Samsung Kay Cellphones Hamesha Apnay Features Aur User Friendly Honay Ki Waja Say Popular Rahtay Hain. In Phones Main Woh Sab Hota Hay Jo Modern Day Trends Aur Needs Ko Poora Kerta Hay. Ab Samsung Nay Galaxy S23 Ultra Launch Kardia Hay Jis Kay 3 Models Market Main Agaey Hain.

Flagship Series Main Samsung Nay Galaxy S23 Kay 3 Version Launch Kiye Hain. In Main Galaxy S23, S23 Plus Aur S23 Ultra Shamil Hain.

Smart Balke Kamal Features

Samsung S23 Series Main Pehli Baar 200 Mega Pixel Ka Camera Use Kiya Gaya Hay. Iss Main Snapdragon 8 Generation 2 Ka Tez-Raftar Processors Hain. Aur Ye Mil Kar Chala Rahay Hain Android 13 Operating System.

Yeh Phone 4 Different Colors Main Available Hoga. In Main Phantom Black, Cream, Green Aur Lavender Color Shamil Hain. Galaxy S23 Smart Phone Series Apnay Pichlay Model Kay Muqablay Main Ziada Tez-Raftar Aur Powerful Camera Kay Sath Introduce Kerwaya Gaya Hay.

Outstanding Camera

Iss Phone Ka Sub Say Outstanding Feature Hay Is Ka 200 Mega Pixel Camera. Front Per 12 Mega Pixel Selfie Camera Hay Aur Back Side Per 4 Camera Setup Hay. Backside Cameras Main 12 Mega Pixel Ultra Wide Bhi Camera Shamil Hay.

Ye Jadeed Camera Low Light Main Behtaren Image Aur Video Capture Kernay Ki Ability Rakhta Hay. Phone Ki 5000 mAh Battery Buhat Hi Jaandar Hai.

Iss Phone Ko Note Book Kay Toar Per Use Kernay Ka Feature Bhi Moujod Hay. Iss Kay Liye PEN Bhi Phone Kay Sath Diya Gaya Hay. Pen Ko Rakhna Kay Liye Phone Mai Nay Space Moujod Hay, Jaisa Kay Samsung Kay Phones Mein Hoti Hay.

Price Range

Ab Baat Hojaey Is Ki Price Ki: New Models Ki Price Last Year Introduce Kerwai Gaey Phones Kay Barabar Hi Rakhi Gai Hain. Galaxy S23 Ki Price 799 Dollar Hay. Yeh Pakistani Currency Main 2 Lakh 12 Hazar Rs. Say Ziada Bantay Hain. S23 Plus Ki Price 999 Dollar Hay Jo Pakistani Currency Main 2 Lakh 65 Hazar Rs. Bantay Hain. S23 Ultra 1199 Dollar Main Dastiyab Hai. Pakistan Currency Main Yeh 3 Lakh 18 Hazar Rs. Bantay Hain. Ab Dekhtay Hain Kay Ye Phones Actually Pakistan Main Kitnay Kay Milain Gay?

شیئر

جواب لکھیں