack Developer Ki Field Agar Asaani Se Samajhna Ho Tou Ye Keh Sakte Hein K Wo Front-End K Sath Sath Back-End Development Ko Master Karta Hai. 2023 Tak Puri Dunya Mein 27.7 Million Full-Stack Developers Maujoo Ho Ge.

In Ki Job Responsibilities Mein Programming Aur Scripting, Website Designing, Database Technology Introduction, API (Application Programming Interface) Ko Design Karna, Framework Aur Third Party Libraries, Back-End Architecture Ko Build Karna, Aur Bhi Bahut Kuch Shamil Hota Hai. Inko “Core Of The Organization” Bhi Kaha Ja Sakta Hai.

Computer Science Mein Degree Hona Lazmi Hai Jiske Sath Sath HTML, CSS Aur Phir Java/Python Jesi Languages Mein Certification Bhi Honi Chahiye.

Ek Full-Stack Developer Ki Talash Pakistan Mein Har Organization Ko Shidat Se Hoti Hai. Aur Jab Inhe Hire Kiya Jaata Hai Tou Entry Level Ko Around Rs. 80,000 To Rs. 100,000 Tak Monthly Salary Mil Sakti Hai. Aur Phir Agar Wo Experienced Hu Tou Uski Salary Rs. 200,000 Ya Ziada Bhi Jaa Sakti Hai.

Digital Marketing Manager:

Digital Marketing Manager
Naukri Ho Tou Aisi..! 4

Digital Marketing Manager Ek Bohat Hi Common Job Hai Jiski Aaj Ke Digital/Advanced Daur Mein Bohat Zarurat Hai. Par Ye Kaam Ek Aam Admi Asaani Se Nahi Kar Sakta. Is Job K Liye Ek Insaan Ko Saalo Ka Experience Aur Market Ki Achi Knowledge Aur Understanding Hona Lazmi Hai. 

Digital Marketing Manager Ki Job Mein Shamil Planning Aur Managing Marketing Campaigns Hein Jo Company Ke Brand, Products Aur Services Ko Online Sahi Se Present Karta Hai. Ye Sab Planning, Market Ki Trends Ko Sahi Se Analyze Aur Samajh Ke Huti Hai.

Masters In Marketing Ki Degree Hasil Karne Ke Sath Website Analytics, Sales Funnel SEO, Facebook/Google Ads Aur Dusre Bhi Online Platforms Ki Certification Hasil Kar Ke Is Field Mein Dakhil Ho Sakte Hein.

Pakistan Ki IT Industry Mein Bhi Digital Marketing Manager Ki Jobs Baa Asaani Mil Sakti Hein Kyun Ke Yahan Bey Shumar Digital Marketing Aur Design Agencies Hein. Aur Sath Mein Badi Organizations Bhi Is Field Ko Ehmiyat Dey Rahi Hein.

Ek Entry Level Digital Marketing Manager Ki Starting Salary Rs. 80,000 To 100,000 Salary On A Monthly Basis Ley Raha Hai Aur Agar Wo Experienced Ho Tou Rs. 200,000-300,000 On A Monthly Basis Kama Sakta Hai.

Python Programmer:

IT Industry Python Programmer
Naukri Ho Tou Aisi..! 5

Python Programmer Effective Back End Components Ke Code Ko Likhta Hai, Programs Ko Test Aur Debug Karta Hai, Pehle Se Maujood Applications Ke Sath Fast Way Applications Ko Develop Karta Hai Jisse Kaam Karne Ki Aur Result Lane Ki Speed Dugni Ho Jati Hai.

Python Ek Computer Programming Language Hai Jo Ziada Tar Website Building, Task Ko Automate Karne Aur Data Analysis Ke Liye Use Hoti Hai.  Jese A.I (Artificial Intelligence) Ki Taraf Dunya Barh Rahi Hai Wese Hi Python Developer Ki Importance Barh Rahi Hai.

Python Ki Popularity 2019 Se Shuru Hui Thi Aur Aaj 2022 Mein Isne Computer Languages Ke King Java Ko Bhi Almost Maat De Di Hai.  

Pakistan Ki IT Industry Ki Association P@Sha Ke Mutabiq Ek Entry Level Python Programmer Ki Salary On A Monthly Basis Rs. 60,000 To Rs. 90,000 Hai. Aur High Experienced Level Python Programmer Ki Salary Rs. 250,000 To Rs. 300,000 Monthly Hoti Hai.

Conclusion:

“Tech/Digital Age” Aa Rahi Nai Balke Aa Chuki Hai Aur Bahut Teezi Se Advance Ho Rahi Hai. Aur Jo Is Digital Age Ko Master Kare Ga, Wo Starting Mein Hi Lakhon Mein Kamaye Ga.

شیئر

جواب لکھیں