Kehtay Hain Khali Jaib Ka Bojh Bohat Zyada Hota Hay. Jaib Main Paisay Hon Tou Dunya Rangeen Nazar Aati Hay. Jaib Khali Ho Tou Jug Soona Soona Lagta Hay. Yehi Haal Mulk Ka Bhi Hota Hay, Khazana Bhara Ho 'All Is Well' Hota Hay, Khazana Main Maal Na Ho 'All Is Hell' Ho Jata Hay. Pehlay Mulk Ke Khazanay Main Gold, Diamonds Aur Precious Stones Rakhay Jatay Thay. Aaj Kal Zyada Tar Mulkon Ke Khazanay Main Foreign Currencies Rakhi Jati Hain Jo Foreign Exchange Reserves Kehlatay Hain.

Forex Reserves Aam Tor Per Central Bank Ke Paas Hotay Hain. In Ke Zariy Liabilities Ki Payment Ki Jati Hay Aur Monetary Policy Isi Se Influenced Hoti Hay. Foreign Exchange Reserves Main Banknotes, Deposits, Bonds, Treasury Bills Aur Dusri Government Securities Shamil Hoti Hain. Zyada Tar Foreign Exchange Reserves US Dollar Main Rakhay Jatay Hain Kyunke Ye Dunya Ki Sab Se Zyada Traded Currency Hay. Lekin Is Ke Ilawa British Pound (GBP), Euro (EUR), Chinese Yuan (CNY) Aur Japanese Yen (JPY) Bhi Reserve Main Rakhay Jatay Hain. Kyunke Ye Bhi Stable Currencies Hain.

Foreign Exchange Reserves Kesay Barhtay Hain?

Jab Kisi Mulk Ka Budget Surplus Hota Hay, Yani Domestic Revenue Zyada Ho Aur Kharcha Kam Ho Tou Bach Janay Walay Paisaon Se Foreign Exchange Khareed Liya Jata Hay. Isi Tarah Jis Mulk Ka Trade Balance Surplus Main Ho Yani Exports Zyada Hon Aur Imoports Kam Hon Tou Us Surat Main Bhi Foreign Exchange Mulk Main Aata Hay. Is Tarah Foreign Exchange Reserves Barhtay Jatay Hain. Jis Mulk Ke Paas Sb Zyada Forex Reserves Hon Us Ki Economy Utni Hi Zyada Strong Samjhi Jati Hay.

 Lekin Jo Mulk Budget Deficit Aur Trade Deficit Ka Shikar Hon Un Ke Foreign Exchange Reserves Khatam Honay Lagtay Hain Aur Un Mulkon Ko Loan Le Kar Guzara Karna Parta Hay.Loan Ki Waqt Per Payment Na Hou Tou Default Ka Khatra Paida Ho Jata Hay. Foreign Exchange Reserves Na Honay Se Imports Aur Deegar Liabilities Ki Payment Mushkil Honay Lagti Hay. Jesa Ke Aaj Kal Pakistan Ke Saath Ho Raha Hay.

Kis Ke Paas Kitnay Foreign Exchange Reserves Hain?

Pakistan Ke Forex Reserves 5 Billion Dollars Se Bhi Kam Reh Gaye Hain. Aur Ab Ye Haal Hay Ke Government Default Se Bachnay Ke Liye Dar Dar Ja Kar Imdad Aur Khairat Maang Rahi Hay. Dusri Taraf Dunya Bhar Ko Dekhen Tou Pakistan Ke Baad Independence Hasil Karnay Walay Aur Pakistan Se Area Aur Population Main Kaheen Chhotay Mulk Ke Forex Reserves Main Pakistan Se Bohat Aagay Hain.

Foreign Exchange Reserves Ke Lehaz Se Is Waqt China Dunya Main Sab Ko Lead Kar Raha Hay. China Nay Bohat Arsay Se Dunya Bhar Ki Markets Ko Capture Kiya Hua Hay Aur Us Ki Exports Imports Se Bohat Zyada Hain. 2020 Main China Ka Trade Surplus $450 Billion Se Zyada Raha Tha. Yehi Wajah Hay Ke China Ke Forex Reserves 3,289 Billion US Dollar Ho Chukay Hain. Dusray Number Per Japan Aata Hay Jis Ki Population Aur Area Pakistan Se Adha Hay, Magar Us Ke Reserves Dekhen Tou Aankhen Khuli Reh Jati Hain. 1226 Billion US Dollars Ke Saath Japan Ka Shumar Dunya Ke Strong Economies Main Hota Hay.

China Foreign Exchange Reserves

Is List Main 3rd Number Per Switzerland Hay Jis Ke Foreign Exchange Khazanay Main Almost 885 Billion US Dollars Hain. Russia Aur America Ki Dushmani Agarchay Purani Hay Lekin Russia Ne Bhi Khoob American Dollar Jama Kar Rakhay Hain. 581 Billion US Dollars Reserves Hi Ki Wajah Se Sanctions Ke Bawajood Russia Ki Currency Stable Rehti Hay.

India Jo Pakistan Ke Saath Hi Azad Hua Tha, Abadi Main Hum Se Almost 7 Times Aur Area Main 4 Times Bara Hay. Magar Us Ke Foreign Reserves Pakistan Se 150 Times Zyada Hain. 562 Billion US Dollar Ke Sath India Is List Main 5th Number Per Hay.

Top 20 Main Shamil Dusray Mulkon Ki Baat Karen Tou Hong Kong Aur Singapore Area Aur Population Main Karachi Se Bhi Chotay Hain. Magar In Ke Exports Puray Pakistan Se Zyada Hain. 22 Crore Abadi Ka Pakistan Sakhat Koshish Ke Bawajood Sirf 30 Billion Us Dollar Ki Exports Karta Hay Jabkay 55 Lakh Abadi Ka Singapore 662 Billion Us Dollars Ka Maal Bahar Bhejta Hay Aur Har Saal 50 Se 60 Billion Dollars Trade Suplus Main Bachata Hay.

Isi Tarah Top 20 Main Shamil South Korea, Farnce, Italy, Thailand, Israel, France, Italy, UK, Poland Ye Sab Mulk Bhi Pakistan Se Area Aur Population Main Kam Hain. Magar Achi Economy Management Ki Wajah Se In Ke Khazanay Bharay Huay Hain.

Pakistan Region Main Kis Position Per Hay?

Ye Tou Top 20 Mulkon Ki Baat Hui. Population Ke Lehaz Se Pakistan Dunya Ka 5th Bara Mulk Hay Magar Foreign Exchange Reserves Ke Lehaz Se Top 20 Tou Kiya Top 50 Main Bhi Shamil Nahi Hay. Is Se Bhi Zyada Afsosnak Baat Ye Hay Ke Pakistan South Asia Ke Dusray Mulkon Se Bhi Peechay Hay. India ke elawa Bhi Dekhen Tou 1971 Main Pakistan Se Alag Honay Wala Bangladesh Tou Bohat Aagay Nikal Chukka Hay Magar Afghanistan Jesay Mulk Ke Reserves Bhi Hum Se Zyada Hain.

Sirf Bhutan Aur Default Karnay Wala Sri Lanka Aur Maldives Ke Reserves Hum Se Kam Hain. Lekin In Ki Chhoti Economy Aur Kam Population Ki Wajah Se In Ka Pakistan Se Comparison Nahi Banta.

Geneva Main Pakistan Ki Imdad Ke Liye Honay Wali Conference Main International Community Ne Pakistan Ko 9 Billion Dollars Donation Denay Ka Ailan Kiya Hay. Is Se Pakistan Ke Forex Reserves Main Kuch Behtri Aaye Gi Aur Default Ka Khatra Kam Ho Ga. Lekin Ye Koi Permanent Solution Nahi Hay. Pakistan Ko Turmoil Se Nikalnay Ke Liye Apni Economic Policy Main Bunyadi Tabdeeliyan Karni Hon Gi. Trade Deficit Ki History Change Karni Ho Gi. Is Ke Liye Political Parties Ko Apnay Differences Khatam Kar Kay Charter Of Democracy Per Ittefaq Karna Ho Ga.

شیئر

جواب لکھیں