Cricket Football Kay Baad Sab Say Dekha Janay Wala Khel Hay. Phir Bhi Ye Dunya Kay Sub Say Baray Sporting Event Yani Olympics Main Nahi Khela Jata. 125 Saal Pehlay Cricket Sirf 1 Baar Olympics Ka Hissa Bana Thay, Magar “Unpopular” Sport Honay Ki Waja Say Is Ko Nikaal Diya Gaya. Ab Cricket Ko Aik Baar Phir Olympics Main Shamil Kernay Ki Koshish Ki Jarahi Hay.

Olympics Main Cricket Ki Wapsi

International Cricket Council (ICC) Nay 2028 Los Angeles Olympics Kay Liye 6 Teams Tournament Ki Recommendation Di Hay. Los Angeles Olympic Games Organising Committee (LA28) Ko Yeh Recommendation Men Aur Women Donon Events Kay Liye Di Gai Hay.

Is Silsilay Main International Olympic Committee (IOC) Ki Final Call October 2023 Tak Hogi. LA28 Kay Organizers March 2023 Tak Games Ki List Final Kerlain Gay. Buhat Zyada Umeed To Nahi, Laikin Phir Bhi Dekhtay Hain Kay Kya Hota Hay.

Kaun Olympics Khel Sakta Hay?

Agar Cricket Olympics 2028 Main Shamil Kernay Ka Faisla Hogaya To Cut-Off Date Tak T-20 Rankings Ki Top 6 Men’s Aur Women’s Teams Event Ka Hissa Hongi. ICC Nay Abhi Tak Tournament Structure Finalized Nahi Kiya. Iss Hawalay Say LA28 Kay Organizers Say Options Per Discussion Bhi Jaari Hay.

LA28 Aur IOC Nay ICC Ko Kaha Tha Kay Cricket Ka Aisa Format Hona Chahiye Jis Ki World Championship Hui Ho. Us Format Ki Duration Bhi Kam Honay Aur Spectators Ka Interest Bhi Iss Hawalay Say Nazar Main Rakha Gaya. Iss Liye T-20 Format Ko Suitable Qaraar Diya Gaya.

6 Teams Honay Ki Waja?

ICC Ki Taraf Say 6 Teams Rakhnay Ki Waja Yeh Hay Kay Event Ko Cost Efficient Banaya Jaey. "Olympic Agenda 2020+5" Kay Strategic Plan Main Event Main Unnecessary Costs Ko Cut Down Kernay Ki Suggestions Di Gai Hain. International Olympic Council Nay Kaha Hay Kay Over Sized Squads Air Contingents Ki Waja Say Bhi Cost Ziada Aati Hay, Iss Per Bhi Control Kerna Hoga.

Waisay 2024 Kay Paris Olympics Main Over All Quota 10,500 Athletes Ka Hay, Jabkay Tokyo Olympics Main 11,300 Olympics Ka Quota Tha.

Cricket Ka Muqabla Kis Say?

Olympics Kay Liay Cricket Kay Ilawa 8 Sports Bhi Line Main Hain. In Main Baseball/Softball, Flag Football, Lacrosse, Break Dancing, Karate, Kickboxing, Squash Aur Motorsport Shamil Hain. International Olympic Council In Games Kay Hawalay Say Proposals Ko Review Kerkay Final Keray Gi Kay In Main Say Kitnay Khel Olympics Ka Part Hongay.  

Single Venue

Cricket Ki Complexities Alag Hi Hoti Hain. Costs Ko Manage Kernay Kay Ilawa Teams Kay Sath Support Staff Bhi Move Kerta Hay. Game Ki Practice Kay Liye Bhi Pitches Hona Zaroori Hoti Hain. LA28 Nay ICC Ko Kaha Hay Kay Men Aur Women Team Kay Matches Aik Hi Venue Per Rakhay Jaein.

ICC Ko 2022 Main Birmingham Commonwealth Games Main Advantages Nazar Aaey Thay. Iss Main Women’s T-20 Event Bhi Shamil Tha. ICC Nay 2 Venues Suggest Kiay Thay Mager Sirf Edgbaston Main Yeh Matches Khelay Gaey. 10 Days Main 16 Matches Hoay Jis Ki Waja Say Yeh Event Successful Bhi Raha.

Olympics 2028 Kay Hawalay Say ICC Aur LA28 Kay Ilawa IOC Bhi Buhat Active Hai. ICC Delegation Nay IOC Management Say Last Month Meeting Bhi Ki Hay Aur Kuch Eham Suggestions Bhi Diye Hain. Ab Dekhtay Hain Ke In Koshishon Ka Nateeja Kya Nikalta Hay?

شیئر

جواب لکھیں