Duniya Kaisay Tabah Hogi? Kya Third World War Ho Gi. Nuclear Weapons Chalen Gay? Koi Bari Pandemic Aaye Gi Ya Climate Change Sab Malyamet Kardayy Ga? Magar Jo Bhi Hoga Ab Us Mein Ziyada Waqt Nahi Reh Gaya.

Duniya Ke Khatmay Ka Waqt Bitanay Wali "Qayamat Ki Ghari"  Ya Doomsday Clock Ke Mutabiq Hamari Duniya Ki Tabahi Mein Sirf 90 Second Baqi Reh Gaye Hain.

Doomsday Clock Announcement

Doomsday Clock Kya Hai Aur Kis Ne Banai?

August 1945 Mein Japan Ke Shehar Hiroshima Aur Nagasaki Par Atomic Hamlay Ke Baad Scientists Ko Yeh Fikar Lahiq Ho Gayi Ke Agar Nuclear Weapons Ka Isi Tarha Istemaal Kya Gaya Tou Duniya Bohat Jald Tabah o Barbaad Ho Jaye Gi. America Ke Atom Bomb Bananay Walay Manhattan Project Mein Shamil Albert Einstein Aur Chicago University Ke Atomic Scientists Ne ‘Bulletin Of Atomic Scientists’ Nami Tanzeem Banai. Is Organization Ne 1947 Mein Aik Symbolic Clock Tayyar Ki Jis Mein Raat 12 Bajay Ko Duniya Ke Khatmay Ka Waqt Qarar Diya Gaya. Is Ka Maqsad Tha Ke Duniya Walon Ko Bataya Jaye Ke Hamaray Planet Aur Insaaniyat Ko Kitni Threats Hain. Is Ghari Ko Doomsday Clock Ka Naam Diya Gaya.

Apocalypse Ka Waqt Define Karne Ke Liye Mukhtalif Mulkon Ke Darmiyan Conflicts, Wars, Khatarnaak Hathyaaron Ki Tayari, Technology Ke Ghalat Istemaal, Pandemics Aur Mausamyati Tabdeeli Ko Paish-e-Nazar Rakha Jata Hay.

Doomsday Clock Ka Waqt Hamari Aam Gharion Ka Waqt Nahi Hay. Na Is Waqt Ko Mahinon Aur Barson Mein Bayan Kya Ja Sakta Hay. Balkay Is Ghari Ki Sui Sirf Khatray Ki Shiddat Ko Zahir Karti Hay. Ghari Ki Sui Raat 12 Bajnay Se Jitna Qareeb Ho Gi. Duniya Ki Tabahi Ka Andesha Utna Hi Ziyada Hoga. Misaal Ke Tor Par 1947 Mein Jab Yeh Ghari Banai Gayi Thi To Duniya Ke Khatmay Mein 7 Minute Ka Waqt Diya Gaya Tha. 1953 Mein America Aur Russia Ke Darmiyan Conflicts Barhnay Par Ye Waqt Sirf 2 Minute Reh Gaya Tha. Jaisay Jaisay International Conflicts Kam Hotay Jatay Hain. War Ke Bajaye Peace Aur Hathyaaron Mein Kami Ke Agreements Hotay Hain Tou Ghari Ki Sui Peechay Chali Jati Hay.

Doomsday Clock History
Doomsday Clock 1947 Se 1991 Tak

1991 Mein Soviet Union Ke Tootnay Aur America Aur Russia Ke Darmiyan Weapons Mein Kami Ke Agreement Ke Baad Qayamat Ki Ghari Ko 17 Minute Par Kar Diya Gaya Tha. Is Ke Baad Se Ghari Ki Sui Kabhi Peechay Nahi Gayi Balkay Agay Hi Barhti Jarahi Hay. 1998 Mein India Aur Pakistan Ne Atomic Tajarbay Kiye To Duniya Ki Tabahi Ka Waqt Mazeed Qareeb Kar Diya Gaya Tha.

Doomsday Clock History 2
Doomsday Clock 1995 Se 2023 Tak


Doomsday Clock Mein Waqt Set Kaun Karta Hay?

Doomsday Clock Ka Waqt "Bulletin Of The Atomic Scientists" Ka Board Karta Hay Jis Mein 10 Nobel Laurites Scientists Samait Nuclear Technology Aur Mausmyati Science Ke Experts Shamil Hain. Yeh Board Maujooda Khatraat Ka Jaiza Le Kar Ye Faisla Karta Hay Ke Un Ke Andazay Ke Mutabiq Duniya Apnay Khatmay Ke Kitna Qareeb Ya Door Hay.

Pichlay 5 Saal Se Duniya Ki Barbadi Ke Khatraat Barhatay Ja Rahay Hain. Taqreeban 50 Saal Baad 2018 Mein Qayamat Ki Ghari Dobarah 2 Minute Par Aa Gai. 2019 Mein Bhi Isi Jagah Rahi. 2020 Mein Corona Ki Waba Ke Baad Duniya Ki Tabahi Mazeed 20 Second Qareeb Ho Gayi Aur End Of Time Mein Sirf 100 Second Baqi Reh Gaye. 2021 Aur 2022 Mein Bhi Ghari Ki Sui Usi Jagah Ruki Rahi. Magar Is Baar Yeh Waqt Mazeed 10 Second Kam Karkay 90 Second Kar Diya Gaya Hay.

2023 Ke Liye Doomsday Clock Set Kranay Ki Taqreeb America Mein Hui. Is Mauqay Par Bulletin Of The Atomic Scientists Ki Sadar Ne Kaha Ke Ghari Ki Sui Ka Aadhi Raat Ke Mazeed Qareeb Hona Yeh Pegham Deta Hay Ke Duniya Urgent Situation Se Dochar Hay. Hum Ghari Ki Sui Agay Barha Kar Yeh Batana Chahtay Hain Ke Kuch Bhi Durust Samt Mein Nahi Ja Raha. Jo Log Yeh Samajhtay Hain Ke Duniya Mehfooz Nahi Rahi Woh Aisa Sochnay Mein Akailay Nahi Hain.

Unhon Ne Kaha Ke Yeh Duniya Ke Leaders Ke Jagnay Ka Waqt Hay. Yeh Un Ki Zimmedari Hay Ke Wo Duniya Ko Tabahi Ke Khatray Se Bachayen.

Duniya Ko Kya Kya Khatraat Lahiq Hain?

Bulletin Of The Atomic Scientists Ke Mutabiq Is Saal Ghari Ki Sui Agay Barhnay Ki Sab Se Bari Wajah Russia Ukraine War Hay. Bayan Mein Kaha Gaya Hay Ke Russia Ki Janib Se Nuclear Hathyaar Istemaal Karne Ki Threats Duniya Ko Yaad Dilaati Hain Ke Kisi Hadsay, Jaan Boojh Kar Ya Miscalculation Ki Soorat Mein Conflict Barha Tou Bohat Sangeen Khatraat Lahiq Ho Jayen Gay. Is Ke Baad Ye Imkanaat Bohat Ziyada Hain Ke Halaat Kisi Ke Bhi Control Mein Nah Rahen.

Board Ke Bayan Mein Kaha Gaya Hay Ke Ab Se 2030 Tak Ke Saal Insani Tareekh Ke Aham Tareen Saal Hain. Kya Hum Climate Change Ko Roknay Ke Liye Woh Sab Karen Ge Jo Scientists Keh Rahay Hain Ya Apni Agli Generation Ko Aik Tareek Mustaqbil Day Kar Jayen Gay.

Russia Aur Ukraine Ki Jung Ke Baad Energy Crisis Ki Wajah Se Oil Aur Gas Ka Istemaal Barha Hay Jis Se Green House Gases Mein Izafah Hua Hay. Board Ki Sadar Ne Kaha Ke Mausamyati Tabdeeli Ke Khatraat Se Nimatnay Ke Liye Tamam Mulkon Ko Mil Kar Kaam Karna Parray Ga.

Board Ne Is Ke Ilawa Pandemics Aur Technology Ke Ghalat Istemaal Ko Bhi Duniya Ke Liye Barray Khatraat Qarar Diya Hay.

شیئر

جواب لکھیں