Karachi Main Kaboutar Bazi Ka Shoq Sara Saal Khoub Zoroun Per Rehta Hay.

Hawksbay Kay Ilaqa Main Rehnay Walay Zaheer Kaboutar Bazi Kay Khel Sai 20 Barz Say Munsalik Hain.

Raftar Say Baat Kertay Hoay Unhonay Dawa Kiya Kay Un Kay Kaboutar 22 Say 24 Ghantay Tak Lagatar Urtay Hain.

Unhonay Mazeed Bataya Kay Un Kay 8 Kaboutaron Nay Mushtarka Toar Per 140 Ghantay Lagatar Uraan Ka Record Banaya.

Zaheer Ka Kehna Tha Kai Inn Muqabalon Kay Liye Kaboutaron Ki Toll 44 Din Main Tayyar Hoti Hay.

Iss Kay Ilawa, Kaboutar Ko Tayar Kernay Mai Desi Ghee,Badaam,Roti Di Jaati Hay.

Achay Kaboutar Ki Pehchaan Sai Mutaliq Un Ka Kehna Tha Kay Par (Wing),Haddi(Bone) Aur Ankh (Eye) Say Un Ko Jancha Jata Hay.

In Kay Pass 1950 Say Chalnay Wali Kaboutar Ki Nasal Bhi Maujood Hay Jis Ka Naam Wehshi Hay.

Zaheer Nay Dawa Kiya Kay Unkay Aik Kaboutar Ki Qeemat 50 Say 60 Hazaar Rupees Lag Chuki Hay Taha’am Unhonay Nahi Diye.

Aik Season Kay Liye Kaboutaron Ko Tayyar Kernay Main 60 Say 70 Hazaar Rupees Kay Expenses Atay Hain.

In Kay Pass 1950 Say Chalnay Wali Kaboutar Ki Nasal Bhi Maujood Hay Jis Kaa Naam Wehshi Hay.

شیئر

جواب لکھیں