Mangal Aur Budh Ki Darmiyani Raat Bari Zalim Thi. Dunya Ki Sub Say Bari Rivalries FIFA World Cup 2022 Mein Aik Doosray Kay Aamnay Samnay Theen. Aik Taraf “Great Satan” United States Ka Muqbla “Axis Of Evil” Kay Member Iran Say Tha To Doosri Janib England Aur Wales Jaisay Riwayati Cultural, Political Aur Sports Rivals Mojoud Thay. Aur In Donon Matches Ka Ikhtatam ‘Super Powers’ Kay Haq Mein Hi Hua. USA Nay Iran Ko 1-0 Say Haraya Aur England Nay Wales Ko 3-0 Say Shikast Day Kar World Cup Say Hi Bahar Kar Dia.
In Matches Kay Sath Hi Faisla Ho Gaya Ke Group B Say England Aur United States Knockout Stage Mein Jaen Gay. Jabkay Iran Aur Wales Ka Safar Yaheen Khatam Ho Gaya.
FIFA World Cup 2022
Points Table - Group B
M | W | D | L | Pts. | |
---|---|---|---|---|---|
🟩 England | 3 | 2 | 1 | 0 | 7 |
🟩 USA | 3 | 1 | 2 | 0 | 5 |
Iran | 3 | 1 | 0 | 2 | 3 |
Wales | 3 | 0 | 1 | 2 | 1 |
Al Thumama Stadium Mein Honay Walay Iran-US Match Mein America Nay Shuru Say Hi Buhat Aggressive Khel Pesh Kia. 38th Minute Mein Christian Pulisic Kay Goal Nay Usay Lead Di Jo Aakhir Tak Barqarar Rahi.
Second Half Mein Iran Nay Wapsi Ki Bari Koshish Ki. Stoppage Time Mein Usay Open Chances Bhi Milay, Laikin Aik Bhi Goal Mein Convert Nahi Ho Saka. Yahan Tak Ke Match Kay Last Minute Mein Walker Zimmerman Kay Save Nay America Ki Kamyabi Ka Faisla Kar Dia.
Iran Aaj Tak Apnay Tamaam 6 World Cup Tournaments Mein First Round Hi Mein Bahar Hua Hay. Wo Scotland Kay Baad Sab Say Zyada 18 Matches Khelnay Wali Team Hay Jo Kabhi Group Stage Say Aagay Nahi Barh Saki.
Mazay Ki Baat Ye Hay Ke 1998 Mein Honay Walay Historic USA vs Iran Match Mein Iran Hi Nay America Ko Bahar Kia Tha. Aaj 24 Saal Baad USA Nay Apna ‘Badla’ Lay Lia Hay.
Is Kay Muqablay England-Wales Match Zara One-Sided Tha. Especially Second Half Mein. Is Half Kay First 10 Minutes To Dekhnay Kay Qabil Thay. England Nay 2 Goals Kiay Aur Wales Nay Bhi 2 Zabardast Koshishain Keen. England Kay Marcus Rashford Nay 50th Minute Mein Pehla Goal Kia, Aur Kya Jaandar Goal Tha Wo. Shayad FIFA World Cup 2022 Ka Pehla Free-Kick Goal Bhi.
Phir Kuchh Hi Dair Baad Phil Foden Kay Goal Nay Lead Ko Double Kardia. 68th Minute Mein To Rashford Nay Apna Doosra Goal Bhi Kardia. Ab England 3-0 Tha. Rashford Ka Ye Goal Bhi Dekhnay Kay Qabil Tha. 4 Defenders Aur Goalkeeper Kay Samnya Hotay Huay Bhi Wo Goal Score Kar Gaey.
Score 3-0 Ho Janay Kay Baad To Wales Himmat Hi Haar Betha. England Nay Mazeed Goals Karnay Ki Kai Koshishain Keen Laikin 68th Minute Kay Baad Koi Goal Ho Na Saka. Rashford Bhi Hattrick Na Kar Sakay.
Iran To Chalain Is World Cup Mein Apna Aik Match Jeeta, Laikin Wales Ki Campaign Buhat Mayoos-Kun Rahi.
Khair, Ab England Aur USA Donon 'Round Of 16' Mein Hain, Jahan 3rd December Ko America Group A Kay Winner Netherlands Ka Muqabla Karay Ga Jabkay Aglay Din Yani 4th December Ko England Aur Senegal Muqabil Hongay. Ye Knockout Stage Hay, Yani Jo Haara Tournament Say Bahar Ho Jaey Ga.