Doha Mein Buenos Aires Ka Manzar Tha Jab Argentina Nay Penalty Shootouts Par France Ko 4-2 Say Haraa Kar FIFA World Cup 2022 Jeet Lia. Aur Kya Muqabla Tha Ye, Wah! Shayad Isay Greatest Ever Football Match Kaha Jaey. Haan! Tareekh Ka Best Final To Hay Hi.

FIFA World Cup 2022 Final

Raftar Bharne Do Argentina 3-3 France Raftar Bharne Do

Penalties 4-2

Raftar Bharne Do ArgentinaFrance Raftar Bharne Do
Messi 23' (P)
Messi 108'
Di Maria 36'
Mbappe 80' (P)
Mbappe 81'
Mbappe 118' (P)
Team Stats
20Shots10
10Shots on Target5
55%Possession45%
5Cards3
6Corners5

Argentina First Half, Balkay Second Half Kay Bara Hissa Bhi 2-0 Ki Lead Say Khela. Phir Full Time Say Pehlay France Nay Kylian Mbappe Ki Herculean Effort Ki Waja Say Score Barabar Kardia. Match Extra Time Mein Chala Gaya, Jahan Lionel Messi Nay Goal Kia Aur Argentina Phir Aagay Nikal Gaya. Phir Kylian Mbappe Nay Ki Hattrick, Aur World Cup Ka Faisla Hua Penalty Shootouts Par, Jahan Defending Champion France Waisa Perform Nahi Kar Saka. Argentinian Goalkeeper Emiliano Martínez Kay Acrobatic Save Nay Match Hi Badal Dia, Yahan Tak Ke Argentina Last Shoot Say Pehlay Hi Jeet Gaya.

Start Aur Argentina Ka Raj

FIFA World Cup 2022 Final Ka First Half To Totally Argentina Ka Tha. Us Nay France Ko Saans Bhi Nahi Lainay Dia. Aik To 23rd Minute Mein Hi, Aik Baar Phir Qismat Say, Penalty Mil Gai, Jis Par Messi Nay Goal Score Kardia. France Isi Lead Say Pareshan Tha Ke 36th Minute Mein Argentina Nay Aik Aur Goal Daagh Dia. Ye Behtareen Team Work Tha, Jis Kay Sath Sirf 7 Touches Mein Ball Aik Baar Phir French Net Mein Thi. Is Mein Messi Ka Khoobsurat Double Touch Bhi Shamil Tha.

Fast And Furious France

First Half Mein France Bhuja Bhuja Nazar Aaya. Pooray Half Mein Argentinean Goal Par Aik Shoot Tak Nahi Thi. Is Say Pareshan Ho Kar Us Nay First Half Mein Hi 2 Substitute Bhi Bula Liay Thay. Par Koi Faraq Nahi Para. 80 Minutes Ho Gaey Aur Lagta Tha Argentina 2-0 Say Jeet Jaegy Ga. Laikin Last 10 Minutes Mein Mbappe Nay Match Ko Badal Kar Rakh Dia.

80th Minute Mein Aik Penalty Par Goal Score Karnay Kay Baad Next Minute Mein Hi Unhon Nay Aik Zabardast Goal Kardia Aur Match Ho Gaya Barabar.

Extra Time Mein Messi-Mbappe Ka Jadu

FIFA World Cup 2022 Final Kay Extra Time Mein Messi Ka Aik Aur Magic Moment Aaya. 108th Minute Mein Messi Nay Rebound Par Goal Kia. Lagta Tha Ye Decisive Goal Sabit Hoga. Par Mbappe Nay 118th Minute Mein Aik Aur Penalty Par Goal Score Karkay Match Barabar Kardia, Aik Martaba Phir!

Match France Jeet Jata Agar Dying Moments Mein Argentinian Goalkeeper Martínez Nay Aurelien Tchouameni Ki Shoot Par Aik Incredible Save Na Kartay. 123rd Minute Mein Unhi Ki Is Effort Ki Waja Say Ye Match Extra Time Mein Bhi Barabar Hi Raha, Warna France Waheen Jeet Jata.

Penalty Shootouts

France Jitna Acha Second Half Aur Extra Time Mein Khela, Penalty Shootouts Ki Stage Us Kay Liay Utni Hi Buri Rahi. Jahan Argentina Kay Player Aik Kay Baad Doosri Shoot Ko Goal Mein Convert Kartay Rahay, Wahan Kingsley Coman Aur Aurelien Tchouameni Donon Nay Apni Shoots Miss Keen. Yahan Tak Ke Final Shoot Say Pehlay Hi France Haar Gaya.

Finals Ki History

Ye FIFA World Cup Ki History Mein Argentina Ka 6th Aur France Ka 4th Final Tha Aur Donon Teams Apnay 3rd Title Kay Liay Larr Rahi Theen. Argentina To Khair 1986 Kay Baad Say Kabhi World Cup Nahi Jeet Saka Tha, Laikin Last 24 Years To France Ka Raj Raha. 1994 Mein Jo Team Qualify Bhi Nahi Kar Saki Thi, Us Kay Baad Honay Walay 7 World Cup Tournaments Mein 4 Finals Khel Chuki Hay. In Mein 1998 Mein Home Ground Par Pehli Baar World Cup Jeetna Shamil Tha. Phir 2006 Mein Aur 2018 Aur 2022 Mein Consecutive 2 Finals Bhi Khelay. Russia 2018 Mein To World Champion Bana Tha, Par Germany 2006 Ki Tarah Qatar 2022 Bhi Us Par Mehrban Nahi Hua, Aur Wo Aaj Apna Title Defend Nahi Kar Saka.

Doosri Taraf Ye Legendary Diego Maradona Kay Baad Argentina Ka Pehla World Cup Hay. 1986 Mein Un Ki Kaptani Mein World Cup Jeetnay Kay Baad Team 1990 Aur 2014 Mein Final Tak To Puhanchi Thi, Laikin Donon Baar Germany Say Haari. Aaj Argentina Nay FIFA World Cup 2022 Final Mein Is Jinx Ko Khatam Kardia.

Golden Boot Aur Golden Ball Award

Kylian Mbappe Ki Hattrick Nay Final Mein Messi Ko Milnay Wali Lead Khatam Kardi, Youn Golden Boot Award To Unhain Mil Gaya, Bus 2nd Time World Cup Nahi Jeet Sakay. Best Player Ka Golden Ball Awards Lionel Messi Ko Mila.

شیئر

جواب لکھیں