Pakistan Mein To Dollar Ki Uran Jari Hai, Jisay Koi Rokta Hua Nazar Nahi Aata, Laikin Globally Dollar Ki Ijaradari Per Khatraat Mandlanay Lagay Hain. Global Trade Aur Investment Flows Per Dollar Ki 'Dominance' Kam Honay Ka Imkaan Hay. Yeh Saab Iss Liye Hosakta Hay Kion Kay Buhat Saaray Mulk Alternative Currencies Use Kernay Ka Plan Ker Rahay Hain.

Kia Aap Jantay Hain Kay China Aur Russia Kay Ilawa India Aur Brazil Bhi Non-Dollar Unit Main Trade Kernay Ki Planning Ker Rahay Hain? Yeh Bhi Plan Ka Hissa Hay Kay Local Currency Kay Ilawa Gold-Backed Stable Coin Aur Aik New BRICS Reserve Currency Bhi Market Main Introduce Kerwai Jaey.

Dollar Ko Kai Saal Belkay Decades Say World’s Reserve Currency Kay Toar Per Supreme Status Hasil Hay. Cross Border Trade Main Dollar Ko Importance Di Jati Hay Aur Oil Jaisi Commodities Ki Trade Dollar Mai Hi Hoti Hay. Price Stability Ki Waja Say Investors’ Dollar Ko Safe-Haven Asset Samajhtay Hain Aur Economic Aur Geopolitical Uncertainty Main Dollar Hamesha Vital Factor Hota Hay.

Last Year Dollar Ki Value Main Mazeed Izafa Hoa Jab US Interest Rates Main Surge Daikhi Gai. Iss Kay Baad Foreign Investors Ki Dollar Main Investment Barh Gai. 2022 Kay First 9 Months Main Dollar 17% High Raha Mager Uss Kay Baad Is Ki Value Main Kuch Kami Ai.

Dollar Ki Supremacy Khatam Kernay Kay Liye Steps Liye Jarahay Hain Mager Inn Kay Results Aanay Main Time Lag Sakta Hay.

Brazil-Argentina Common Currency

Brazil Aur Argentina Nay Announce Kiya Hay Kay Kay Dono Mulk Mil Ker Joint Currency Launch Kernay Ki Planning Ker Rahay Hain. Iss Currency Ko “Sur” Ka Naam Diya Ja Raha Hay Jis Kay Meaning Hain 'South'. Yeh Currency Eventually Doosray South American Countries Main Bhi Introduce Kerwai Jaey Gi.

Common Currency Aanay Say South American Trade Ko Boost Milay Ga. Is Ki Waja Say Conversion Costs Aur Exchange Rate Uncertainty Ko Bhi Control Kia Jasakay Ga.

Russia-Iran Gold-Backed Stablecoin

Russia Aur Iran Nay Bhi Joint Currency Ki Planning Kerna Shuru Kerdi Hay. Yeh Cryptocurrency Gold Ki Backing Say Market Main Launch Ki Jaey Gi. Yeh Aik Stablecoin Hoga Jo International Trade Main Payments Kay Liye Dollar Ko Replace Keray Ga.

Eham Baat Yeh Hay Kay Western Sanctions Say Iran Aur Russia Donon Effected Hain. Iss Liye Aik Joint Currency Ko Back Kia Jaraha Hay Takay Region Ko Stable Kiya Ja Sakay.

UAE-India Non-Oil Trade Rs. Main?

United Arab Emirates Aur India Nay Non-Oil Trade Ko Rupees Main Kernay Ka Idea Float Kiya Hay. Yeh Move Last Month Honay Walay Trade Agreement Per Kiya Gaya Hai.

China Nay Bhi Non-Oil Trade Local Currency Main Kernay Ka Idea Diya Hay. Iss Main Woh Currencies Shamil Hongi Jin Ki Backing Dollar Nahi Ker Raha Hay.

Yuan in Oil Trades

China Nay Yeh Bhi Souchna Shuru Kerdia Hay Kay Dollar Ko Kaisay Weak Kia Jaey? Is Silsilay Main Yuan Ko Market Main Push Kia Jaraha Hay Takay Oil Deals Main Iss Currency Ko Use Kiya Jasakay.

1970s Say Global Oil Transactions Dollar Mai He Horahi Hain Aur Yuan Kay Market Main Aanay Say Petrodollar Regime Disturb Hogi. Dekhtay Hain Itni Sari Developments Main Say Kaun Si Materialize Hoti Hay.

شیئر

جواب لکھیں