Rupee Girta Hai To Pakistanion Ke Dil Is Tarha Dehaltay Hain Jis Tarha Bachay Ke Girnay Par Maa Baap Ke Dil Dehal Jatay Hain. Magar Pakistani Ye Sadma Pichlay 75 Saal Se Seh Rahay Hain. Dollar Ke Muqablay Main Rupee Zameen Par Aata Ja Raha Hay Aur Mehengai Aasman Par Pohanchti Ja Rahi Hay. Rupay Ki Naqadri Ka Silsila Aik Saal Main To Kuch Ziyada Hi Taiz Ho Gaya Hay. Pichlay Saal 160 Rupay Main Milnay Wala Dollar Is Saal 250 Main Bhi Nahi Mil Raha. IMF Ki Sakht Conditions Ke Baad Dollar Mazeed Mehanga Honay Ka Imkaan Hay.

Itni Devaluation Ke Bawajood Pakistani Rupee Duniya Ki Un Currencies Mein Shaamil Nahi Jin Ki Value Dollar Ke Muqablay Main Intehai Kam Hay. 2022 Mein Duniya Ki 10 Cheapest Currencies Ye Raheen.

Venezuelan Bolivar

Raftar Bharne Do
Image credit Holger Kleine via Shutterstock

Venezuela Kai Saal Se Political Instability, Economic Mismanagement, Aur High Inflation Ka Shikar Hay. Yehi Wajah Hay Ke Venezuelan Bolivar Latin America Ki Chepest Currencies Main Shamil Hay. Aik Us Dollar Almost 1,837,000 Bolivars (Vef) Tak Pohnch Chukka Tha. Venezuela Dunya Ke Top Oil Producers Main Shamil Hay Aur Is Ki Gdp 82 Billion Us Dollars Hay. Us Ke Bawajood Political Crisis Ki Wajah Se Economy Stable Nahi Ho Pa Rahi. 2021 Main Venezuela Ki Government Ne Apni Currency Se 6 Zero Hata Diye Aur Nai Currency Bolívar Soberano Introduce Karai. Is Ke Baad Aaj Kal Aik Dollar 18.37 Bolivars (Ves) Ka Ho Gaya Hay.

Iranian Riyal

Raftar Bharne Do
Image credit Prachaya Roekdeethaweesab via Shutterstock

Iranian Riyal Bhi Dunya Ki Sasti Tareen Currencies Main Se Aik Hay. In Dinon Aik Dollar Mian Approximately 41,800 Rials Mil Jatay Hain. 1979 Main Islamic Revolution Ke Baad Se Irani Rial Musalsla Neechay Aata Raha Hay. 1980 Se 1988 Tak Iraq Se Jang Ki Wajah Se Bhi Economy Ko Nuqsan Pohncha. Us Ke Baad Iran Per Nuclear Ambitions Ka Ilzam Laga Kar West Ne Sanctions Laga Deen Jo Ab Tak Jari Hain. Yehi Wajah Hay Ke Oil Aur Gas Ka Large Reserves Ke Bawajood Iran Ke Economic Prolblems Khatam Nahi Ho Rahay.

Vietnamese Dong

Raftar Bharne Do
Image credit Prachaya Roekdeethaweesab via Shutterstock

Vietnam Ki Currency Bhi Kai Decades Se Downward Safar Kar Rahi Hay. Aik Dollar 23,000 Vietnamese Dong Ka Ho Chukka Hay. Ye Is Baat Ka Signal Hay Ke Dusri Asian Markets Ke Muqablay Main Vietnam Main Financial Modernaization Slow Hay. Is Ke Bawajood 2022 Main Country Ke GDP 413 Billion US Dollar Rahi Jo Is Ye Zahir Karti Hay Ke Vietnam Main Economic Potential Bohat Hay.

Indonesian Rupiah

Raftar Bharne Do
Image credit Ridwan Zulfirman via Shutterstock

Indonesia Ki Stable Economy, Munasib Gdp Aur High Development Index Ke Bawajood Indoesian Rupiah Dunya Ki Least-Valued Currencies Main Shamil Hay. Aaj Kal Aik Dollar 15,500 Rupiyah Ka Hay. Hyperinflation Aur Market Volatility Ki Wajah Se Indonesian Rupiyah Kabhi Bhi Successful Currency Nahi Raha. Guzishta 20 Saal Main Rupiyah Ki Value Half Reh Gayi Hay. Indonesia Ki Government Apni Currency Ke Value Maintain Rakhnay Ki Kai Efforts Kar Chuki Hay Lekin Kamyabi Nahi Mili.

Colombian Peso

Raftar Bharne Do
Image credit Andrzej Rostek via Shutterstock

South America Ki Lowest-Valued Currencies Main Shamil Colombian Peso History Main Kai Baar Devalue Ho Chuka Hay. Aik Zamanay Main Peso Us Dollar Ke Almost Barabar Tha Lekin Aaj Kal 4,500 Peso Ka Ho Chukka Hay. 342 Billion Us Dollar Ki Gdp Ke Bawajood Political Instability Aur Mismanagement Ki Wajah Se Colombia Ki Economy Crisis Ka Shikar Hay.

Sierra Leonean Leone

Raftar Bharne Do
Image credit Janusz Pienkowski via Shutterstock

West African Mulk Sierra Leone Natural Resources Se Malamal Hay Lekin Us Ke Bawajood Poverty Aur Economic Troubles Se Dochar Hay. Civil Wars Aur Ebola Virus Outbreak Ki Wajah Se Leone Ki Value Kafi Arsay Se Mustaqil Gir Rahi Hay. Aik Dollar 18,850 Leone (Sll) Ka Ho Chuka Hay. 2022 Main Government Ne Devaluation Ko Control Karnay Ke Liye Nai Currency Sierra Leone (Sle) Issue Ki. 1 Sle 1,000 Sll Ke Barabar Qarar Diya Gaya.

Laotian Kip

Raftar Bharne Do
Image credit Michael Zysman via Shutterstock

Laos Ki Currency Bhi Dunya Ke Cheapest Currencies Main Se Hay. Aik American Dollar Main 17,500 Kips Mil Jatay Hain. Yehi Wajah Hay Ke Kips Southeast Asia Ke Weakest Currencies Main Shumar Kiya Jata Hay. Laos Ki Government Apni Currency Ki Valus Stable Karnay Ke Liye Efforts Kar Rahi Hay. Lekin Mulk Ki Gdp Growth Jo 2010 Mian 8% Thi 2022 Main Sirf 2.2% Reh Gayi Hay. Yani Kips Ke Liye Mushkilat Barqarar Hain.

Uzbek Sum

Raftar Bharne Do
 Image credit Bakhodir Saidov via Shutterstock

Soviet Union Se Azadi Ke 30 Saal Baad Bhi Uzbekistan Ki Economy Challenges Ka Shikar Hay. Sums Ki Value Bhi Fluctuate Hoti Rehti Hay. In Dino Aik Us Dollar 11,000 Sums Ka Ho Chukka Hay. Yani Ye Central Asia Ke Least-Valued Currency Main Shamil Hay. Uzbek Government Economic Reforms Keen Jis Ke Baad Economy Sambhalnay Lagi Thi Aur Covid-19 Pandemic Ke Baad Bhi 5% Gdp Growth Achieve Ki Gayi.

Guinean Franc

Raftar Bharne Do
Image credit Prachaya Roekdeethaweesab via Shutterstock

Sierra Leone Ke Paros Main Waqay Mulk Guinea Ki Currency Bhi Bohat Cheap Ho Chuki Hay. Guinea Main Kai Decades Se Inflation Aur Political Instability Hay. Aaj Kal Aik Dollar 8,600 Guniean Franc Ka Ho Chuka Hay.

Cambodian Riel

Raftar Bharne Do
Image credit Henning Marquardt via Shutterstock

Kai Saal Ki Brutal Dictatorship, Communist Civil War, Poverty, Aur Economic Mismanagement Ka Nateeja Combodia Ki Economy Ki Tabahi Ki Surat Main Nikla Hay. Southeast Asia Ke Is Mulk Main Dollar Ki Qeemat 4,000 Riel Ho Chuki Hay. Fluctuation Ki Wajah Se Tourist Aur Locals Retail Purchase Ke Liye Riel Ke Bajaye Us Dollar Aur Dusri Currencies Use Kartay Hain.

شیئر

1 تبصرہ

جواب لکھیں