Kobe Bryant America Ke Basketball Player Thay. Un Ka Shumar America Ke Greatest Players Main Hota Hay. 20 Saal Ke Kamyab Career Main Unhon Ne Kai Awards Hasil Kiye. Success Aur Greatness Ke Hawalay Se Un Ke 10 Rules Bohat Famous Hain. Aaiye In Rules Ka Jaiza Letay Hain. Aap Ki Asani Ke Liye Hum Ne In Rules Ko Thora Define Bhi Kar Diya Hay.

Raftar Bharne Do

1. Get Better Every Single Day

Aap Ka Har Din Pichlay Din Se Behtar Hona Chahiye. Agar Aisa Nahi Hay Tou Is Ka Matlab Ho Ga Ke Aap Life Main Aagay Nahi Barh Rahay. Is Liye Har Din Kuch Naya Seekhnay, Kuch Naya Jannay Ki Koshish Kijiye.

2. Prove Them Wrong

Aam Tor Per Log Kisi Ko Kamyab Hota Hua Nahi Dekh Saktay. Is Liye Wo Un Ki Ability Per Shak Kartay Hain. Un Ko Discourage Kartay Hain. Aap Kisi Ki Parwa Na Kijiye Aur Apni Kamyabi Se Logon Ki Raaye Ko Ghalat Sabit Kar Dijiye.

3. Work On Your Weaknesses

Har Insan Main Kuch Na Kuch Kamzorian Hoti Hain. Apni Weaknesses Ko Pehchaniye Aur Un Ko Dur Kijiye.

4. Execute What You Practiced

Zindagi Main Sirf Seekhna Hi Aham Nahi Hota Us Se Bhi Zyada Aham Ye Hota Hay Ke Jo Seekha Hay Us Per Amal Kiya Jaye. Execution Ke Bagahir Practice Be Faida Rehti Hay.

Raftar Bharne Do

5. Learn From Greatness

Greatness Ke Apnay Taqazay Hotay Hain. Is Liye Agar Aap Bhi Graet Banna Chahtay Hain Tou Dusray Graet Logon Se Seekhiye. Apnay Role Models Ki Achay Behaviors Ko Apnaiye.

6. Learn From Wins And Losses

Haar Se Tou Aksar Log Sabaq Seekh Letay Hain Lekin Jeetnay Walay Aam Tor Per Jeet Ki Khushi Main Un Ghalation Ko Bhool Jatay Hain Jo Is Safar Main Unhon Ne Ki Hoti Hain. Is Liye Aap Na Sirf Losses Se Learn Kijiye Balkay Wins Se Bhi Learn Karnay Ki Koshish Karen.

7. Practice Mindfulness

Be Dili Aur Be Dimaghi Se Kiya Hua Kaam Main Perfection Nahi Aati, Na Aap Ko Inner Satisfaction Mil Sakti Hay. Mindfulness Se Aap Ko Har Kaam Har Cheez Main Lutf Aanay Lagay Ga.

8. Be Ambitious

Ambition Na Ho Life Colorless Ho Jati Hay. Apna Ambition Clear Rakhen Aur Phir Apni Tamam Energy Us Ambition Ko Hasil Karnay Main Kharch Karen.

9. Believe In Your Team

Aap Chahay Team Leader Hon Ya Team Member Apni Team Main Believe Karna Aap Ke Liye Bohat Zaruri Hota Hay. Success Ke Liye Teamwork Ki Importance Sab Se Zyada Hoti Hay. Agar Team Ka Koi Member Kamzor Parta Hay Tou Baqi Team Us Ko Compensate Kar Leti Hay. 

10. Learn Storytelling

Aap Ka Taaluq Chahay Kisi Bhi Field Se Ho, Success Aur Greatness Ke Liye Story Telling Ka Hunar Bohat Ahmiat Rakhta Hay. Ye Story Telling Skill Hi Hoti Hay Jis Se Aap Apna Narrative Build Kartay Hain. Apna Point Of View Dusron Ko Batatay Hain. Apni Product Ya Service Sell Kartay Hain. Logon Ko Motivate Kartay Hain. 

شیئر

جواب لکھیں