ChatGPT Nay Tou Artificial Intelligence (AI) Main Inqilaab Barpa Kerdia Hay. November Main Launch Honay Kay Baad Say Ab Tak ChatGPT Ki Popularity Main Izafa Horaha Hay. Experts Ka Kehna Hay Kay ChatGPT Bauhat Jald Google Ko Peechay Chorr Day Ga.

ChatGPT Hay Kia?

ChatGPT Aik Bot Hay Jo User Inputs Ka Jawab Dainay Kay Liay Banaya Gaya Hay, Aur Ye Bilkul Human-Like Response Daita Hay. Machine Learning Ki Madad Say Kaam Karnay Wala Ye Bot Buhat Expert Hay. Ye Aik Basic Software Code Bana Sakta Hay, Chhota Mota Financial Analysis Kar Sakta Hay, Balke Nazmain Aur Gaanay Bhi Likh Sakta Hay. Yahi Nahi Balke Ye Behtareen Naqal Utaar Sakta Hay, Kisi Bhi Subject Par Essay Likh Sakta Hay, Technical Papers Ya Scientific Concepts Ki Summary Pesh Kar Sakta Hay. Phir Chat-Based Customer Service, Yahan Tak Ke Personalized Advice Aur Answers Bhi Day Sakta Hay. Ya To Koi Jadu Lagta Hay!

Google Bhi Isi Line Per

Artificial Intelligence Nay Bhi Big Tech Companies Ko Decisive Blow Lagaya Hay, Google Hath Pair Marta Nazar Aa Raha Hay. ChatGPT Kay Aanay Kay Baad Google Management “Code Red” Issue Kar Chuki Hay, Kyunke As A Search Engine Us Ka Future Mushkil Main Parr Chuka Hay.

Ab Google Main AI Strategy Par High Profile Meetings Ho Rahi Hain, Aur Wo Bhi Apni AI Prototypes Aur Products Lanay Ka Kaam Tez Kar Raha Hay. Especially Dall-E Aur MidJourney Jaisi Art Aur Graphics Bananay Wali Technology Kay Muqablay Par, Jo Is Waqt Market Par Chhai Hui Hain. Phir Google Ka Chatbot LaMDA (Language Model For Dialogue Applications) Bhi Jald Launch Ho Sakta Hay, Google Itni Jaldi Launching Mein Reluctant Zarur Hay, Laikin Us Kay Paas Doosra Koi Raasta Nahi Hay.

Google Ka Kia Hoga?

Gmail Creator Paul Buchheit Nay Predict Kia Hay Kay ChatGPT Aik Say Dou Saal Main Inqilaab Laye Ga. Unhonay Claim Kia Kay AI Ki Waja Say Search Engine Result Page Khatam Hojaey Ga. In Pages Ki Waja Say Hi Google Ki Earning Hoti Hay. Paul Nay Yeh Bhi Bataya Kay Ager Google Nay AI Ko Control Ker Kay Fully Deploy Bhi Kerlia Mager Un Kay Business Ka Baishtar Hissa Khatam Hojaey Ga.

Yeh Bhi Exciting Baat Hay Kay Paul Kay Mutabiq, Browser Kay URL/Search Bar Ko AI Say Replace Kia Jasakta Hay. Jaisay He User Ki Taraf Say Koi Khayal Ya Sawal Type Kia Jaey Ga, Neechay Is Say Related Best Answer Ajaey Ga. Is Main Koi Link, Website Address Ya Koi Product Bhi Hosakti Hay.

Old Search Engine Backend Ko AI Sirf Relevant Information Gather Kernay Kay Liye Use Keray Ga Takay User Kay Liye Summarized Replies Generate Kiye Jasakain.

Google Ka Nuqsaan

Google Ki Zaida Taar Earning Advertising Say Hoti Hay. Jab Hum Google Per Kuch Search Keray Hain Tou Hum Wahan Per Ads Daikhtay Hain, Yahi Google Ko Kama Kar Detay Hain. Ager Search Engine Results Page Irrelevant Hojai, Aur AI Ki Waja Say Sirf Precise Answers Hi Milnay Lagain, To Kaun Irrelevant Links Dekhna Chahay Ga? Phir, Ads Ka Dhanda Bhi Khatam Samhain.

Ager Future Main Google Nay Apna ChatGPT Alternative Launch Bhi Kerdiya Tab Bhi User Google Kay Revenue Kay Important Source Say To Door Hojaein Gay. Laikin Yahi Dunya Hay, Waqt Badalta Rehta Hay, Nai Cheezain Aati Rehti Hain. Dekhtay Hain Is Naey Mein Aur Kya Naya Hoga?

شیئر

جواب لکھیں