Khel Aur Siyasat, Dekhnay Main To Buhat Door Ki Batein Lagti Hain, Laikin Masla Ye Hay Ke Yahan Kuch Log Siyasat Ko Khel Samajhtay Hain Aur Koi Khel Main Bhi Siyasat Kerta Hay. Aur Is Kaam Main Itnay Serious Ho Jatay Hain Kay Syasat Main Hi Aa Jatay Hain. Dunya Main Aisay Kai Players Guzray Hain Jinhonay Retirement Kay Baad Politics Main Entry Di. Jaisa Kay Punjab Main Care Taker Government Main Wahab Riaz As A Interim Sports Minister Apni 2nd Innings Start Kernay Walay Hain.

Wahab Riaz Almost 3 Years Say Pakistan Cricket Team Say Out Hain. Laikin Ab Bhi Un Ka Shumar Pakistan Kay Fastest Bowlers Main Hota Hay. Laikin Pakistan Kay Sab Say Baray Soobay Ki Politics Main Wo Kya Kar Sakain Gay, Ye Aanay Wala Waqt Bataey Ga. Waisay Aaj Kal Wo Bangladesh Premier League (BPL) Khel Rahay Hain Aur Us Kay Baad Hi Lahore Main Oath Lain Gae.

Cricketers In Politics

Wahab Riaz Pehlay Khilari Nahi Hain Jinhon Nay Pakistani Politics Main Qadam Rakha Hay. Pakistan Cricket Team Kay Pehlay Captain Abdul Hafeez Kardar Nay Cricket Chorrnay Kay Baad 1970 Main Pakistan People’s Party Main Shamuliyat Iktiyaar Ki Thi. Unhonay Provincial Election Main Bhi Hissa Liya. Kuch Arsay Punjab Government Main Rehnay Kay Baad Woh Wapis Cricket Ki Taraf Aaey Aur Chairman Cricket Board Bhi Rahay.

Raftar Bharne Do

Reverse Swing Kay Baani Fast Bowler Sarfaraz Nawaz Nay Retirement Kay Baad 1985 Main Non-Parties Election Main Hissa Liya Aur Kamiyaab Hoker Punjab Assembly Kay Member Banay. Tahaam Us Kay Baad Woh Kabhi Koi Election Jeet Na Sakay. Sarfaraz Nawaz Nay Baad Main MQM Main Bhi Shamoliyat Ikhtiyaar Ki, Magar Politics Main Koi Khaas Naam Nahi Bana Sakay.

Opener Aamir Sohail Bhi Politics Main Aaey. Woh Pakistan Muslim League (Nawaz) Kay Member Hain. Unhonay Abhi Taak Kisi Election Main Hissa Nahi Liya Hay.

Pakistan Main Ager Kisi Cricketer-Turned-Politician Ko Kaafi Naam Mila Tou Woh Former Prime Minister Imran Khan Hain. Imran Khan Nay 1997 Main Political Party Banai. 20 Years Ki Struggle Kay Baad, Imran Khan Prime Minister Banay.

Hockey Players Bhi Politics Main

Hockey Ki Baat Ki Jaye To Chaudary Akhtar Rasool Ka Naam Zaroor Liya Jata Hay. Woh Pakistan Ki Us Team Kay Captain Thay Jis Nay 1982 Main World Cup Title Jeeta Tha. Akhtar Rasool Nay Kai Elections Main Hissa Liya Aur Kamiyaabi Hasil Ki.

Akhtar Rasool Ko Former Prime Minister Nawaz Sharif Ka Qareebi Sathi Samjha Jata Tha Magar Unhonay Baad Main Muslim League (Q) Join Kerli.

Hockey Player Qasim Zia Nay Bhi Politics Main Bharpoor Hisa Liya. Woh Pakistan People’s Party Punjab Kay President Bhi Rahay. Pervez Mushraf Kay Doar Main Woh Punjab Assembly Main Opposition Leader Thay.

Ab Dekhna Yeh Hoga Kay Wahab Riaz Kis Tarha Apnay Political Decision Say Pakistan Ko Faida Puhanchatay Hain. 

شیئر

جواب لکھیں