'Duniya Ka Teesra Sab Se Ameer Tareen Aadmi Gautam Adani Duniya Ki Tareekh Ka Sab Se Bara Corporate Fraud Kar Raha Hay.'

Yeh Sansani Khez Ilzaam America Ki Finance Forensic Company Hindenburg Research Ne Apni Aik Taaza Report Mein Lagaya Hay. Report Mein To Gautam Adani Ke Liye Corporate History Ke Sab Se Barray Dhokay Baz Ke Alfaaz Bhi Istemaal Kiye Gaye.

Raftar Bharne Do

Report Mein Kaha Gaya Hay Ke Hum Ne Apni Do Saal Ki Investigation Ke Baad Yeh Saboot Ikathay Kiye Hain Ke 218 Billion Dollar Ki Maliyat Rakhnay Wala Adani Group Pichli Kayi Dahaiyon Se Accounting Fraud Aur Stock Ki Heera Pheri Mein Mulawis Hay.

Adani Group Ke Chairman Gautam Adani Jo 120 Arab Dollar Ke Malik Hain, Un Ki Daulat Mein Pichlay 3 Saal Mein 100 Arab Dollar Izafa Hua Hay. Ye Izafah Is Arsay Mein Un Ke Group Ki 7 Bari Companiyon Ke Shares Ki Qeemat 800% Tak Barhnay Ki Wajah Se Hua Hay.

Hindenburg Research Ne Likha Hay Ke Is Investigation Ke Liye Unhon Ne Hazaron Documents Ka Jaiza Liya. Adani Group Ke Former Executives Samait Darjanon Logon Se Baat Ki Aur Kayi Mulkon Ka Daura Kya.

Gautam Adani Ke Group Ki Offshore Companies Ka Inkishaf

Report Mein Ilzaam Lagaya Gaya Hay Ke Securities And Exchange Board Of India Ne Adani Group Ke Offshore Funds Ke Hawalay Se American Company Ki Tehqiqat Mein Rukawat Daali.

Report Mein Mauritius Aur UAE Samait Kayi Mulkon Mein Adani Khandan Ki Offshore Companies Ki Tafseelaat Bhi Di Gayi Hain Aur Daawa Kya Gaya Ke Un Companiyon Ko Corruption, Money Laundering Aur Taxon Ki Chori Ke Liye Istemaal Kya Jata Hay.

Hindenburg Research Ka Kehna Hay Ke Agar Un Ki Investigation Ki Findings Ko Ignore Bhi Kardiya Jaye To Is Haqeeqat Ko Ignore Nahi Kiya Ja Sakta Ke Adani Group Ki 7 Bari Listed Companiyon Ke Shares Ki Qeematein Market Average Se Bohat Ziyada Hain.

Gautam Adani Group Per Bhari Qarza Bhi Hay, Report

Report Mein Kaha Gaya Hay Ke Adani Group Ki Bari Listed Companiyon Ne Baray Pemanay Par Debt Bhi Le Rakha Hay. Jis Mein Lone Ke Liye Intihai Barhi Hui Qeematon Ke Shares Bhi Pledge Kiye Gaye Hain. Is Se Un Companiyon Par Liquidity Pressure Aa sakta Hay.
Hindenburg Research Ka Kehna Hay Ke Group Ke 22 Key Leaders Mein Se 8 Adani Ke Family Members Hain. Jis Se Group Ke Financial Aur Key Decisions Ka Ikhtiyar Sirf Chand Hathon Mein Reh Jata Hay. Isi Liye Aik Former Executive Ne Kaha Ke Adani Group Aik Family Business Hay.

Hindenburg Research Ki Story Mein Mazeed Kaha Gaya Hay Ke Adani Group Ke Khilaaf Maazi Mein 4 Bari Tehqiqaat Huyeen. Jin Mein Money Laundering, Tax Payers Ke Fund Ki Chori Aur Corruption Ke Zariye 17 Arab Dollar Ki Khurd Burd Ki Gayi Thi.

Report Mein Kaha Gaya Hay Ke Gautam Adani Ke Chhotay Bhai Rajesh Adani Par Diamonds Ki Trade Mein Arbon Rupay Ki Tax Chori Ka Ilzaam Lagaya Gaya Tha.

Gautam Adani Ka Modi Se Qareebi Taaluq Hay

Yeh Report Aisay Waqt Samnay Aayi Hay Jab Gautam Adani Apni Shakhsiyat Ko International Level Par Numayan Karkay Aggressive Andaz Se Naye Business Sectors Mein Qadam Rakh Rahay Hain. Indian Prime Minister Narindra Modi Se Qareeb Talluq Ko Bhi Gautam Adani Group Ki Kamyabi Ka Raaz Samjha Jata Hay.

Gautam Adani
Corporate History Ka Sab Se Bara Fraud? 1

2008 Mein Arab Pati Ban'nay Ke Baad Gautam Adani 120Billion Dollar Daulat Ke Sath Duniya Ke Teesray Jabkay Asia Ke Ameer Tareen Shakhs Hain.
Is Report Ke Nateejay Mein Gautam Adani Ki Companies Ke Shares Ki Price Mein Wazeh Kami Aayi Hay.

Hindenburg Research Ki Yeh Report Duniya Bhar Ke Media Mein Numaya Tor Par Paish Ki Gayi.

Hindenburg Ki Report "Misleading" Hay, Adani Group

Adani Group Ne Hindenburg Research Ki Report Ko Mustarad Kartay Huay Usay Misleading Aur Bad Niyyati Par Mabni Qarar Diya Hay. Group Ka Kehna Hay Ke Hindenburg Research Ke Khilaf Legal Action Per Bhi Ghor Kar Rahay Hain.

Media Statement Main Kaha Gaya Hay Ke Un Ka Group Apne Business Ke Liye Tamam Qanooni Taqazoon Ko Poora Karta Hay.

شیئر

جواب لکھیں