Chahay Ghussay Ki Waja Kitni Bhi Jaiz Kyun Na Ho, Laikin Haqeeqat Ye Hay Ke Ghussa Aap Ko Kha Jata Hay. Jazbat Ki Rou Mein Beh Jana Aur Bay-Qaboo Hojana Aaj Ki Youth Ka Aik Barra Mas’la Hay. Buhat Choti Aur Ma’muli Cheezon Par Bhi Wo Anger Spiral Mein Chalay Jatay Hain. Is Liay Anger Management Buhat Zaruri Hay.

“Aisa Meray Sath Hi Kyun Ho Raha Hay?”

“Ye Sub Kaam Itnay Mushkil Kyun Hain?”

“Aakhir Logon Kay Sath Mas’la Kya Hay?”

Aisay Sawaal Un Ko Aur Jazbati Kartay Hain Aur Phir Wo Phatt Partay Hain. Wo Kuchh Keh Jatay Hain, Jis Par Baad Mein Unhain Sharmindagi Hoti Hay. Kabhi Kabhi To Irreversible Damage Ho Jata Hay.

Is Point-Of-No-Return Tak Janay Say Bachnay Kay Liay Kuchh Batein Samjhna Aur Yaad Rakhna Buhat Zaruri Hay.

Pehla Step

Sab Say Pehlay Apnay Jazbaat Aur Actions Kay Beech Aik ‘Space’ Banaen. Is Say Aap Ko Ghussay Mein Kisi Automatic Reaction Say Bachnay Mein Madad Milay Gi. Youn Ghussa Aap Par Qaboo Nahi Paa Sakay Ga. Laikin Kaisay?

Kuchh Asaan Tareeqay To Hain Maslan Lambay Saans Laina, Paani Peena Waghera, Aur Phir Zara Mushkil Tareeqay Bhi Hain, Yani Kisi Say Salah Mashwara Karna, Jo Aam Taur Par Ghussay Mein Koi Nahi Karta, Youth To Bilkul Nahi.

Physical Activity

Un Kay Liay Aik Effective Tareeqa Hay Physical Activity. Is Say Aap Apnay Jazbat Positively Release Kar Saktay Hain. Tez Walk Ya Jogging Say Lay Kar Punching Bag Par Ghussa Nikalnay Tak, Buhat Si Physical Activities Hain Jo Anger Spiral Mein Janay Say Bacha Sakti Hain. 20 Say 30 Minutes Ki Ye Activity Aap Ko Thanda Karday Gi.

Ghussay Ki Waja Kya Thi?

Anger Management Kay Liay Ghussay Ki Waja Jan’na Buhat Zaruri Hay. Aap Ooper Di Gai Tips Ki Madad Say Kuch Thanday Ho Jaen To Khud Say Kuch Sawal Zarur Karain. Ye Ghussa Kisi Janay An-Janay Khauf Ka Nateeja To Nahi Tha? Us Khauf Ko Identify Karain Aur Phir Sochain. Ye Ghusay Par Control Kay Liay Buhat Important Hay.

Social Connection

Ghussay Ki Waja Jan’nay Kay Baad Next Step Hay Social Connection Ka. Ye Buhat Zaruri Hay Ke Aap Ka Koi Dost Ya Family Member Aisa Ho Jo Aap Ki Sunta Ho Aur Aap Us Kay Sath Apni Real Feelings Share Kar Saktay Hon. Haan, Agar Waja Hi Wo Shakhs Ho To Aisa Karna Behtar Nahi Hoga, Jab Tak Ke Aap Thanday Na Ho Jaen.

Shukar-Guzari

Agar Aap Bar Bar Anger Spiral Mein Chalay Jatay Hain To Aap Ko Aik Notebook Apnay Sath Rakhni Chahiye, Jis Mein Aap Wo Cheezain Likhain Jin Par Aap Ko Shukar Ada Karna Chahiye. Aisi Choti Moti Cheezain, Jinhain Hum Normal Life Mein Ignore Kar Detay Hain, Un Ko Yaad Karna Aap Ko Is Mas’lay Say Bacha Sakta Hay.

Aik Hi Waqt Mein Ghussa Aur Sath Hi Shukar-Guzari, Do Bilkul Mukhtalif Cheezain Lagti Hain, Laikin Soch Mein Yahi Tabdeeli Aap Ko Anger Spiral Mein Janay Say Bachaey Gi.

شیئر

جواب لکھیں