Aik Asteroid, Jo Itna Ultra Valuable Hay Kay Puri Dunya Ki Total Global Economy Say 70,000 Times Ziada Maal Us Par Maujood Hay. Aisi Cheez Ho Aur Insaan Kay Dil Main Lalach Na Paida Ho? Aisay Kaisay Ho Sakta Hay? To NASA 124 Miles Kay Asteroid 16 Psyche Par Janay Kay Liye Spaceship Tayar Kar Raha Hay. Ye Aik Milestone Sabit Hosakta Hay, Agar October 2023 Tak Sab Kuch Plan Kay Mutabiq Hoa To Ye Space Mission Apnay Taweel Tareen Safar Per Rawana Hoga.

Ye Spaceship August 2029 Main Asteroid Tak Pauhanch Jaey Ga. 'Psyche Mission' Ko Pehlay 2022 Kay Akhir Main Launch Hona Tha Mager Kuch Development Problems Ki Waja Say Iss Main Delay Aa Gaya. Ab Situation Behtar Ho Gai Hay Aur Lagta Yahi Hay Kay Spaceship Apni Long Journey Kay Liye Tayyar Hay.

To Kya Aap Is Asteroid Aur NASA Exploratory Mission Kay Baray Jan'na Chahtay Hain? Interest Rakhnay Walon Ko To Yeh Baatain Buhat Exciting Lagain Gi.

16 Psyche Special Kion?

Is Giant Asteroid 16 Psyche Ko Italian Astronomer Annibale De Gasparis Nay 1852 Main Discover Kia Tha. Yeh 16th Asteroid Hay Jis Ko Discover Kia Gaya. Iss Ka Naam Greek Goddess Kay Naam Per Rakha Gaya. Iss Ka Size Taqreeban European Country Albania Kay Barabar Hay. Asteroid Ka Average Diameter 140 Miles Hay.

16 Psyche Asteroid Mars Aur Jupiter Kay Darmiyan Asteroid Belt Main Hai Aur Khayal Kiya Jata Hay Kay Yeh Kabhi Kisi Planet Ka Part Tha.

Scientists Ka Khayal Hai Jaisay Deegar Asteroids Rock Ya Ice (Pathar Ya Barf) Say Banay Hotay Hain, Psyche Almost Iron Aur Nickel Say Bana Hua Hay, Yani Iss Ki Surface Per Yeh Donon Metals Maujood Hain.

NASA Scientist Lindy Elkins-Tanton Nay 2017 Main Calculate Kia Tha Kay Is Asteroid Per Iron Content Itna Qeemati Hay Kay Iss Ki Worth $10 Hazar Quadrillion (Yani $10,000 Kay Baad Mazeed 15 Zeroes) Hay.

Mission Ka Maqsad

16 Psyche Ki Taraf Mission Kion Bheja Jaraha Hay?. Seedhi Si Baat Hay Mustabil Main Asteroid Mining Kay Imkaan Ka Jaiza Lainay Kay Liay. Phir Yahan Sirf Metals Hi Nahi, Aur Bhi Bauhat Kuch Moujoud Hay. Experts Ka Man'na Hay Kay Solar System Say Related Buhat Sari Mysteries Kay Answers Bhi Is Asteroid Ki Exploration Say Samnay Ajaein Gay.

Raftar Bharne Do

Isi Liye NASA Nay 2017 Main Hi Decide Kerliya Tha Kay Wo Is Asteroid Par Spacecraft Bhejay Ga Jo Closely Is Ki Study Ker Sakay Ga. NASA Ka Kehna Hay Kay Yeh Apni Tarz Kay Kisi Bhi Metallic Celestial Object Per Pehla Visit Hoga.

Psyche Ka Spaceship Kaisa Hoga?

Iss Spaceship Main Cutting-Edge Technologies Use Ki Jaein Gi. Specially Designed Hatchback Aur High Tech Equipment Asteroid Ko Study Kernay Main Help Kerain Gay. Iss Say Material Content Ko Samajhna Main Madad Mil Sakay Gi.

NASA Nay Bataya Hay Kai Is Main Multiple Cameras Lagay Hongay Jo Psyche Ki Images Lain Gay. Gamma-Ray Neutron Spectrometer Say Elemental Composition Jan'nay Main Madad Hasil Hogi.

Iss Kay Ilawa Magnetometer Say Magnetic Field Kay Baray Main Information Gather Hogi. Iss Study Say Yeh Samnay Ajaey Ga Kay Kia Psyche Kisi “Failed Planet” Ka Part Tha Ya Nahi.

Iss Space Mission Per Onboard Radio Bhi Hoga Jo Asteroid’s Gravity Aur Interior Structure Kay Baray Main Details Bhejay Ga.

Waqt Kitna Lagay Ga?

Kuch Months Pehlay Hi NASA Nay Space Mission Launch Kernay Ki Revised Date Announce Ki Thi.

Yeh New Timeline Jab Say Aai Hay, Experts Ka Kehna Hay Kay Yeh Space Mission Mars Kay Orbit Main 2026 Tak Puhanchay Ga, Jis Kay Baad Gravity Assist Say Yeh Asteroid Tak Jaey Ga Agar Sab Kuch Plan Kay Mutabiq Hoa To 2029 Tak Yeh Asteroid Per Land Ker Jaey Ga.

Spacecraft Per Tennis Court Jitney Baray Solar Panels Fit Kiye Jayen Gay Jo Is Kay Propulsion Unit Ko Electricity Generate Ker Kay Dain Gay. Traditional Rocket Kay Propulsion Say Differently Yeh Innovative Technology Electricity Say Xenon Gas Ko Xenon Ions Main Convert Keray Gi Jis Say Thrust Milay Ga.

NASA Nay Yeh Bhi Bataya Hay Kay Iss Mission Per Launch Samait 985 Million USD Cost Aaey Gi. June Balke 2022 Tak Hi Iss Mission Per 717 Million Dollar Spend Ho Chukay Hain.

شیئر

جواب لکھیں