Elon Musk Nay Jaisay Hi Twitter Ka Control Hasil Kiya Tou Indian Origin CEO Parag Agrawal Aur Legal Affairs Aur Policy Chief Vijaya Gaddde Ko Nikal Bahar Kar Diya Magar Aisa Lagta Hay Twitter Ab Kisi Indian Kay Baghair Chal He Nahi Sakta.

Twitter Kay Ex-Employee Sriram Krishnan Nay Tweet Main Bataya Hay Kay Woh Twitter Main Changes Kay Liye Elon Musk Ki Madad Kar Rahay Hain.

Magar Sawal Yeh Hay Kay Aik Indian Ko Nikalnay Kay Bad Musk Ko Dobara Aik Indian Ki Hi Zarurat Kiyun Pari?

Sriram Krishnan Aik Engineer Aur Highly Claimed Technologist Hain Jo Maazi Main Twitter Kay Core Consumer Product Team Aur Engineering Teams Ko 2017 Say 2019 Tak Lead Kar Chukay Hain. Unhonay Apni Policies Aur Skills Say 2 Salon Main Twitter Customers Main 20% Izafa Kiya Tha.

Iskay Ilawa Woh Mazi Main Meta Aur Microsoft Kay Liye Bhi Kaam Kartay Rahay Hain. Krishnan Nay Snapchat Aur Facebook Kay Liye Mukhtalif Mobile Ad Products Bhi Banaey Hain Aur Unki Monitoring Bhi Khud Ki Hay Jis Main “Direct Response Ads Business” Aur “Facebook Audience Network” Iss Waqt Display Advertising Main Sab Say Bary Network Main Say Aik Hain.

Elon Musk Apnay Twitter Pay Clear Kar Chukay Hain Kay Woh Chief Twitter Hain Aur Unhen Nahi Pata Kay Twitter Ka CEO Kon Hay, Yani Kay Mustaqbil Qareeb Main Twitter Apna CEO Muqarar Karyga.

Sawal Yeh Hay Kay Kiya Twitter Ka CEO Dobara Aik Indian Bannay Jaraha Hay? Kiya Twitter Per Indian Badshahat Barqar Rahay Gi? Intezaar Jald Khatam Hoga.

شیئر

جواب لکھیں