Is World Cup Ko ‘Upsets Ka World Cup’ Kahain To Ghalat Nahi Hoga. Jab Say Tournament Shuru Hua Hay, Har Roz Koi Na Koi Kamaal Hota Rehta Hay. Group E Kay Japan vs Spain Match Mein To Kamal Par Kamal Ho Gaya Hay, Japan Nay Germany Kay Baad Apnay Last Group Match Mein Spain Ko Bhi Hara Dia Hay. Youn 4 Maratba Ka Champion Germany First Round Mein Hi Bahar Kardia Hay. Aik Martaba Phir!

Ye Hua Kaisay?

Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Japan vs Spain Match Mein Aik Baar Phir Jis Team Nay First Half Mein Lead Li, Wo Jeet Nahi Saki. Spain Nay 11th Minute Mein Alvaro Morata Kay Header Par Kiay Gaey Goal Ki Madad Say Score 1-0 Kardia Tha. First Half Mein To Spain Nay Japan Ko Saans Bhi Nahi Lainay Dia, Aur Usay Buhat Frustrate Kia. Laikin Second Half Nay Aik Baar Phir Baazi Palat Di. Japan Nay Is Half Kay Starting 6 Minutes Mein Hi 2 Goals Kardiay.

Japan Kay Donon Goals Zabardast Thay. Pehlay Ritsu Doan Nay Box Kay Bahar Say Ball Ko Direct Opponent Kay Goal Mein Phenka. Phir Sirf 6 Minutes Baad Tournament Ka ‘Most Controversial Goal’ Hua.

Most Controversial Goal “Ever”?

Ye 51st Minute Tha Jis Mein Doan Ka Aik Cross “Taqreeban” Line Cross Kar Gaya Tha, Laikin Kaoru Mitoma Kisi Na Kisi Tarah Usay Game Mein Wapis Lay Aaey Jis Par Ao Tanaka Nay Goal Score Kardia. Referee Nay Goal Dainay Say Inkaar Kardia, Laikin Aa Gaya VAR Yani Football Ka Third Umpire, Jis Nay Faisla Japan Kay Haq Mein Day Dia. Kyun? Ye Samajh Nahi Aaya.

Japan vs Spain
(Photo: AP)

Is Faislay Ka Nuqsan Spain Ko To Nahi Hua, Wo Haar Kar Bhi Round Of 16 Kay Liay Qualify Kargaya Laikin Ye ‘Waar’ Germany Kay Liay Kaari Sabit Hua. Wo Apnay Last Match Mein Costa Rica Ko 4-2 Say Hara Kar Bhi Qualify Nahi Kar Saka.

Bechara Germany

Japan vs Spain
(Photo: Getty Images)

Germany Ko Apnay Last Match Mein Japan Say Shikast Hui Thi. World Cup Mein Aisi Ghalti Ki Gunjaish Buhat Kam Hoti Hay. Germany Say Hui Aur Phir Spain Kay Against Match Bhi Draw Khela Aur Ab Japan Ki Spain Par Fatah Nay Us Ka Kaam Tamaam Kardia.

FIFA World Cup 2022 Say Ab Tak Kai Bari Teams Bahar Ho Chuki Hain. Kuchh To Qualify Hi Nahi Kar Sakeen Jaisa Ke 4 Martaba Ka World Champion Italy, Jo Musalsal Doosri Martaba World Cup Kay Liay Qualify Hi Nahi Kar Paya. Laikin Qualify Karnay Walay Germany Say Bhi Kuchh Nahi Hua. Wo Consecutive Second World Cup Mein First Round Exit Hua Hay. 2014 Ka Champion Aur Us Kay Baad Musalsal 2 World Cup Tournaments Mein First Round Exit, Germany Ko Buhat Kaam Karna Paray Ga.

Golden Generation Bhi Gai

Sirf Germany Hi Nahi Doosri Taraf Group F Say World No. 2 Belgium Bhi Bahar Ho Chuka Hay. Belgium Ki ‘Golden Generation’ Morocco Say Haarnay Kay Baad Last Match Mein Croatia Ko Bhi Nahi Hara Saki. Match 0-0 Say Barabar Hua Aur Morocco Ki Canada Kay Against 2-1 Ki Victory Nay Tay Kardia Kay Group Say Morocoo Aur Croatia Aagay Jaen Gay Aur Belgium Wapis Jaey Ga!

Upsets Ka World Cup

Is World Cup Ko Waqai Upsets Kay World Cup Kehna Chahiye. Saudi Arabia Nay Argentina Ko Haraya, Japan Nay Germany Ko. Morocoo Nay Belgium Ko Shikast Di Tu Tunisia Nay France Ko Hara Dia. Ab Spain Ki Is Shikast Nay Aik New Chapter Khol Dia Hay. Aur Lagta Hay Knockout Stage Mein Aur Baray Naam Bhi Bahar Hongay.

Ab Kya Hoga?

Ap Japan Round Of 16 Mein Group F Mein Second Number Par Aanay Walay Croatia Ka Muqabla Karay Ga. Wohi Team Jo 2018 Kay World Cup Ki Runner Up Thi. Spain Morocco Kay Aamnay Samnay Hoga, Waisay Hi Jaisa Dunya Kay Naqshay Par Donon Mulk Aik Doosray Kay Samnay Hain.

شیئر

جواب لکھیں