Pakistan Tehreek-e-Insaf Par Se Mushkilaat Ke Saaye Door Nahi Huay. PTI Ke Aham Rehnuma, Sabiq Federal Minister Fawad Chaudhry Ko Punjab Police Ne Lahore Mein Un Ke Ghar Se Girftar Kar Liya. Fawad Chaudhry Ke Khilaaf Guzishta Roz Islamabad Mein Secretary Election Commission Ki Janib Se Muqadma Darj Karaya Gaya Tha. PTI Rehnuma Per Ilzaam Lagaya Gaya Hay Ke Unhon Ne Media Talk Ke Dauran Election Commission Ke Members Aur Un Ki Family Ko Dhamkian Di Hain. Idaron Ko Laranay Aur Nafrat Phelanay Ki Koshish Ki Hay.

Fawad Chaudhry



Fawad Chaudhry Ko Raat Mein Giraftari Ke Baad Subah Adalat Mein Hathkari Laga Kar Paish Kya Gaya Jahan Un Ka Transit Remand Manzoor Kar Liya Gaya.

Fawad Chaudhry In Court


Fawad Chaudhry Ne Adalat Mein Paishi Ke Mauqay Per Tanzia Kaha Ke Unhon Ne Baghawat Ki Hay.

PTI Leader Ki Giraftari Ke Baad Twitter Par “Fawad Chaudhry Ko Riha Karo” Top Trend Ban Gaya. Is Ke Sath Sath “Imran Khan Hamari Red Line” Aur “Zaman Park Pohncho” Bhi Trend Kar Rahay Hain Kyunkay Guzishta Raat Se Yeh Khabrain Bhi Garam Theen Ke Chairman PTI Imran Khan Ko Girftar Kya Ja Sakta Hay. PTI Ke Twitter Page Se Yeh Ittila Share Ki Gayi Thi Aur Kaarkunon Ko Zaman Park Pohnchnay Ka Kaha Gaya Tha.

Chairman Tehreek Insaaf Imran Khan Kehtay Hain Ke Fawad Ki Giraftari Ke Baad Koi Shak Nahi Ke Pakistan Mein Qanoon Ki Hukmarani Nahi. Mulk Aik Banana Republic Ban Gaya Hai. Unhon Ne Kaha Ke Imported Hukoomat Un Ko Girftar Karnay Ki Himmat Nahi Rakhti. 22 Crore Awam Un Ke Sath Hain.


Shehbaz Gill Ko Bhi Giraftar Kiya Gaya Tha

Fawad Chaudhry PTI Ke 4th Aham Rehnuma Hain Jin Ko Regime Change Ke Baad Girftar Kya Gaya. Imran Khan Ke Special Assistant Aur Cheif Of Staff Shahbaz Gill Ko 9 Augst 2022 Ko Bani Gala Se Girftar Kya Gaya Tha. Un Par Idaron Ke Jawanon Ko Baghawat Par Uksanay Ka Ilzaam Lagaya Gaya Tha.

Raftar Bharne Do
Fawad Chaudhry Ke Baad Kis Ki Baari? 1

Shahbaz Gill Almost Aik Mahinay Tak Jail Mein Rahay Aur 15 September 2022 Ko Unhein Zamanat Par Rihayi Mili Thi.

Senator Azam Swati Ko 2 Baar Jail Bheja Gaya

Un Ke Baad PTI Ke Senator Azam Khan Swati Ko 2 Baar Girftar Kya Gaya. Pehli Baar Unhein 13 October 2022 Ko FIA Cyber Crime Cell Ne Islamabad Se Girftar Kya Tha. Un Par Idaron Ke Khilaaf Controvercial Tweet Ka Ilzaam Lagaya Gaya Tha.

Azam Swati Ko Almost 15 Din Baad Zamanat Par Rihayi Mili Thi. Unhon Ne Press Conference Mein Fauj Ke 2 Serving Officers Par Tashadud Ka Ilzaam Lagaya Tha.

Is Ke Kuch Din Azam Khan Swati Ki Family Ko Allegedly Un Ki Aik Nazeba Video Bheji Gayi. Azam Swati Ne November Mein Aik Jazbati Press Conference Ki Thi Jis Mein Woh Zaar o Qataar Ro Diye Thay.

Ex Army Chief General Qamar Javed Bajwa Ki Retirement Se 2 Din Pehlay 27 November 2022 Ko Senator Azam Swati Ko FIA Ne Dobara Girftar Kar Liya Tha. Un Par Ilzaam Lagaya Gaya Ke Unhon Ne Reyasti Idaron, General Qamar Javed Bajwa Samait Army Officers Ke Khilaaf Twitter Par Jarehana Muhim Chalayi Aur Nazeba Zabaan Istemaal Ki. Un Ke Khilaaf Mulk Ke Mukhtalif Shehron Mein Muqadmaat Darj Kiye Gaye Thay. Is Baar Azam Swati Aik Mahinay Se Ziyada Arsa Qaid Mein Rahay. 3 January 2023 Ko Islamabad High Court Ne Un Ki Zamanat Manzoor Ki Jis Ke Baad Unhein Riha Kardiya Gaya.

Shireen Mazari Aur Haleem Adil Ki Giraftari

Is Se Pehlay 21 May 2022 Ko PTI Rehnuma Shireen Mazari Ko Bhi Islamabad Police Aur Punjab Anti-Corruption Department Ne Girftar Kya Tha. Sabiq Federal Minister Human Rights Ko Dera Ghazi Khan Mein Darj 50 Saal Puranay Land Case Mein Girftar Kya Gaya Tha. Taham Islamabad High Court Ne Raat Gaye Shireen Mazari Ki Zamanat Manzoor Karli Thi Jis Ke Baad Unhein Release Kar Diya Tha.

Raftar Bharne Do

Sindh Mein PTI Ke Oppostion Leader Haleem Adil Sheikh Ko Bhi Sindh Hukoomat Ne Mukhtalif Muqadmaat Mein Kayi Baar Girftar Kya. July 2022 Mein Aik Baar Unhein Lahore Aur Phir Jamshoro Se Girftar Kya Gaya. Haleem Adil Sheikh Bhi Kayi Mahinay Jail Mein Rehne Ke Baad In Dinon Zamanat Par Bahar Hain.

PTI Ke Daur Main Kaun Kaun Arrest Hua?

PTI Haliya Giraftarion Ko PDM Government Ki Intiqami Karrwai Qarar Deti Hai Aur Ilzaam Lagati Hai Ke In Iqdamaat Mein Usay Establishment Ki Support Bhi Haasil Hay. Doosri Janib PTI Ke Tenure Mein Bhi Siyasi Rehnumaon Ki Giraftarion Ka Silsila Jari Tha. Taham Us Waqt Ziyada Tar Giraftaryan NAB Ne Corruption, Money Laundering Ke Ilzamaat Ke Tehat Ki Theen. PTI Sarkar Mein Shehbaz Sharif, Hamza Shehbaz , Khwaja Asif , Ahsan Iqbal, Miftah Ismael, Rana Sana, Khurshid Shah Waghera Ko Girftar Kya Gaya Tha. In Sab Rehnumaon Ko Adalaton Se Zamanat Mil Gayi Thi Aur Ab To Un Par Se Muqaddamat Bhi Khatam Hotay Jarahay Hain.

شیئر

جواب لکھیں