Football Main Kisi Referee Yellow Card Aur Red Card To Show Kertay Hi Hain, Ab Inn Cards Main 'White Card' Ka Izafa Bhi Ho Gaya Hay.

Portugal Main Women’s Cup Football Kay Is Match Say Pehlay Ye Manzar Kabhi Dekhnay Ko Nahi Mila Tha. Yeh Match Sporting Lisbon Aur Benfica Kay Darmiyan Tha, Jis Main Benfica 5-0 Say Jeeta.

Jo Football Say Familiar Hain Un Ko Yeh Pata Hay Kay Yellow Card Player Ko Caution Denay Aur Red Card Ko Foul Kernay Walay Player Ko Ground Say Permanently Suspend Kernay Kay Liye Dikhaya Jata Hay.

Iss Liye Jab Is Match Main Jab Referee Nay White Card Raise Kiya Tou Spectators Samait, Sab Hairaan Reh Gaey. Ye Football History Ka Unique Incident Tha, Laikin Ye White Card Hay Kia?

White Card Silsila Kia?

Asal Main White Card Ko “Fair Play Card” Bhi Kehtay Hain. Is Card Ko Portuguese Football Federation Nay Introduce Kerwaya. Iss Card Ka Maqsad Sportsmanship Ko Promote Kerna Hay. White Card Say Football Pitch Per Positive Behavior Ka Reward Dena Hota Hay.

Iss Card Ko Women’s Cup Kay Match Kay Doraan, Half Time Say Thora Pehlay Referee Catarina Campos Nay Use Kiya. Yeh Zarorat Uss Waqt Paish Aei Jab Dono Teams Kay Medical Staff Nay Stands Main Maujood Aik Shaks Ki Achanak Tabeyat Kharab Honay Per Us Ki Taraf Rush Kiya.

Jaisay Hi Yeh Card Medical Staff Kay Liye Dekhaya Gaya Tou Estadio Da Luz Ground Main Crowd Nay Kharay Hoker Clapping Ki. Iss Doran Medical Staff Wapis Dugout Main Aker Baith Gaya.

White Card Ka Future Kia Hoga?

Abhi Tak Sirf Portugal Nay White Card Use Kiya Hay. Kisi Aur Mulk Ki Taraf Say Is Card Ko Abhi Use Nahi Kiya Gaya. Yeh Bhi Andaza Nahi Hay Kay Ainda Jab Kabhi Yeh Card Use Kiya Gaya Jaei Ga Tou Fans Ka Kia Reaction Hoga.

Mazi Main Green Card Use Kernay Ka Experiment Bhi Kia Ja Chuka Hay. Yeh Pehli Baar Italy Main Serie B League Main Implement Kiya Gaya Tha. Is Green Card Ko 2018 CONIFA World Cup Main Use Kiya Gaya. Yeh Aik International Tournament Tha Aur Is Main Un Countries Nay Hisa Liya Jo FIFA Say Affiliated Thay.

Football Main Green Card Bhi Hota Hay

In Competitions Main Green Card Un Fouls Per Show Kiye Gaey Jo Yellow Card Aur Red Card Walay Offence Kay Darmiyaan Samjhay Gaey. Ager Kisi Player Ko Green Card Show Kiya Jata Tou Us Ko Foran Field Chourna Parti. Mager Rule Yeh Tha Kay Bahar Bhejay Janay Walay Player Ki Jagha Dosra Player Pitch Per Asakta. Yeh Us Suraat Mai Hota Jab Us Team Nay Apni Sari Substitutions Use Nahi Ki Hon.

Jis Player Ko Sab Say Pehlay Green Card Mila Us Ka Naam Cristian Galano Tha. Is Player Nay Protest Kertay Hoay Referee Ko Indicate Kiya Tha Kay Is Foul Per Corner Kay Bajae Goal-Kick Milni Chahiye Thei.

Khair, White Card Ka Usage Us Waqt Bhi Samnay Aya Tha Jab Qatar World Cup Kay Matches Main Her Half Kay End Main Additional Stoppage Time Diya Gaya. Is Practice Ko Football Fans Nay Buhat Saraha. Yeh Bhi Kaha Jaraha Hay Kay Matches Kay Doraan Time Waste Kernay, Players Ko Honay Wali Injuries, Goal Celebrations Main Prolonged Time Lena, Substitutions Aur Video Assistant Referee Ka Bhi Koi Aur Hal Nikala Jaye.

شیئر

جواب لکھیں