Artificial Intelligence Hamari Daily Life Main Sab Kuch Badal Rahi Hay. Aap Nay Ager ChatGPT Ka Naam To Suna Hi Hoga, Ab Microsoft GPT AI Language Ko Test Kerna Shuru Kerdia Hay. Microsoft Ka Plan Hay Kay ChatGPT Ko Outlook, Word Aur PowerPoint Main Istemaal Karay.

Open AI Ki State Of The Art Technological Products ChatGPT Aur Dall-E 2 Text To Image Generation Aur ChatBot Main Inqilaab Lay Aai Hain.

ChatGPT Hay Kia?

ChatGPT Aik Bot Hay Jo User Inputs Ka Jawab Dainay Kay Liay Banaya Gaya Hay, Aur Ye Bilkul Human-Like Response Daita Hay. Machine Learning Ki Madad Say Kaam Karnay Wala Ye Bot Buhat Expert Hay. Ye Aik Basic Software Code Bana Sakta Hay, Chhota Mota Financial Analysis Kar Sakta Hay, Balke Nazmain Aur Gaanay Bhi Likh Sakta Hay. Yahi Nahi Balke Ye Behtareen Naqal Utaar Sakta Hay, Kisi Bhi Subject Par Essay Likh Sakta Hay, Technical Papers Ya Scientific Concepts Ki Summary Pesh Kar Sakta Hay. Phir Chat-Based Customer Service, Yahan Tak Ke Personalized Advice Aur Answers Bhi Day Sakta Hay. Ya To Koi Jadu Lagta Hay!

Microsoft Kia Ker Raha Hay?

Microsoft Nay Openai GPT Text-Generator Model Implement Kerdia Hay. Yeh Is Kay Auto Complete Feature Ka Upgrade Hay. PowerPoint Aur Outlook Per GPT AI Features Ko Test Kia Jaraha Hay. Is Main Aisay Functions Shamil Hongae Jis Kay Zariye Outlook Search Results Ko AI Driven Speech Commands Say Link Kerdiya Jaye Ga.

Outlook Aur Word Main Bhi AI Models Arahay Hain. In Main Emails Kay Liye Suggested Replies Kay Options Hongae. Iss Kay Ilawa Recommended Document Changes Bhi Hongi Jo Ap Ki Writing Skills Ko Nikhaar Dain Gi.

Consumer Reservations

Kuch Loogn Nay Sawal Uthaei Kay Kia ChatGPT Ka Istemaal Practically Aur Morally Theak Rahay Ga. Microsoft Nay Is Ka Istemaal Mazeed Functional Andaz Main Kernay Per Souchna Shuru Kerdia Hay.

Abhi Tak Waisay Aisa Koi Ilaan Nahi Hoa Hay Kay Microsoft Office Consumer Facing Versions Introduce Kab Taak Kerwaei Ga.

Taham Is Mamlay Main Privacy Aik Obstacle Hosakta Hay. Microsoft Kaisay Corporate Data Ki Privacy Ko Preserve Keray Ga? Is Silsilay Main Law Firms Aur Financial Services Company Ko Reservations Hosakti Hain Kion Kay Yeh Idaray Sara Dinn Microsoft Office He Use Kertay Hain Woh Kaisay Chatgpt Per Switch Kerain Gae.

Google Bhi Iss Line Per Agaya

Artificial Intelligence Nay Bhi Big Tech Companies Ko Decisive Blow Lagaya Hay, Google Hath Pair Marta Nazar Aa Raha Hay. ChatGPT Kay Aanay Kay Baad Google Management “Code Red” Issue Kar Chuki Hay, Kyunke As A Search Engine Us Ka Future Mushkil Main Parr Chuka Hay.

Ab Google Main AI Strategy Par High Profile Meetings Ho Rahi Hain, Aur Wo Bhi Apni AI Prototypes Aur Products Lanay Ka Kaam Tez Kar Raha Hay. Especially Dall-E Aur MidJourney Jaisi Art Aur Graphics Bananay Wali Technology Kay Muqablay Par, Jo Is Waqt Market Par Chhai Hui Hain. Phir Google Ka Chatbot LaMDA (Language Model For Dialogue Applications) Bhi Jald Launch Ho Sakta Hay, Google Itni Jaldi Launching Mein Reluctant Zarur Hay, Laikin Us Kay Paas Doosra Koi Raasta Nahi Hay.

شیئر

جواب لکھیں