Maghrib Main Har Kuch Arsay Baad Aisa Koi Waqea Paish Aata Hai Jis Se Duniya Ke 1.5 Billion Se Ziyada Musalmanon Ke Dil Zakhmon Se Choor Ho Jatay Hain. Azadi-e-Izhaar Ke Naam Par Kabhi Rasool-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan Main Gustakhi Ki Jati Hay. Gustakhana Khakay Aur Filme Banai Jati Hain. Kabhi Musalmanoon Se Nafrat Ka Ghussa Quran-e-Kareem Ki Tauheen Karkay Nikala Jata Hay. Afsos Naak Aur Tashweesh Naak Baat Yeh Hay Ke Islamophobia Ke Shikar Afraad Aur Tanzeemon Ki In Makrooh Harkaton Ko Hukoomaton Ki Sarparasti Ya Tahaffuz Bhi Haasil Hota Hay. France Main Gustakhana Khakay Publish Honay Par Pooray Islamic World Ke Ehtijaj Ke Bawajood France Ki Hukoomat Ne Un Khakon Ki Himayat Ki Aur Aik Musalman Ke Hamlay Main Maaray Janay Walay Maloon Ko Qaumi Hero Ke Tor Par Paish Kya Gaya .

Haal Hi Main Sweden Main Quran Kareem Ki Shahadat Ka Afsos Naak Waqea Paish Aaya Hay. Chand Saal Pehlay Bhi Sweden Hi Main Aik Maloon Padri Ne Quran Kareem Ko Jalanay Ki Jasarat Ki Thi. Is Baar Bhi Quran Pak Ki Tauheen Par Poori Duniya Main Musalman Gham O Ghussay Main Hain.

Tauheen-e-Risalat Aur Tauheen-e-Quran Par Hamara Reaction

Koi Musalman Kitna Hi Gunah Gar Kyun Nah Ho. Rasool-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Zaat-e Aqdas Aur Quran-e- Kareem Se Be Panah Aqeedat Rakhta Hay. Aisay Main Koi Gustakhana Waqea Un Ke Jazbaat Shadeed Bharka Deta Hay Aur Woh Marnay Maarnay Par Bhi Tayyar Ho Jatay Hain. Khaas Tor Par Pakistan, Bangladesh Aur Doosray Developing Islami Mumalik Main Jazbati Awam Sarkon Par Nikal Atay Hain Aur Government Aur Private Property Ko Nuqsaan Pohnchatay Hain. Maazi Main Bhi Hum Ne Dekha Ke Youtube Par Gustakhana Film Ki Numayesh Ke Jawab Main Karachi Aur Lahore Samait Kayi Shehron Main Muzahirey Huay. Mushtael Hujoom Ne American Sifarat Khaanon Ki Taraf Janay Ki Koshish Ki. Rokay Janay Par Unhon Ne Jalao Gherav Aur Tor Phor Ki.
Kuch Log Yeh Kehtay Hain Ke Aisay Waqeat Maghrib Ki Saazish Hain. Wo Musalmanoon Ko Incite Kar Ke Un Ko Tashadud Par Uksatay Hain. Phir Duniya Main Musalmanoon Ki Image Kharab Ki Jati Hay Ke Musalman Pur Tashaddud, Extremist Aur Jangju Qaum Hain.

Raftar Bharne Do
Protesters hurl back tear gas  fired by police, unseen, to stop them from walking toward the U.S. consulate during a demonstration in Karachi, Pakistan, Sunday, Sept. 16, 2012. —AP Photo

Zahir Hay Ke Kisi Bhi Waqeye Ke Khilaaf Ehtijaj Main Pur-Tashaddud Karrwaiyon, Jalao Gherao Ya Sarkari Aur Niji Imaarton Par Hamlon Ki Himayat Nahi Ki Ja Sakti Lekin Aisay Waqeat Par Musalman Khamosh Tamashaayi Ban Kar Bhi Nahi Reh Satkay.


Tauheen Amaiz Waqeat Par Kya Reaction Hona Chahiye?

Peaceful Protest Ka Haq Duniya Bhar Main Tasleem Kya Jata Hay. Awam Ke Liye Apne Jazbaat Ke Izhaar Ka Sab Se Aasan Rasta Yahi Hota Hay Ke Woh Sarkon Par Nikal Ayen Aur Pur Aman Andaaz Main Apna Ehtijaj Record Karayen. Sweden Main Tauheen Quran Ke Khilaaf Bhi Duniya Ke Kayi Islami Mumalik Main Pur Aman Muzahiray Ho Rahay Hain. Khaas Tor Par Turkey Main Kayi Din Se Muzahiron Ka Silsila Jari Hay. Anqara Aur Istanbul Main Lakhoon Afraad Swedish Sifarat Khanon Ke Bahar Jama Huay.

Iraq, Bangladesh Aur Yemen Main Bhi Lakhoon Musalmanoon Ne Ehtijaj Kya.

Sarkon Par Protest Ke Sath Sath Log Social Media Par Bhi Ehtijaj Kar Rahay Hain. Is Ke Ilawa Awam Swedish Hukoomat Aur Apnay Mulk Main Swedish Sifarat Khanon Ko Letter Ya Email Ke Zariye Bhi Apnay Jazbaat Pohncha Satkay Hain.

Muslim Mulk Aur Organizations Kya Kar Rahi Hain, Kya Karna Chahiye?

Sweden Main Paish Anay Walay Waqeye Par Duniya Ke Tamam Islami Mulkon Ne Muzamati Bayanaat Jari Kiye. Organization Of Islamic Cooperation (OIC) Ne Bhi Izhaar Muzammat Karte Huay Zimmay Daaron Ke Khilaaf Karrwai Ka Mutalba Kiya Hay. Mazi Main Bhi Islami Mulk Aisay Waqiat Per Awaz Utha Chukay Hain. Pakistan Ke Sabiq Wazir-e-Azam Imran Khan Ne United Nations Main Taqreer Ke Dauran Bhi Yeh Muamla Uthaya Tha. Un Ka Kehna Tha Ke Yeh Muslim Mulkon Ke Hukmranon Ki Bhi Kamzori Hay Ke Wo West Ko Ye Baat Samjha Nahi Sakay Ke Musalmanoon Ki Apne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Quran Se Mohabbat Maghribi Paimaanon Se Mukhtalif Hay. United Nations Ki General Assembly Ne Pichlay Saal Pakistan Ki Aik Qarardad Bhi Manzoor Ki Thi Jis Ke Mutabiq Har Saal 15 March Ko Islamophobia Ke Khilaaf Aalmi Din Manaya Jaye Ga.

Muslim Countries Filhaal To Muzammati Bayan Tak Mehdood Hain Kyunkay 56 Islami Mulk Honay Ke Bawajood Islami Block Koi Bari Economic Aur Military Power Nahi Ban Saka Hay. Jabkay International Forums Per Apni Baat Manwanay Ke Liye Economic Aur Military Taaqat Hona Zaroori Hota Hay. Maghrib Azadi-e-Izhaar Ki Aarr Main Musalmanoon Ki Muqaddas Shaksiaat Aur Kitabon Ki Tauheen Ki Ijazat Deta Hay Jabkay Jews Ke Jazbaat Ka Itna Ehtram Kya Jata Hay Ke Holocaust Ke Khilaaf Koi Baat Karna Bhi Wahan Jurm Qarar Diya Gaya Hay. West Ka Ye Double Standard Be Naqaab Honay Ke Bawajood Un Ki Hat Dharmi Jari Hay.

Musalmanoon Se Nafrat Karnay Walon Ki Saazish Ka Aik Rukh To Yeh Hay Ke Woh Musalmanoon Ke Jazbaat Bharka Kar Unhein Pur-Tashaddud Karrawaiyon Main Mulawis Kartay Hain Phir Un Ko Wehshi Aur Khunkhawar Saabit Kartay Hain. Saazish Ka Dosra Pehlu Yeh Hay Ke Woh Musalmanoon Main Allah Aur Us Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Quran Pak Ki Mohabbat, Imani Ghairat Ka Jazba Khatam Karna Chahta Hay. Jis Tarha West Main Hazrat Musa Alaihi Salam, Hazrat Esa Alaihi Salam, Torah Aur Bible Ki Tauheen ParJews Aur Christians Ko Koi Farq Nahi Parta. Log Mazhab Se Door Balkay Bezaar Ho Chukay Hain. Isi Tarha Maghrib Chahta Hay Ke Musalman Bhi Itnay Liberal Aur Secular Ho Jayen Ke Apni Muqaddas Shakhsiaat Aur Aakhri Kitaab Se Aqeedat Ka Ye Rishta Hi Khatam Ho Jaye Taakay Un Ke Shaytani Agenday Ki Takmeel Ho Sakay.

شیئر

جواب لکھیں