Ab To Sab Ki Nazrain Qatar Par Hain. Sunday Ki Raat Doha Kay Lusail Iconic Stadium Mein Hoga ‘Aakhri Muqabla’, FIFA World Cup 2022 Ka Final. Jahan Argentina 1986 Kay Baad Apna Pehla World Cup Jeetnay Ki Koshish Karay Ga Aur France 60 Saal Baad Apnay Title Ko Defend Karnay Wali Pehli Team Ban’nay Ki. Aur Jaisi Donon Teams Ki Performance Hay, Lagta Hay Hamain Aik Yadgaar Final Dekhnay Ko Milay Ga.

Ye FIFA World Cup History Ka 22nd Final Hoga, Is Say Pehlay 21 Finals Mein Say Kuch Aisay Thay Jinhain Aaj Bhi Yaad Kia Jata Hay. To Argentina-France Match Say Pehlay Hum Zara History Par Bhi Nazar Dal Lain, Jis Mein Hum Aap Ko Bata Rahay Hain Top 5 World Cup Finals Ki Kahani.

5. FIFA World Cup 2006 Final

Top 5 World Cup Finals

Raftar Bharne Do Italy 1-1 France Raftar Bharne Do

(5-3 Penalties)

2006 Ka World Cup Final Ka Start Hi Aik Controversy Kay Sath Hua, Jab Zinedine Zidane Nay Penalty Par Score Kia. France Ki Ye Lead Zyada Waqt Chali Nahi. Marco Materazzi Nay 19th Minute Mein Goal Kar Kay Score Equal Kardia. Aur Phir Match Mein Jo Hua In Donon Kay Beech Hi Hua.

Fulltime Tak Score To 0-0 Tha Aur Phir Extra Time Aaya, Jis Mein Zidane Nay Takkar Maar Kar Materazzi Ko Gira Dia. Apnay Final Match Mein Zindane Jaisa Legend Red Card Kay Sath Bahar Hua. Aur Penalty Shootouts Par Italy Jeet Bhi Gaya. France Ko David Trezeguet Ka Penalty Miss Karna Mehnga Parr Gaya. Italy Na Apna 4th World Cup Jeeta, Laikin Ye Match Aaj Bhi Zidane-Materazzi Kay Goals Aur Jhagray Ki Waja Say Yaad Rakha Jata Hay.


4. FIFA World Cup 1986 Final

Top 5 World Cup Finals

Raftar Bharne Do Argentina 3-2 West Germany Raftar Bharne Do

Diego Maradona Ka World Cup. Jo England Kay Against ‘Hand Of God’ Goal Karnay Kay Baad Controversial To Huay, Laikin Usi Match Mein ‘Goal Of The Century’ Bhi Kia. Laikin Kya World Champion Bhi Banain Gay? Is Ka Faisla 29th June 1986 Ko Mexico City Mein Hua. 

Germany Ko Pata Tha Ke Maradona Say Unhain Kya Khatra Hay, Is Liay Unhain Zabardast Tareeqay Say Mark Kia Gaya. Laikin Phir Bhi Wo Argentina Ko Rok Nahi Saka. 23rd Mein José Luis Brown Nay Argentina Ka Pehla Goal Score Kia Aur Half To La Albiceleste Ko 1-0 Lead Hasil Rahi Aur Phir 56th Minute Mein Jorge Valdano Nay Lead Double Kardi.

Lagta Tha Match Argentina Kay Haath Say Nikal Gaya. Laikin Nahi Bhai! Ye Germany Hay, Baray Matches Mein Bara Game Khelnay Wala Germany. Us Nay 74th Aur 81st Minute Mein 2 Goals Kar Kay Match Barabar Kardia. Match Crucial Stage Mein Dakhil Ho Chuka Tha, Jab 86th Minute Mein Jorge Burruchaga Kay Goal Nay Faisla Kardia.

Waisay Germany Nay Next World Cup Final Mein Hi Is Shikast Ka Badla Lay Lia Tha. Wo Din Aur Aaj Ka Din Argentina Phir Kabhi World Cup Nahi Jeet Saka.


3. FIFA World Cup 1994 Final

Top 5 World Cup Finals

Raftar Bharne Do Brazil 0-0 Italy Raftar Bharne Do

(3-2 Penalties)

History Ka Pehla World Cup Jis Ka Faisla Penalty Shootouts Par Hua. Na Koi Team 90 Minutes Mein Goal Kar Saki Aur Na Hi Extra Time Mein. 94 Hazar Say Zyada Fans Stadium Mein Thay Jab Donon Teams Nay Apni Pehli Shoots Miss Keen. Jahan Italy Phans Gaya. Brazil Kay Next Teenon Players Nay Score Kiay Jabke Match Ko Barabar Karnay Kay Liay Jab Final Shoot Aai To Un Kay Super Star Roberto Baggio Score Nahi Kar Sakay. Un Ki Shoot Bar Kay Bhi Ooper Say Nikal Gai Aur Brazil 4th Martaba World Champion Ban Gaya. Ye Doosra Mauqa Tha Ke Italy Brazil Say Final Haara. Baggio Un Players Mein Shamil Ho Gaey Jo Kabhi World Champion Nahi Ban Sakay.


2. FIFA World Cup 1950 Final

Top 5 World Cup Finals

Raftar Bharne Do Uruguay 2-1 Brazil Raftar Bharne Do

Ye World War II Kay Baad Honay Wala Pehla World Cup Tha, Is Liay Significance Bhi Buhat Zyada Thi. Laikin Muqabla Bhi Kamal Ka Hua. Maracanã Stadium, Rio De Janeiro Mein 173,850 Logon Nay Ye Final Dekha, Jo Kisi Bhi World Cup Final Ki Sab Say Zyada Attendance Ka Record Hay.

Ye Match Tha Kamal. Brazil Ko Apnay Home Ground Par Roknay Wala Koi Nahi Tha. Wo Last 2 Matches Mein Sweden Ko 7-1 Aur Spain Ko 6-1 Say Hara Kar Aaya Tha. Phir Final Mein Brazil Nay Second Half Kay Start Mein Hi Lead Bhi Lay Li. Stadium Mein Jeet Ka Jashan Shuru Ho Chuka Tha Laikin Phir Wo Jo Koi Expect Nahi Kar Raha Tha. 66th Minute Mein Juan Alberto Schiaffino Nay Goal Kia Aur 79th Minute Mein Alcides Ghiggia Nay Wo Goal Kia Jo Aaj Bhi Brazil Ko Yaad Hay. Stadium Mein Maut Ki Khamoshi Chha Gai, Yahan Tak Ke Final Whistle Baji Aur Brazil Ka World Cup Jeetnay Ka Khwab Toot Gaya.

Brazil Mein Aaj Bhi Is Match Ko Maracanaço Kehtay Hain, English Mein Blow Of Maracanã Aur Urdu Mein Saniha-e-Maracanã.


1. FIFA World Cup 1954

Top 5 World Cup Finals

Raftar Bharne Do West Germany 3-2 Hungary Raftar Bharne Do

Top 5 World Cup Finals Ki Har List Mein Top Par Hoga Ye Match, Jisay Kehtay Hain, ‘Miracle Of Bern’. Yani Is Mein Aisa Result Aaya Jo Kisi Mojzay Say Kam Nahi Tha. Aap Ko Shayad Hairat Ho Rahi Ho Kay Aakhir Germany Ka Hungary Say Jeetna Mojza Kaisay Hua? Kyunke Us Zamanay Mein Hungary Waqai Aik Kamal Team Tha. Unhain Mighty Magyars Kehtay Thay. Aur Final Mein Bhi Unhon Nay Start Mein Hi Sabit Kardia. 8 Minutes Mein Score 2-0 Tha, Hungary 2 Aur West Germany 0. Laikin Germany Nay Next 19 Minutes Mein Hi 2 Goals Kar Kay Is Lead Ko Khatam Kardia.

Match Kay 84th Minutes Mein Helmut Rahn Nay “Wo” Goal Kia Jo Decisive Sabit Hua. Germany Nay Kar Dikhaya, Wo Pehli Baar World Cup Jeet Gaya, Wo Bhi Hungary Jaisi Team Kay Khilaf Jis Kay Against Us Nay Group Stage Mein 8-3 Say Shikast Khai Thi.

Football Historians Isay World Cup History Ka Greatest Match Bhi Kehtay Hain.

شیئر

جواب لکھیں