Ballon d'Or Football World Ka Aik Prestigious Award Hay Aur Messi-Ronaldo Rivalry Hamein Is Mein Bhi Nazar Aati Hay. Lionel Messi To 7 Awards Kay Sath Sub Say Zyada Ballon d'Ors Jeetnay Ka Record Rakhtay Hain Laikin Sub Say Zyada 18 Nominations Cristiano Ronaldo Kay Paas Raheen. CR7 Nay Apnay Career Mein Total 5 Ballon d'Ors Jeetay, Jin Mein Say Aik Ab Israel Ko Mil Gaya Hay.

Asal Mein Ronaldo Nay 2013 Mein Jeeta Gaya Apna Ballon d'Or Aik Charity Kay Liay Bechnay Ka Ailan Kar Dia Tha, Jo Ab 600,000 British Pounds (Yani 16 Crore 65 Lakh PKR) Ki Bhari Raqam Mein Nilaam Ho Chuka Hay. Is Ki Nilaami Say Milnay Wali Ye Raqam To Make-A-Wish Foundation Ko Mili Hay, Laikin Trophy Gai Hay Richest Israeli Idan Ofer Kay Paas.

Ballon d’Or Hay Kia?

Ballon d’Or Aik Annual Football Award Hay, Jo French Magazine ‘France Football’ 1956 Say Day Raha Hay. Last Year Kay Best Players Ka Faisla Sports Journalists, National Teams Kay Coaches Aur Captains Kartay Hain.

Ballon d'Or Ki Nilaami

Ballon d'Or Ki Auction Buhat Kam Hoti Hay, Laikin 2021 Mein Real Madrid Kay Legend Alfredo di Stefano Ki Trophy Aur Memorabilia Nay Buhat Maal Kamaya Tha. Un Ka 1957 Mein Jeeta Gaya Ballon d'Or 60,800 British Pounds Mein Neelam Hua Aur 2 Saal Baad Milnay Wala Agla Ballon d'Or 54,400 Mein Gaya. Yani Nahi Un Ka Jeeta Gaya One And Only Super Ballon d'Or Bhi Neelam Hua, Jis Ki Auction 187,500 British Pounds (52 Crore 3 Lakh PKR) Mein Hui.

Super Ballon d'Or Zara Mukhtalif Trophy Thi, Jo Saalon Tak Real Madrid Museum Mein Rakhi Gai Laikin Phir Isay September 2021 Mein Neelam Kar Dia Gaya.

Super Ballon d'Or

Waisay Ab Log Mutalba Kar Rahay Hain Ke Aik Aur Super Ballon d'Or Award Dia Jana Chahiye, Jis Kay Haqdaar Koi Aur Nahi World Champion Lionel Messi Hain. Dekhtay Hain France Football Is Mutalbay Par Kya Faisla Karta Hay?

Messi Yahan Bhi Aagay

Jaisa Ke Hum Bata Chukay Hain Ke Sab Say Ziada 7 Ballon d’Or Lionel Messi Nay Jeetay Hain. Unhon Nay 2009 Kay Baad Musalsal 3 Saal Aur Phir 2012, 2015, 2019 Aur 2021 Main Bhi Ballon d’Or Jeeta Tha.

Un Kay Baad Cristiano Ronaldo Ka Number Hay. Jinhon Nay 2008, 2013, 2014, 2016 Aur 2017 Main Yani 5 Martaba Ye Trophy Hasil Ki. Yani Messi World Cup Jeetnay Kay Sath Ballon d’Or Hasil Karnay Mein Bhi Ronaldo Say Aagay Hain.

Sub Say Zyada Ballon d’Or Jeetnay Walay Footballers

PlayerCountryWinnerYears
Raftar Bharne Do Lionel MessiArgentina7 times2009, 2010, 2011, 2012, 2015, 2019, 2021
Raftar Bharne Do Cristiano RonaldoPortugal5 times2008, 2013, 2014, 2016, 2017
Raftar Bharne Do Michael PlatiniFrance3 times 1983, 1984, 1985
Raftar Bharne Do Johan CruyffNetherlands3 times 1971, 1973, 1974
Raftar Bharne Do Marco van BastenNetherlands3 times 1988, 1989, 1992
شیئر

جواب لکھیں