Iqtidaar Aur Ikhtiyar Main Sab Se Ziyada Nasha Hota Hay. Khaas Tor Par Pakistan Aur Is Jaisay Taraqqi Pazeer Mumalik Main Jahan Sarbarah-e-Mumlikat Ko Be Panah Ikhtiyarat Haasil Hotay Hain. Yahi Wajah Hay Ke Pakistan Main Kabhi Kisi Leader Ne Khud Se Iqtidaar Nahi Chorra. Kisi Ko Qatal Kya Gaya, Kisi Ko By Force Be Dakhal Kya Gaya To Kisi Ko Jala Watan Kya Gaya.

Isi Tarha Party Ka Sarbarah Bhi Party Ka Maalik Hota Hay. Wo Apni Party Ko Private Ltd Company Ke Tor Par Chalata Hay. Khud Party Chhoray Ka Tou Sawal Hi Paida Nahi Hota Balkay Party Main Koi Us Se Ikhtilaaf Karay Tou Usay Bahar Ka Rasta Dikha Diya Jata Hay.

Pakistan Bantay Hi Power Politics Shuru Hui

Qayam-e-Pakistan Ke Waqt Se Hi Dekh Len. Liaquat Ali Khan Ke Qatal Ke Baad Siyasi Tug Of War Shuru Hui. Ghulam Mohammad Jor Tor Karkay Governor General Bun Gaye. Aakhir Aakhir Main Un Ki Tabiyat Itni Kharab Rehne Lagi Ke Woh Wheel Chair Par Aatay Jatay Thay. Koi Un Ki Baat Samajh Nahi Sakta Tha Magar Woh Iqtidaar Se Chimtay Huay Thay. Bilaakhir Augst 1955 Main Acting Governor General Major General Iskandar Mirza Ne Un Ko Dismiss Kar Diya. Iskandar Mirza Ko Commander In-chief General Ayub Khan Ne Be Izzat Karkay Nikala. Un Ko Na Sirf Sadarat Balkay Mulk Bhi Chhorna Para.

Liaquat Ali Khan Ke Baad Mulk Main 6 Wazir-e-Azam Tabdeel Ho Chukay Thay Aur Koi Bhi Apni Muddat Poori Nahi Krska Tha.

Ayub Khan Ne Martial Law Laga Kar 11 Saal Mulk Par Hukoomat Ki. Un Ka Bhi Iqtidaar Chornay Ka Koi Irada Nahi Tha Lekin 1969 Main Un Ko Heart Attack Aur Paralysis Ho Gaya. Us Waqt Mulk Ke Halaat Bhi Bohat Kharab Thay Magar Ayub Khan Hukoomat Chornay Ko Raazi Nahi Thay. Commander In-chief General Yahya Khan Ne Aiwan-e-Saddar Par Qabza Kar Liya Aur Ayub Khan Ko Resign Dainay Par Majboor Kya.

Political Parties Ya Personal Property?

Yahya Khan Ko 1971 Ki Pakistan India War Main Shikast Ke Baad Iqtidaar Chhorna Para. Un Ke Baad Zulfiqar Ali Bhutto Aaye. Unhon Ne Ayub Khan Ke Daur Main Pakistan Peoples Party Ke Naam Se Apni Party Bana Li Thi. Woh Bhi Khud Ko Mulk Ke Liye Zaroori Khayaal Kartay Thay. Un Ke Zamanay Main Oppostion Ki Kayi Movments Chaleen Magar Bhutto Ne Hukoomat Nahi Chori Bulkay Mukhalfeen Ko Taaqat Se Dabanay Ki Koshish Ki. Aakhir July 1977 Main Unheen Ke Lagaye Huay Army Cheif General Zia ul Haq Ne Baghaawat Ki Aur Un Ko Pehlay Qaid Aur Baad Main Phansi Laga Di.

General Zia ul Haq Ne Wada Kya Tha Ke 90 Din Main Election Kara Den Ge. Lekin Iqtidaar Ka Nashay Main Wo Apna Wada Bhool Gaye Aur Martial Law Laga Kar 11 Saal Hukoomat Kartay Rahay. Zia ul Haq Bhi Yahi Samajhtay Thay Ke Mulk Un Ke Baghair Nahi Chal Sakta. Apni Maut Se 3 Chaar Mahinay Pehlay Unhon Ne Wazir-e-Azam Mohammad Khan Junejo Ki Hukoomat Bar Tarf Ki Thi. Zia ul Haq Ka Bhi Aakhir Dam Tak Hukoomat Chornay Ka Koi Iradah Nahi Tha. 17 Augst 1988 Ko AgarPlane Crash Main Un Ki Maut Nah Hoti To Na Jane Woh Kab Tak Iqtidaar Ki Kursi Par Barajman Rehtay.

Un Ke Baad Jamhoori Daur Main Benazir Bhutto Aur Nawaz Sharif 2,2 Prime Minister Banay. Dono Ki Hukoomat Dismiss Ki Gayeen. 8 October 1999 Ko Army Cheif General Parvez Musharraf Ne Fauji Hukoomat Qaim Ki. Woh Bhi 8 Saal Hukoomat Ke Baad 2008 Main Majboori Main Rukhsat Huay Kyunkay Wardi Utaarnay Ke Baad Fauj Main Un Ki Himayat Khatam Ho Chuki Thi. Musharraf Ko Bhi Iqtidaar Ki Lat Aisi Lagi Thi Ke Unhon Ne Is Ke Baad Aik Siyasi Jamaat Bhi Banai Thi Magar Usay Maqboliat Nahi Mil Saki.

Raftar Bharne Do

Benazir Aur Nawaz Sharif Ne Bhi Kabhi Retire Honay Ka Nahi Socha

Isi Tarha Benazir Bhutto Bhi December 2007 Main Qatilana Hamlay Main Maut Tak Siyasat Main Sargaram Rahen. Balkay Un Ka Qatal Bhi Rawalpindi Main Aik Siyasi Jalsay Ke Baad Hua Tha. Benazir Bhutto Ke Puranay Hareef Nawaz Sharif 73 Saal Umar Ke Bawajood Ab Tak Siyasat Main Masroof Hain. Kayi Saal Se Dil Samait Mukhtalif Bimarion Main Mubtala Hain Magar Siyasat Se Ab Bhi Retire Nahi Huay. Adalat Ne Nawaz Sharif Ko Na Ehal Qarar Diya Hua Hay Lekin Wo Koshish Kar Rahay Hain Ke Yeh Na-Ehli Khatam Ho Jaye Aur Wo Dobarah Pakistan Ke Wazir-e-Azam Ban Saken.

Nawaz Shareef Ki Tarha Imran Khan, Asif Zardari, Fazalur Rahman, Chaudhri Shujaiat Waghera Bhi Retirement Ki Sarkari Umar Se Aagay Nikal Chukay Hain Magar Un Ka Siyasat Se Retirement Ka Door Door Tak Iradah Nazar Nahi Aata.

Maghribi Mulkon Main Kiya Hota Hay?

Doosri Janib Maghribi Mumalik Main Dekhen Tou Awwal To Siyasi Jamaten Zaati Jageer Nahi Hoteen. Party Sarbarah Atay Hain Chalay Jatay Hain, Party Qaim Rehti Hay. Abhi Haal Hi Main New Zealand Ki Prime Minister Jacinda Ardern Ne Resign Dainay Aur Politics Chornay Ka Elaan Karkay Sab Ko Heran Kar Diya.

Jacinda Ardern Abhi Sirf 42 Saal Ki Hain. Wo 37 Saal Ki Umar Main Duniya Ki Sab Se Kam Umar Sarbarah-e-Mumlikat Bani Theen. Jacinda Ardern Is Waqt Bhi Mulk Main Maqbool Hain Aur Wo Chahti To Doosri Baar Bhi Prime Minister Muntakhib Ho Sakti Theen. Lekin Un Ka Kehna Hay Ke Woh Apni Family Ko Waqt Dena Chahti Hain.
Isi Tarha UK Main David Cameron 2005 Se Conservative Party Ke Sarbarah Thay. 2010 Main Woh Prime Minister Banay. 2015 Ke Election Main Woh Dobara Elect Huay Magar 2016 Main Brexit Referendum Ke Baad Unhon Ne Premiership, Party Sarbarahi Aur Siyasat Tenu Ko Chhor Diya. Un Ke Baad Theresa May Prime Minister Baneen. Unhon Ne 2017 Main Early Election Karwaye Aur Kamyabi Haasil Ki Magar 2019 Main Unhon Ne Party Sarbarahi Aur Prime Minister Ka Ohda Chhor Dia. Un Ke Baad Boris Johnson, Phir Liz Truss Aur Ab Rishi Sunak Party Sarbarah Aur Prime Minister Hain.

Raftar Bharne Do

Yeh Log Siyasat Se Retire Ho Jatay Hain. Apni Family Ke Sath Waqt Guzartay Hain. Sair o Sayahat Karte Hain. Universities Main Lecture Detay Hain Aur Apni Biography Likhtay Hain.

UK Ki Tarha USA Main Bhi Yahi Haal Hay. Balkay Wahan To 1951 Main Qanoon Bana Diya Gaya Ke Koi Bhi Shakhs 2 Baar Se Ziyada Presidents Nahi Reh Sakta. Pichlay 70 Saal Main Wahan Politicians Daan Aik Ya 2 Term Ke Liye President Ban Kar Jatay Rahay. Na Koi Iqtidaar Se Chimta Rehta Hay Na Party Kisi Ki Zaati Jageer Hoti Hay Ke Wo Bahar Reh Kar Bhi King Maker Bana Rahay.

Pakistani Siyasat Daan Maghrib Ki Examples To Detay Rehtay Hain Magar Khud Kabhi Maghrib Ki Aala Misalon Par Amal Karnay Ki Zahmat Nahi Kartay.

شیئر

جواب لکھیں