40 Saal Pehlay Jab Karachi Main T20 Cricket Ka Aghaz Hoa, To Kisi Nay Socha Bhi Nahi Hoga Kay Aik Waqt Aaey Ga, Puri Dunya Ye Format Khelay Gi. Aaj Har Bari Cricketing Nation T20 League Karwa Rahi Hay, Jin Say In Pakistani Players Ko Bhi Exposure Mil Raha Hay. Aaj Kal Pakistan Kay Super Stars Bangladesh Premier League (BPL) Main Apni Performance Say Headlines Bana Rahay Hain.

BPL Ka Aghaz 2012 Say Hoa Tha, Aur Is Saal League Ka 9th Edition Khela Ja Raha Hay. Pakistan Kay Fast Bowler Wahab Riaz Samait, Azam Khan, Iftikhar Ahmed, Mohammad Rizwan Aur Usman Khan Different Teams Main Shamil Hain.

Rizzu Boy

Mohammad Rizwan Comilla Victorians Ki Taraf Say BPL Ka Hissa Hain. 13th January Ko New Zealand Kay Against Third Aur Final ODI Kay Baad, Rizwan Helicopter Say Bangladesh Pauhanchay Aur 14th January Ko Victorians Ki Taraf Say Match Main Hisa Liya.

BPL

Apnay Pehlay Match Main Unhonay 18 Runs Score Kiye. 2nd Match Main Un Ka Score 37 Runs  Not Out Raha Jabkay 3rd Match Main Woh 15 Runs Bana Ker Out Hoay. Dominators Kay Against Rizwan Ka Bat Khul Ker Runs Ugla Aur Unhonay 55 Runs Not Out Ki Innings Kheli.

Vikki Express

Wahab Riaz Bhi Kisi Say Kaam Nahi. Woh Khulna Tigers Ki Taraf Say Action Main Hain. Un Ki Super Sonic Deliveries BPL Players Kay Liye Mushkil Ka Sabab Ban Rahi Hain.

BPL

37 Saal Ka Wahab, 145 KM/Hour Ki Speed Say Bowling Ker Rahay Hain. BPL Kay 5 Matches Main Wahab Aab Taak 11 Wickets Hasil Ker Chukay Hain. Last 2 Matches Main Unhon Nay 4 Wickets Each Hasil Ki Hain.

Master Blaster Azam

Azam Khan Ki Century Nay BPL Main Dhoom Macha Di Hay. Woh Khulna Tigers Ki Taraf Say Action Main Hain.

BPL

Azam Khan Apni Team Kay Wicket Keeper Bhi Hain. Azam Ki Power Hitting Per Un Ki Team Buhat Ziada Rely Kerti Hay.

Speedster Amir

Mohammad Amir Iss League Main Sylhet Strikers Ka Hissa Hain. 6 Matches Main Woh 7 Wickets Hasil Ker Chukay Hain Aur Unki Pace Aur Wicket Taking Ability Un Ko Deegar Bowlers Say Munfarid Banati Hay.

Centurion Usman

Usman Khan Ka Taluq Karachi Say Hay Aur Woh Chattogram Challengers Ki Taraf Say Khel Rahay Hain. Jis Match Main Azam Khan Nay Century Score Ki Thi, Usi Match Main Target Chase Kertay Huay Usman Nay As An Opener 103 Runs Ki Not Out Innings Kheli Aur Apni Team Ko Jitwaya.

Un Ki Clean Hitting Aur Proper Cricketing Shots Ko Cricket Pundits Buhat Sarah Rahay Hain.

Explosive Khushdil

Khushdil Shah Apni Batting Performance Say Comilla Victorians Kay Fans Ko Muta'sir Ker Rahay Hain.

Woh 6 Matches Main 121 Runs Score Ker Chukay Hain. Iss Main Aik 50 Plus Not Out Score Bhi Shamil Hay.

Salman "Malinga"

Salman Irshad 27 Years Kay Hain Aur Dhaka Dominators Ki Taraf Say BPL Khel Rahay Hain.

2 Matches Main Woh Abb Taak Koi Wicket Tou Hasil Nahi Ker Sakay Mager “Malinga” Action Main Un Ki Express Fast Deliveries Buhat Hi Out Class Theen.

#IftiMania

Sab Say Bara Karnama Kia Hay Iftikhar Ahmed Nay. Unhon Nay Fortune Barishan Ki Janib Say Kheltay Huay Rangpur Riders Kay Khilaf Sirf 45 Balls Par 100 Ki. 5th Wicket Par Captain Shakib Al Hasan Kay Sath Un Ki 192 Runs Ki Partnership Aik World Record Hay.

Pakistani Players Ki Class Aur Talent Say Koi Inkaar Nahi. Is Hi Liye Pakistan Super League Say Pehlay In Players Ki Yeh Performance Aur Match Practice In Ko Bauhat Faida Dai Gi.

شیئر

جواب لکھیں