Aik Din Ho Chuka Hay, Laikin Salem Aldawsari Ka Goal Ab Tak Dimagh Say Nahi Jaa Raha. Aur Yaqeen Karain, Buhat Lambay Arsay Tak Is Goal Ko Bhulaya Nahi Ja Sakay Ga. Kyunke Isi Goal Nay Argentina Kay Khilaf Saudi Arabia Ko Kamyabi Dilai Yani FIFA World Cup History Ka Sab Say Bara Upset Kia Hay. Is Kay Ilaway Aisay FIFA World Cup Best Goals Bhi Hain, Jin Ki Yadein Ab Bhi Zehnon Mein Hain.

Hand Of God Aur Goal Of The Century

FIFA World Cup Best Goals
(Photo: Getty Images)

1986 Kay World Cup Quarterfinal Mein Diego Maradona Ka Wo Goal, Jo Unhon Nay Haath Say Kia Tha. Refree Ki Nazrain Chook Gaeen Aur Argentina Ko Lead Mil Gai. Isay Aaj Bhi ‘Hand Of God’ Goal Kehtay Hain.

Phir 4 Minutes Baad Maradona Nay Wo Goal Kia, Jo ‘Goal Of The Century’ Kehlata Hay. Unhon Nay 5 English Players Ko Beat Kia Aur England Ko Decisive Blow Lagaya. Wo Kaam Jo Kuch Saal Pehlay Falklands War Mein Mulk Ki Fauj Nahi Kar Saki Thi, Wo Argentinian Football Team Nay Khel Kay Maidan Mein Kar Dikhaya.


Baggio! Baggio!

FIFA World Cup Best Goals

Next World Cup Mein Italy Kay Roberto Baggio Na Aik Kamal Goal Kia. Wo Bhi Maradona Ki Tarah Apnay Half Say Hi Ball Lay Kar Niklay. Phir 2 Players Ko Peechay Chortay Huay Defender Ko Beat Kia Aur Ball Ko Opponent Kay Goal Mein Phaink Dia.


Saudi Express

FIFA World Cup Best Goals
(Photo: AP)

Is Say Bhi Kamal Goal Tha Saudi Arabia Kay Saeed Al-Owairan Ka. 1994 Saudi Arabia Ka Pehla World Cup Tha. Jis Kay Aik Important Match Mein Saudi Arabia Ka Muqabla Belgium Say Tha. Is Match Mein Saeed Nay Pooray 80 Meters Ka Faasla Tay Kia Aur 5 Belgian Players Ko Beat Kar Kay Ball Ko Net Mein Phaink Dia. Isay Aaj Bhi FIFA World Cup Best Goals Mein Shumar Kia Jata Hay.


24 Pass Goal

FIFA World Cup Best Goals
(Photo: Getty Images)

Kehnay Ko To Ye Argentina Kay Esteban Cambiasso Ka Goal Tha, Laikin Haqeeqat Ye Hay Ke Ye Poori Team Ka Goal Tha. 2006 Kay World Cup Mein Serbia Kay Against Match Mein Cambiasso Kay Goal Say Pehaly 24 Passes Huay Thay. Ye Kisi Bhi World Cup Best Goal Say Pehlay Sab Say Zyada Passes Hon Gay. Is Match Mein Argentina Nay 6-0 Say Kamyabi Hasil Ki Thi.


Gotze Ka Golden Goal

FIFA World Cup Best Goals
(Photo: Getty Images)

2014 Kay FIFA World Cup Ka Final, Bara Match Aur Bara Muqabla, Jis Mein Mario Gotze Nay Wo Goal Kia Jis Nay Unhain Shohrat Ki Bulandion Par Puhancha Dia. Argentina Kay Khilaf Match Mein Sirf Aik Goal Hua, Wo Bhi Extra Time Mein Aur Goal Bhi Kya Tha? Jadu Tha, Kamal Tha!

Andre Schurrle Kay Cross Par Gotze Nay Ball Ko Apnay Chest Par Roka Aur Neechay Girnay Say Pehlay Hi Left Foot Say Usay Goal Mein Puhancha Dia. Lionel Messi Ka World Cup Jeetnay Ka Khwab Toot Gaya.


Flying Dutchman

FIFA World Cup Best Goals

Usi World Cup Best Goals Mein Tha Robin Van Persie Ka Bhi Aik Goal, Wo To Superman Ban Gaey Thay. Spain Kay Khilaf Match Mein Daley Blind Nay Half Life Cross Kartay Hi Aik Long-Pass Dia Jo Box Kay Edge Par Kharay Van Persie Nay Header Kay Zariay Urrtay Huay Goal Mein Puhancha Dia.

Haath Say Kay Gaey Goal Say Lay Kar Superman Goal Tak, Aap Nay Sub Kuchh Dekha. Ho Sakta Hay Koi Aisa Goal Bhi Ho Jo Ab Bhi Dekhna Baqi Ho? FIFA World Cup 2022 Nay Jaisa Start Lia Hay, Lagta Hay Kai World Cup Best Goals Dekhnay Ko Milain Gay. Kyunke Abhi To Parti Shuru Hui Hay!

شیئر

جواب لکھیں