Aaj Hay FIFA World Ka ‘Sab Say Bara MatchIran vs USA. Kehtay Hain Siasat Khel Nahi Hoti, Laikin Yahan To Khel Say Barh Kar Siasat Chal Rahi Hay. Iran Aur USA Kay Liay Maidan Koi Bhi Ho, Maidan-E-Jang Ban Jata Hay. Is Ki Waja Hay Donon Kay Puranay Ta’luqat, Jo Dosti Say Dushmani Mein Badlay Aur Ab Donon Archenemy Hain.

Inhi Dushmanon Ka Muqabla Aaj FIFA World Cup 2022 Mein Honay Wala Hay. Qatar Ka Al Thumama Stadium Aik Historic Match Ki Mezbani Karay Ga, Wo Bhi Us Waqt Jab Iran-US Relation All-Time Low Hain.

Iran-US Tense Relations Ki History

Iran Aur America Kay Ta’luqat Mein Kharabi 1953 Mein Paida Hona Shuru Hui Jab American CIA Nay Iran Ki Petroleum Industry Ko Nationalize Karnay Ki Khoshish Karnay Walay Democratically Elected Prime Minister Mohammad Mossadegh Ka Takhta Ulat Dia Tha. Youn Mohammad Reza Pahlavi Iran Kay Autocratic Badshah Ban Gaey.

Raftar Bharne Do
Reza Pahlavi Jinhain America Ki Mukammal Pusht-Panahi Hasil Rahi (Photo: Getty Images)

Pahlavi Daur Mein Iran Par America Ki Bari Inayaat Aur Mehrbanian Raheen. Yahan Tak Ke 1979 Mein Inqalab Aa Gaya. Wo Din Hay Aur Aaj Ka Din, Iran-US Relations Mein Koi Din Sukoon Ka Nahi Aaya. Hostage Crisis Say Lay Kar 80s Ki Iran-Iraq War Mein America Ka Baghdad Kay Sath Hona. Phir 1983 Mein Beirut, Lebanon Mein US Marine Barracks Par Hamla, Jis Ka Ilzam Iran Par Lagaya Gaya. Next Year Yani 1984 Mein America Ka Iran Kay Civilian Jahaz Ko Girana, Jis Mein 290 Masoom Laug Maray Gaey.

Is Kay Baad To Mua’fi Ki Ye Peechay Janay Ki Koi Gunjaish Hi Nahi Thi. 9/11 Kay Baad America Nay Iran Ko So-Called ‘Axis Of Evil’ Mein Shamil Kia. Aur Phir Jo Hua Sab Jaantay Hain. Nuclear Deal Hui, Phir Cancel Hui Aur Ab Bhi Kheencha-Taani Jari Hay.

Iran-US Rivalry, Sports Mein

Khel Mein Iran Aur America Ka Aamna Samna Kam Hi Hua Hay. Olympics Mein Wrestling Kay Ilawa FIFA World Cup Mein Bhi Donon Mulk Muqabla Kar Chukay Hain. 1998 Kay FIFA World Cup Ka Iran-US Match To Aaj Bhi Yaad Kia Jata Hay. Jo Surprisingly Buhat Achay Mahaul Mein Hua, Jis Mein Irani Players Nay American Khilarion Ko Guldastay Bhi Gift Kiay. Baad Mein Ye Match Iran 2-1 Say Jeeta.

Iran Vs USA
(Photo: AFP)

Iran vs USA, Aaj Ka Muqabla

Ab FIFA World Cup 2022 Mein Donon Arch-Rivals Ka Muqabla Buhat Hi Crucial Match Mein Hay. Group B Mein England Top Par Hay Aur Us Ka Last Match Bhi Apnay Rival Wales Kay Sath Hay. Iran Aur USA Kay Liay Ye Match Zindagi Aur Maut Ka Masla Hay. Agar Iran Jeet’ta Hay To Wo 'Round Of 16' Mein Hoga, Laikin Khatra Hay Ke Wales England Ko Na Hara Day. Is Liay Donon Matches Important Hain Aur Donon Aik Hi Waqt Mein Hon Gay. Yani Hamain To 2 Screens Lagani Parain Gi. Qayamat Kay In 90 Minutes Kay Baad Faisla Hoga Ke Kaun Aagay Jaey Ga Aur Kaun Ghar?

FIFA World Cup 2022

Points Table Group B

MWDLPts.
England21104
Iran21013
USA20202
Wales20111
شیئر

جواب لکھیں