FIFA World Cup 2022, Aik Aisa World Cup Jo Kai Generations Yaad Rakhain Gi. Jaisa Start Tha, Waisa Hi End, Qatar 2022 Bilkul Usi Tarah Apnay End Tak Puhancha, Jaisa Hum Chahtay Thay. Aik Shandaar Tournament Kay Baad Aik Jandaar Final, Jis Mein Aik Taraf Lionel Messi Kay 2 Goals Thay To Doosri Janib Kylian Mbappe Ki Hattrick.

2022 FIFA World Cup Final Fulltime Kay Baad Extra Time Mein Bhi Barabar Raha. Laikin Penalty Shootouts Par France Kay Paas Argentina Ka Koi Jawab Nahi Tha. Wo 4-2 Say Haar Gaya Aur Title Defend Karnay Kay Khwab Poora Nahi Kar Saka.

Final Mein Kya Kuch Hua? Ye To Hum Bata Hi Chukay Hain, Laikin Is Final Nay Stats Ki Dunya Mein Kya Kia? Aayen Aap Ko Batatay Hain:

FIFA World Cup 2022 Final

Raftar Bharne Do Argentina 3-3 France Raftar Bharne Do

Penalties: 4-2

Raftar Bharne Do ArgentinaFrance Raftar Bharne Do
Messi 23' (P)
Messi 108'
Di Maria 36'
Mbappe 80' (P)
Mbappe 81'
Mbappe 118' (P)
Team Stats
20Shots10
10Shots on Target5
55%Possession45%
5Cards3
6Corners5

World Cup Bhi, Golden Ball Bhi

Argentinean Captain Lionel Messi Nay FIFA World Cup Trophy Bhi Uthai Aur Sath Hi Golden Ball Bhi Lia. Wo History Kay Pehlay Khilari Banay Hain Jinhon Nay Multiple Golden Ball Awards Hasil Kiay Hain. Messi Nay 2014 Mein Bhi Golden Ball Jeeta Tha, Laikin Wo Final Haar Gaey Thay. Laikin Is Baar Golden Ball Kay Sath FIFA World Cup Bhi Lay Gaey.

Goal, Har Stage Par

Phir Messi Nay Aik Aur Record Bhi Banaya. Wo Kisi FIFA World Cup Mein Har Stage Par Goal Score Karnay Walay Pehlay Player Ban Gaey. Unhon Nay Group Stage Kay Baad Round Of 16, Quarter Final, Semi Final Aur Final Mein Score Kia.

5+ Goals, 20+ Assists

Messi Nay Is Tournament Mein Total 7 Goals Kiay, Aur Sath Hi 20+ Chances Bhi Create Kiay. Un Say Pehlay Sirf Aik Player Aisa Raha Hay Jis Nay Kisi World Cup Mein 5+ Goals Aur 20+ Chances Create Kiay Hon, Aur Wo Hain Koi Aur Nahi Argentina Hi Kay Diego Maradona Jinhon Nay 1986 World Cup Mein Aisi Hi Performance Say Argentina Ko World Champion Banaya Tha. 36 Saal Baad Messi Nay Waisi Hi Performance Say Argentina Ko 3rd Time World Cup Jitwaya.

Most Player Of The Match Awards

Messi Nay Kisi World Cup Mein 5 Martaba Player Of The Match Award Jeeta. Wo Kisi FIFA World Cup Tournament Mein 5 Baar Ye Award Lainay Walay History Kay Pehlay Player Banay Hain.

Most Matches In World Cup

Lionel Messi Nay World Cup History Mein Sab Say Zyada Matches Khelnay Ka Record Bhi Banaya. Ye FIFA World Cup Final Messi Ka 26th World Cup Match Tha Unhon Nay Germany Kay Lothar Matthaus Ka Sab Say Zyada World Cup Matches Khelnay Ka Record Torra Hay.

Pehla Haara, Final Jeeta

Argentina History Ki Second Team Bani Hay Jis Nay Kisi World Cup Mein Apna Pehla Match Haara, Laikin Phir Bhi World Cup Jeet Gai. Is Say Pehlay 2010 FIFA World Cup Mein Spain Switzerland Kay Haathon Apna Pehla Match Haara Tha Laikin Baad Mein Pehli, Aur Aakhri Baar, World Champion Bana.

Most Goals

Qatar 2022 Mein FIFA World Cup History Mein Sab Say Zyada Goals Huay. Is Tourmanent Mein Hamain 172 Goals Dekhnay Ko Milay, Jo France 1998 Aur Brazil 2014 Kay 171 Goals Say Zyada Hain.

شیئر

جواب لکھیں