America Ko Land Of Opportunity Kaha Jata Hay. Pakistan Ho Ya Paraguay, Uzbekistan Ho Ya Uruguay. Dunya Bhar Kay Aksar Mulkon Kay Naujawan America Main Taleem Aur Job Ka Khwab Dekhtay Hain. Agar USA Main Job Na Bhi Karen Tou Bhi Wahan Ki Unversity Ki Degree Apnay Mulk Main Bhi Career Growth Kay Beshumar Rastay Khol Deti Hay.
Agar Aap Bhi Higher Education Kay Liye America Jana Chahtay Hain Tou Interview Main Kiye Janay Walay Sawalat Ki Pehlay Say Tayyari Kamyabi Kay Imakan Barha Deti Hay.
USA Student Visa (F1) Kay Interview Main Kiye Janay Walay Kuch Khaas Sawalat Aur Un Kay Mumkina Jawabat Hasb-e-Zail Hain.
QUESTION 1: Aap America Main Kyun Parhna Chahtay Hain?
Ye Sawal Is Liye Kiya Jata Hay Takay Unhay Pata Chal Sakay Kay Aap Ki America Ja Kar Haqeeqat Main Parhna Chahtay Hain, Sirf Ghoomnay Phirnay Ya Kaam Kaj Kay Liye Student Visa Ka Bahana Nahi Kar Rahay.
Yehi Moqa Hota Jay Jab Aap Unhen Bata Saktay Hain Kay America Main Education Ko Aap Apni Personal Aur Career Growth Kay Liye Kitna Aham Samjhtay Hain.
Mumkina Jawab:
Main America Main Is Liye Parhna Chahta Hun Kyun Kay Wahan Dunya Ki Behtreen Universities Hain Aur America Puri Dunya Kay Students Kay Liye Favourite Destination Hay.
America Ki Universities International Students Ko Support Karti Hain, Un Ka Education System Flexible Hay, Un Ka Programm Highly Ranked Hain, Wahan Students Ko Parhai Kay Saath Job Ki Bhi Ijazat Hoti Hay.
Aik Aur Wajah Jis Ki Wajah Say Main America Main Parhna Chahta Hun Wo Ye Hay Kay Wahan Ki Universities Culturally Diverse Hain Aur Main Dunya Bhar Kay Students Kay Saath Connect Hona Chahta Hun Etc. Aap Isi Tarah Ki Aur Genuine Reasons Bhi Bata Saktay Hain.
QUESTION 2: Aap Nay Is Course Ka Intikhab Kyun Kiya Hay?
Is Sawal Kay Zariye Interviewer Ye Jan’na Chahay Ga Kay Aap Nay Kisi Makhsoos Major Ko Choose Kyun Kiya Aur Kiya Wo Field Aap Ka Career Goals Say Allign Hay?
Mumkina Jawab:
Main Nay Is Course Ka Intekhab Is Liye Kiya Hay Kyun Kay Main Is Field Main Apni Knowledge Barhana Chahta Hun. Meray Mulk Main Is Field Kay Zyada Mahireen Nahi Hain Is Liye Meray Khayal Main Is Field Main Study Kay Zariye Main Apnay Mulk Main Is Kay System Ka Behtar Bana Sakun Ga. Kyunkay Meray Mulk Main Is Field Main Mahireen Ki Kami Hay Is Liye Mujhe Behtar Career Ki Zyada Opportunities Bhi Milen Gi.
QUESTION 3: Aap Job Kay Bajaye Mazeed Parhna Kyun Chahtay Hain?
Agar Aap Nay Apnay Mulk Main Bechlors, Masters Ya Doctorate Ki Degree Le Li Ho Aur Further Education Kay Liye USA Jana Chahtay Hon Tou Aap Say Ye Sawal Kiya Ja Sakta Hay Kay Aap Job Kay Bajaye Mazeed Parhai Kyun Karna Chahtay Hain.
Mumkina Jawab:
Main Further Education Is Liye Haisl Karna Chahta Hun Kyunkay Jo Course Main Nay Select Kiya Hay Wo Meri Knowledge Base Ko Barhaye Gi Aur Meray Career Main Aagay Barhnay Kay Moqay Faraham Karay Gi.
QUESTION 4: Aap Nay Yahan Acceptance Say Pehlay Kitni Universities Main Apply Kiya?
USA Main University Kay Selection Kay Doran Aap Nay Jo Malumat Jama Ki Hon, Wo Yahan Kaam Aayen Gi.
Mumkina Jawab:
‘XYZ’ Main Admission Say Pehlay Main Nay Harvard University, New York University Main Bhi Apply Kiya Tha. Main Nay In Universities Ka Intekhab Is Liye Kiya Kyun Kay Mujhay Pata Hay Ye Dunya Kay Behtreen Institutions Hain Jo ‘ABC’ Field Main Undergraduate/Graduate/Post Graduate Program Offer kartay Hain.
QUESTION 5: Aap Nay Kaun Kaun Si Universities Main Apply Kya?
Mumkina Jawab:
Main Nay Apnay Career Goals Kay Lihaz Sau Aisay Institutions Ko Select Kiya Jin Kay Program Meray Career Path Kay Mutabiq Thay. Is Liye Main Nay MIT Aur University Of California Main Bhi Apply Kiya Tha.
QUESTION 6: Kiya Aap Ko Sab Universities Say Acceptance Letter Mil Gaya Tha?
Mumkina Jawab:
Ji Han, Mujhe Tamam Universities Main Acceptance Mil Gayi Thi.
Nahi, Mujhe Sab Universities Main Acceptance Nahi Mili Thi.
QUESTION 7: Kin Universities/Schools Nay Aap KO Reject Kiya Aur Kyun?
Mumkina Jawab:
Main Nay Jin Institutes Main Apply Kiya Tha Un Main Say Mujhe MIT Aur Harvard Main Acceptance Nahi Mili. Meri Rejection Ki Wajah Ye Thi Kay Un Kay Hisab Say Main Unkay Criteria Par Pura Nahi Utarta Tha.
QUESTION 8: Aap Apnay Mulk Main Hi Higher Education Hasil Kyun Nahi Kartay?
Mumkina Jawab:
Meray Mulk Main Bhi Achay Institutes Aur Achi Taleem Kay Moqay Hain Lekin In Ka USA Kay Idaron Say Tou Koi Muqabla Hi Nahi Hay. Dunya Ki High Ranking Universities Ki Zyada Ta’dad America Main Hay Aur Un World Class Institutes Say Degree Lena Kisi Ka Bhi Khwab Ho Sakta Hay.
Is Ke Ilawa Main Jis Field Main Study Karna Chahta Hun Uski Higher Education Ki Opportunities Meray Mulk Main Kam Hain (Ye Usi Waqt Kahen Agar Waqai Aisa Ho). Saath Saath America Ka Course Structure, Facilities Aur Faculty Ka Hamaray Mulk Main Milna Mumkin Nahi Hay.