Titanic Ka Shumar Dunya Kay Azeem Musafir Bar Dar Jahazon Main Hota Hay. 100 Saal Say Bhi Pehlay Tayar Honay Walay Iss Jahaz Jaisa Aali Shan Pur Asaish Jahaz Dobara Banaya Nahi Gaya. North Atlantic Ocean Main Iss Jahaz Ka Malba 13000 Feet Gehrai Main Maujod Hai.

Nautile Submersible Pilot Aur Titanic Kay Malbay Tak Janay Walay P.H. Nargeolet Nay Bataya Kay Titanic Undersea Newfoundland, Canada Kay 370 Miles South Main Hay.

Titanic Ki Tasweer Lenay Kay Liye Special 4K Camera Istemal Kiye Gaey. In Camera Say Li Janay Wali Photos Main Dekha Gaya Kay Undersea, Namkeen Pani, Metal Khanay Walay Bacteria Aur Pani Kay Tez Pressure Ki Waja Say Malbay Ko Kia Nuqsan Pauhanch Raha Hay.

Iss Saal Kay Shuru Main Nargeolet Aur 4 Researchers Ki Team, Titanic Kay Record Kiye Gaey Muqaam Kai Atraaf Maujoud Purasrar Objects Kay Pass Gaei Thein. Nargeolet Ka Khayal Tha Kai Woh Kisi Aur Ship Ka Dhancha Hosakta Hay. Tahaam Maloom Hoa Kay Woh Patarili Chataan ( Rocky Reef ) Hay.

Yeh Rocky Reef Volcanic Formations Ki Waja Say Yahan Ban Gaei. Yahan Bari Tadaad Main Samandari Hayat Maujoud Hain. Iss Kai Ilawa Coral Kay Kai Namonay Bhi Yahan Hain. Khayal Kiya Jaraha Hay Kay Yeh Saab Hazaron Saal Pehlay Say Yahan Hain.

Expert Opinion Ka Titanic Per Khayal

University of Edinburgh Kay Professor Murray Roberts Nay Bataya Kay Jo Aabi Hayat ( Sea Animals ) Yahan Nazar Aei, Woh Ocean  Ki Gehrai Main Rehnay Walay Deegar Animals Say Mukhtalif Hain. Unhonay Kaha Kay Nargeolet Nay Science Ki Dunya Ka Bauhat He Karamad Kaam Kiya Hay.

Ocean Ki Nechli Sataah Ko Abyssal Ocean Kehtay Hain. Titanic Kay Malbay Kay Pass Reasearchers Ko Rocky Formations Mili Hain. Khayal Yeh Kiya Jaraha Hay Kay Yeh Formations Mamool Sai Ziada Hongi.

Researchers Iss Reef Per Kaam Ker Rahay Hain. Yahan Sai Milnay Wali Information Scientific Community Say Share Ki Jaein Gi.

شیئر

جواب لکھیں