Pakistan Main Aik Baar Phir Baray Power Breakdown Ne Mulk Ke Ziyada Tar Shehron Main Zindagi Ka Nizaam Darham Barham Kar Diya. Croron Shehri Jab Subah Jagay Tou Charaghoon Main Roshni Nahi Thi. Gharelu Khawateen Ko Nashta Bananay Aur Bachon Ko School Bhejnay Main Dushwari Ka Saamna Karna Para To Daftar Aur Dukaan Janay Walay Bhi Tayari Ke Liye Pareshan Huay.

Logon Ne Soorat-e-Haal Jannay Ke Liye Joq Dar Joq Social Media Ka Rukh Karna Shuru Kya Jahan Electricity Breakdown, Power Breakdown Aur Power Outage Jaisay Trends Se Logon Ko Pata Chala Ke Yeh Sirf Un Ke Elaqay Ya Shehar Ka Masla Nahi Balkay Pooray Mulk Ka Yeh Haal Hay.

Karachi Power Breakdown
Image: REUTERS/Akhtar Soomro

Ministry Of Energy Ka Kehna Tha Ke Electricity Shutdown National Grid Main Fluctuation Ki Wajah Se Hua. Hukkaam Ke Daaway Apni Jagah Magar Pakistan Main Itnay Barray Pemanay Par Power Breakdown Pehli Baar Nahi Hua. Is Se Pehlay Bhi Kayi Baar Aisa Ho Chuka Hay. Sardiyoon Main Is Ki Wajah Thand Aur Fog, Baarishon Main Hawa Main Nami Aur Garmiyon Main System Par Load Ko Zimmay Daar Qarar Diya Jata Hay.

Electricity Breakdown Se Kiya Hota Hay?

Itnay Large Scale Par Electricity Shutdown Se Industry Ka Pahiya Ruk Jata Hay. Chotay Karabar Bhi Shadeed Mutasir Hotay Hain. Aisay Afrad Jin Ka Rozgar Electric Appliances Chalanay Se Wabsta Hota Hay Un Ka Kaam Shadeed Muatsir Hota Hay. Chhoti Markets Jahan Generator Ka Intizam Na Ho Waha Bhi Karobar Thap Ho Jata Hay.

Gharon Main Roz Marra Ke Kaam Kaaj Bhi Effect Hotay Hain. Koi Electric Appliance Nahi Chalai Ja Sakti. Waterboard Se Pani Ki Supply Nahi Hoti. Pani Tank Main Jama Ho Ya Boring Bhi Ho To Motor Chala Kar Oopar Tank Tak Pohnchana Mumkin Nahi Hota. Mobile Network Service Bhi Mutasir Hoti Hain Kyunkay Kai Mobile Towers Par Itnay Lambay Waqt Ke Liye Mutabadil Intizam Nahi Hota Hai. Mobile Phone Charge Na Ho Tou Bhi Insaan Khud Ko Duniya Se Kata Hua Mehsoos Karta Hay.

Power Breakdown Par Logon Ka Reaction

Kehte Hain Ke Sab Ki Museebat Jashn Ban Jati Hai Tou Log Bijli Ke Barray Break Down Se Pareshan Tou Hain Aur Hukmraanon Ko Jali Kuti Suna Rahay Hain. Magar Is Ke Sath Sath Social Media Par Memes Ka Silsila Bhi Chal Raha Hay. Siyasat Daan Bhi Apne Hisaab Chuka Rahay Hain. Sabiq Minister Of State Zartaj Gul Ne Ahsan Iqbal Ki Aik Purani Video Share Ki Aur Likha Ke Self Proclaimed Aristotle Ki Baton Se Pura Ittafaq Hay. Kabhi Kabhi Yeh Banda Saal Main Aik 2 Baar Ghalati Se Samajhdaari Ki Baatein Bhi Kar Deta Hay.


Dusri Janib Mausam Sard Honay Ki Wajah Se Kisi Ko Bhi Pankhay Ya AC Ki Yaad Nahi Satai. Ziyada Tar Logon Ko Mobile Charge Na Honay Ka Gham Kha Raha Tha.

Kuch Log Mazaq Uratay Rahay Ke Qarz Ada Na Karnay Per IMF Pakistan Ka Meter Utar Kar Chala Gaya.

Waqt Guzarnay Ke Saath Saath Shehrion Ke Becheni Bhi Barhi.

Aisay Main Kuch Awam Ke Khadshat Bhi Sawal Ban Kar Samnay Aatay Rahay. Syed Muaz Shah Ne Likha Ke Electricity Shutdown Ki 3 Reasons Ho Sakti Hain. 1: India Ya Kisi Aur Mulk Ne Hamla Kar Diya Ho. 2: Hukumat Ne Ye Khud Kiya Ho Takay Nuclear Warheads Ya Dusray Assets Without Detection Move Kar Sakay. 3: Fuel Ka Problem Ho Ke Pakistan Ke Paas Fuel Hi Na Ho Ya Wo Afford Na Kar Sakta Ho.

Syed Haider Ka Kehna Tha Ke Pareshan Na Hon, Pakistan Ko Off and On Kar Kay Fix Karnay Ki Koshish Ki Ja Rahi Hay.

Sports Journalist Farid Khan Ne Dua Ki Ke Allah Pakistan Per Rehm Farmaye. Bijli Nahi Hay, Economy Bhi Shrink Ho Rahi Hay. Ye Bohat mushkil Waqt Hay.

Kuch Logon Ko UPS, Generator Aur Solar Panels Ki Kami Bhi Mehsoos Hua. Aik User Ne Indian Actor Ki Dance Ki Picture Share Ki Aur Likha Ke Jin Ke Paas UPS, Solar Panel Ya Generator Hain Wo Aisay Khush Hain.

Pakistan Main Power Outage Ki Ye Khabar Na Sirf Social Media Aur National Media Per Chai Rahi Balkay International Media Main Bhi Isay Coverage Di Gai.

شیئر

جواب لکھیں