Pakistan Mein Interest Rate Aasman Ko Chhoo Raha Hai, Karobar Ka Janaza Nikal Raha Hai, Magar Koi Hai Jo Khusihyan Mana Raha Hai. Yeh Kahani Hai Lalach Aur Hawas Ke Un Pujarion Ki Jo Sirf Pakistan Hi Nahi Duniya Bhar Ke Economic System Ko Kai Baar Tabahi Ke Dahanay Par La Chuke Hain. Aur Mazay Ki Baat Yeh Hai Ke Yeh Log Hamain Be-Waqoof Bananay Ke Ilawa Kuch Nahi Banatay.

Yeh Hain Zafar Masood Sahib Masha Allah Intehai Khush Naseeb Aadmi Hain. Magar Un Ki Khush Naseebi Ki Aik Wajah Aur Bhi Hai, Aur Woh Hai Un Ki Naukri. Janab Zafar Masood Bank Of Punjab Ke President Hain Aur Har Mahinay Taqreeban 1.25 Crore Rupay Ghar Le Jatay Hain… Allah Mubarak Kare, Magar Yeh To Kuch Bhi Nahi. United, HBL Aur Meezan Bank Ke Presidents Har Mahinay 2.5 Se 3 Crore Rupay Ki Salaries Le Rahay Hain.

Pakistan Main Aik Bank President Itna Kamata Hai Jitna 1,000 Pakistani Mil Kar Kamate Hain. Magar Sirf Yeh Log Nahi, Un Ke Banks Bhi Bohat Maal Banate Hain.

Pakistan Banking System

Is Maali Saal Ke 9 Mahino Mein Pakistan Ke Sirf Top 5 Banks Ne 230 Arab Rupay Ka Munafa Kamaya Hai. Meezan: 56. 3 Billion, HBL: 55. 6 Billion, MCB: 51.6 Billion, UBL: 50. 6 Billion Aur ABL: 33 Billion Rs. Yani 3 Crore Rupees Per Hour! Aur Ghantay Se Yaad Aaya, Yeh Karte Bhi Bilkul Yahi Hain.

Pakistan Banking System

Khair, Hona To Yeh Chahiye Ke Banking Sector Mulk Mein Business Activities Barhata, Awam Ki Mushkil Kam Karta Magar Aisa Nahi Ho Saka. Un Khofnaak Profits Ke Bawajood Yeh Banks Mulki Ma’eeshat Mein Intehai Manfi Kirdaar Ada Kar Rahay Hain.

Pakistan Mein Private Sector Credit Aur Consumer Finance Ka Volume Buhat Kam Hai.

Banks Ke Qadeem Aur Bureaucratic Nizaam Ki Wajah Se Log Qarzay To Kya, Accounts Khulwane Se Bhi Ghabratay Hain. Mulk Mein Sirf 16% Logon Ke Bank Accounts Hain. Number Of Bank Accounts Ko Agar Country Wise Dekhen To 121 Mulkon Mein Pakistan Ka Number 117th Hai.

Lekin Banks Awam Ki Fikar Karen Kyun?

Un Ka Sab Se Bara Customer Client To “Kangli” Hukoomat-e-Pakistan Hai. Jo Dhara-Dhar Bankon Se Qarz Laity Rehti Hai. Jab Hukoomat Se 100% Mehfooz Aur Pakka Thakka Munafa Mil Raha Ho To Phir Mujhe Aur Aap Ko Kaun Pouchay Ga?

Poori Duniya Mein Financial Products Banai Jati Hain, Innovations Ki Jati Hain Taakay Logon Ko Ziyada Se Ziyada Faida Pohanchaya Jasakay Lekin Yahan Aisa Koi Scene Nahi. ChatGPT Ke Is Daur Mein Bhi Hamaray Banks Apni Apps Theek Se Nahi Chala Paa Rahay. Doosri Complains Ke Bhi Anbaar Lagay Hain.

Banking Muhtasib Of Pakistan Ke Mutabiq Sirf Is Saal Ke Pehlay 15 Dinon Mein Bankon Ke Khilaf 9,000 Shikayaat Darj Hochuki Hain. Aur To Aur, In Ki Na-Ahli Ki Dastaneen Samandar Paar Se Bhi Sunai Deti Hain.

Yahi Wajah Hai Ke Market Mein Is Baray Gap Ko Dekh Kar Digital Payment Services Aur Fintech Players, Jaisay NayaPay, SadaPay, EasyPaisa, Raast, JazzCash Aur Upaisa Jaisi Products Awam Ki Zarurat Poori Karne Ke Liye Entry Daal Chuki Hain, Aur Maqbool Bhi Ho Rahi Hain.

Kyunkay Un Ki Services Lainay Ke Liye Na Branch Jana Parta Hai, Na Line Mein Lag Kar Intzaar Ki Aziyyat Aur Na Hi Bank Ki Formalities Poori Karna Parti Hain.

شیئر

جواب لکھیں