America Main Tech Industry Kay Employees Bari Muskhil Main Hain, Khas Taur Par Indian IT Professionals. Kyunkay Google Kay Ilawa Microsoft Aur Amazon Say Bhi Jo Thousands Of Workers Layoff Kiay Gaye Hain, Un Main Bari Ta'daad Indians Ki Hay, Jin Kay Work Visa Ki Duration Kam Hai Aur Visa Khatam Honay Ki Surat Main Un Ko America Chorna Paray Ga.

The Washington Post Ki Report Kay Mutabiq November Say January Taak IT Industry Say 200,000 Workers Ko Nikaala Ja Chuka Hay. Industry Say Related Sources Ka Kehna Hay Kay In Main Zyada Tar Indian IT Professionals Hain. Yeh Log H-1B Aur L1 Visas Per USA Main Kaam Ker Rahay Thay.

H-1B Visa Non-Immigrants Ko Diya Jata Hay, Jis Say US Companies Foreign Workers Ko Hire Kerti Hain. Is Visa Ko Hasil Kernay Kay Liye Theoretical Aur Technical Expertise Darkaar Hoti Hain. Is Process Main Zyada-Tar India, China Aur Pakistan Kay Professionals Hire Hotay Hain. Jabkay L-1A Aur L-1B Visas Temporary Toar Per Intracompany Transferees Kay Liye Hotay Hain. Yeh Visa Un Ko Diye Jatay Hain Jo Managerial Positions Per Hotay Hain Ya Koi Specialized Knowledge Rakhtay Hain.

Khair, Ab Iss Crisis Ki Waja Say Indian IT Professionals Ki Bari Tadaad, Jo H-1B Aur L1 Visa Per Thi, Pareshani Kay Alaam Main Options Search Ker Rahi Hay, Takay USA Main He Reh Sakay. Limited Period Main He Job Hasil Kerkay Woh Apna Visa Status Change Ker Saktay Hain.

Masla Yeh Bhi Hay Kay H-1B Visa Rakhnay Waloon Ko 60 Days Main Doosri Job Search Kerna Hogi. Agar Aisa Na Hoa To Un Kay Pass Doosra Koi Option Nahi Hoga, Apnay Mulk Wapis Janay Kay Siwa.

Iss Waqt, Tamaam IT Companies Apnay Employees Ko Fire Ker Rahi Hain, Job Market Unstable Hay, To Hire Kaun Karay Ga? To Short Period Main Job Hasil Kerna Buhat Mushkil Aur Balkay Na-Mumkin Ho Chuka Hai.

Agar Yeh Mua'mla Solve Na Hoa To Phir H-1B Visa Holders Ko Visa Status Khatam Hotay Hi 10 Days Main America Chorrna Hoga. Chahay Indian Hon, Chinese Ya Phir Pakistani.

شیئر

جواب لکھیں