Author: افضال فاروقی

Samsung Kay Cellphones Hamesha Apnay Features Aur User Friendly Honay Ki Waja Say Popular Rahtay Hain. In Phones Main Woh Sab Hota Hay Jo Modern Day Trends Aur Needs Ko Poora Kerta Hay. Ab Samsung Nay Galaxy S23 Ultra Launch Kardia Hay Jis Kay 3 Models Market Main Agaey Hain. Flagship Series Main Samsung Nay Galaxy S23 Kay 3 Version Launch Kiye Hain. In Main Galaxy S23, S23 Plus Aur S23 Ultra Shamil Hain. Smart Balke Kamal Features Samsung S23 Series Main Pehli Baar 200 Mega Pixel Ka Camera Use Kiya Gaya Hay. Iss Main Snapdragon 8 Generation 2 Ka…

مزید پڑھیں

ChatGPT Nay Tou Artificial Intelligence (AI) Main Inqilaab Barpa Kerdia Hay. November Main Launch Honay Kay Baad Say Ab Tak ChatGPT Ki Popularity Main Izafa Horaha Hay. Experts Ka Kehna Hay Kay ChatGPT Bauhat Jald Google Ko Peechay Chorr Day Ga. ChatGPT Hay Kia? ChatGPT Aik Bot Hay Jo User Inputs Ka Jawab Dainay Kay Liay Banaya Gaya Hay, Aur Ye Bilkul Human-Like Response Daita Hay. Machine Learning Ki Madad Say Kaam Karnay Wala Ye Bot Buhat Expert Hay. Ye Aik Basic Software Code Bana Sakta Hay, Chhota Mota Financial Analysis Kar Sakta Hay, Balke Nazmain Aur Gaanay Bhi Likh Sakta Hay. Yahi Nahi Balke Ye Behtareen Naqal Utaar Sakta Hay, Kisi Bhi Subject Par Essay Likh…

مزید پڑھیں

Aik Asteroid, Jo Itna Ultra Valuable Hay Kay Puri Dunya Ki Total Global Economy Say 70,000 Times Ziada Maal Us Par Maujood Hay. Aisi Cheez Ho Aur Insaan Kay Dil Main Lalach Na Paida Ho? Aisay Kaisay Ho Sakta Hay? To NASA 124 Miles Kay Asteroid 16 Psyche Par Janay Kay Liye Spaceship Tayar Kar Raha Hay. Ye Aik Milestone Sabit Hosakta Hay, Agar October 2023 Tak Sab Kuch Plan Kay Mutabiq Hoa To Ye Space Mission Apnay Taweel Tareen Safar Per Rawana Hoga. Ye Spaceship August 2029 Main Asteroid Tak Pauhanch Jaey Ga. 'Psyche Mission' Ko Pehlay 2022 Kay…

مزید پڑھیں

Pakistan Mein To Dollar Ki Uran Jari Hai, Jisay Koi Rokta Hua Nazar Nahi Aata, Laikin Globally Dollar Ki Ijaradari Per Khatraat Mandlanay Lagay Hain. Global Trade Aur Investment Flows Per Dollar Ki 'Dominance' Kam Honay Ka Imkaan Hay. Yeh Saab Iss Liye Hosakta Hay Kion Kay Buhat Saaray Mulk Alternative Currencies Use Kernay Ka Plan Ker Rahay Hain. Kia Aap Jantay Hain Kay China Aur Russia Kay Ilawa India Aur Brazil Bhi Non-Dollar Unit Main Trade Kernay Ki Planning Ker Rahay Hain? Yeh Bhi Plan Ka Hissa Hay Kay Local Currency Kay Ilawa Gold-Backed Stable Coin Aur Aik New…

مزید پڑھیں

Cellphone Hamari Zindagi Ka Hissa Baan Chukay Hain. Social Media Nay Life Ka Buhat Sa Hisa Consume Kiya Hoa Hay. Cellphone Ka Istemaal Aisa Hota Hay Kay Hum Sotay Hoay Bhi Browsing Ya Social Media Ko Check Kiye Baghair Nahi Sotay. Kuch Logon Ki To Neend Say Uth Ker Pehli Nazar Hi Apnay Cellphone Per Jati Hay. Laikin Log Kehtay Hain Cellphone Bedside Par Rakh Ker Sonay Say Bara Nuqsan Hota Hay Aur Is Say CANCER Bhi Ho Sakta Hai. Laikin... Cellphone Radiation Main Itna Potential Nahi Hota Kay Cancer Risk Main Izafa Ker Sakay. Aap Kay Phone Say Jo…

مزید پڑھیں

Agar Aap Buhat Bari Investment Kay Baghair Profit Earn Kerna Chahtay Hain Tou Bulk Main Purchase Kerkay Individually Sell Kernay Kay Option Zarur Sochain. Bulk Buying Kay Buhat Advantages Hotay Hain. Iss Say Aap Per Item Lower Price, Larger Quantity Discounts Aur Free Ya Reduced Shipping Ko Avail Ker Saktay Hain. Is Ko Retail Arbitrage Kehtay Hain. Yeh Online Paisay Earn Kernay Ka Bauhat He Acha Tareeqa Hay Aur Iss Main Apni Product Khud Banani Bhi Nahi Parti. To Yeh 7 Items Sell Kerain, Laikin Pehlay Bulk Main Purchase Kerain, Kyunke Yeh Evergreen Products Buhat Jald Profits Daiti Hain. Jewelry…

مزید پڑھیں

Hum Main Say Ziada Tar Log Focused Aur Productive Day Spend Kerna Chahtay Hain. Hum Chahtay Hain Kay Hain Hamara Daily Routine Productive Ho Aur Hum Exhaust Aur Fatigued Bhi Na Hon. At Times Aisa Hota Hay Kay Kaam Humain Burnout Kar Deta Hay. Is Say Hamara Energy Level Effected Hota Hay Aur Iss Say Kisi Bhi Profession Kay Log Mehfooz Nahi. Laikin Burnout Hota Kya Hay? World Health Organization Burnout Aisa Syndrome Hay Jo Chronic Workplace Stress Ki Waja Say Hota Hay. Iss Ki Waja Stress Ko Successfully Manage Na Kar Pana Bhi Hoti Hay. Khair, Kuch Steps Aisay Hain Jis…

مزید پڑھیں

Khel Aur Siyasat, Dekhnay Main To Buhat Door Ki Batein Lagti Hain, Laikin Masla Ye Hay Ke Yahan Kuch Log Siyasat Ko Khel Samajhtay Hain Aur Koi Khel Main Bhi Siyasat Kerta Hay. Aur Is Kaam Main Itnay Serious Ho Jatay Hain Kay Syasat Main Hi Aa Jatay Hain. Dunya Main Aisay Kai Players Guzray Hain Jinhonay Retirement Kay Baad Politics Main Entry Di. Jaisa Kay Punjab Main Care Taker Government Main Wahab Riaz As A Interim Sports Minister Apni 2nd Innings Start Kernay Walay Hain. Wahab Riaz Almost 3 Years Say Pakistan Cricket Team Say Out Hain. Laikin Ab…

مزید پڑھیں

Football Main Kisi Referee Yellow Card Aur Red Card To Show Kertay Hi Hain, Ab Inn Cards Main 'White Card' Ka Izafa Bhi Ho Gaya Hay. Portugal Main Women’s Cup Football Kay Is Match Say Pehlay Ye Manzar Kabhi Dekhnay Ko Nahi Mila Tha. Yeh Match Sporting Lisbon Aur Benfica Kay Darmiyan Tha, Jis Main Benfica 5-0 Say Jeeta. Jo Football Say Familiar Hain Un Ko Yeh Pata Hay Kay Yellow Card Player Ko Caution Denay Aur Red Card Ko Foul Kernay Walay Player Ko Ground Say Permanently Suspend Kernay Kay Liye Dikhaya Jata Hay. Iss Liye Jab Is Match Main…

مزید پڑھیں

America Main Tech Industry Kay Employees Bari Muskhil Main Hain, Khas Taur Par Indian IT Professionals. Kyunkay Google Kay Ilawa Microsoft Aur Amazon Say Bhi Jo Thousands Of Workers Layoff Kiay Gaye Hain, Un Main Bari Ta'daad Indians Ki Hay, Jin Kay Work Visa Ki Duration Kam Hai Aur Visa Khatam Honay Ki Surat Main Un Ko America Chorna Paray Ga. The Washington Post Ki Report Kay Mutabiq November Say January Taak IT Industry Say 200,000 Workers Ko Nikaala Ja Chuka Hay. Industry Say Related Sources Ka Kehna Hay Kay In Main Zyada Tar Indian IT Professionals Hain. Yeh Log…

مزید پڑھیں