Cellphone Hamari Zindagi Ka Hissa Baan Chukay Hain. Social Media Nay Life Ka Buhat Sa Hisa Consume Kiya Hoa Hay. Cellphone Ka Istemaal Aisa Hota Hay Kay Hum Sotay Hoay Bhi Browsing Ya Social Media Ko Check Kiye Baghair Nahi Sotay. Kuch Logon Ki To Neend Say Uth Ker Pehli Nazar Hi Apnay Cellphone Per Jati Hay. Laikin Log Kehtay Hain Cellphone Bedside Par Rakh Ker Sonay Say Bara Nuqsan Hota Hay Aur Is Say CANCER Bhi Ho Sakta Hai.

Laikin... Cellphone Radiation Main Itna Potential Nahi Hota Kay Cancer Risk Main Izafa Ker Sakay. Aap Kay Phone Say Jo Radiation Nikalti Hay Woh Dangerous Nahi Hoti. Is Kay Muqablay Main X-Rays Say Nikalnay Wali Rays Ionizing Radiation Rakhti Hay Aur Aap Kay DNA Ko Damage Kerti Hain. Yahi Waja Say Wo Cancer Ka Risk Barha Sakti Hain.

Myth About Cellphone

Jo Radiation Cellphone Say Nikalti Hain Un Ko Radiofrequency Radiation Kehtay Hain Aur Woh Nonionizing Hoti Hain. Yeh DNA Ko Damage Nahi Kerteen. Experts Ka Yeh Bhi Kehna Hay Sirf Cellphone Say He Radiofrequency Radiation Nahi Nikalti Balkay Radio Aur TV Signals Say Bhi Yeh Radiation Nikalti Hay.

Neurologic Oncology Kay Expert Stephanie Weiss Kay Mutabiq Cellphone Aur Cancer Kay Darmiyan Kisi Link Ka Pata Chalanay Kay Liye Large Meta-Analyses Kiye Gaey Magar Koi Claim Samnay Nahi Asaka. Iss Liye Abhi Aisa Koi Evidence Ya Reason Samnay Nahi Aya Kay Cellphone Say Cancer Phelta Hay.

Sleep Disturbance Due To Cellphone

To Jab Study Main Yeh Baat Samnay Aa Chuki Hay Cellphone Say Cancer Nahi Hota, To Iss Ka Matlab Yeh Nahi Kay Aap Bedside Par Rakh Kar Hi Soyen. Kyunke Raat Ko Sonay Say Pehlay Cellphone Use Karnay Kay Against Buhat Evidence Maujood Hain.

Is Harkat Say Aap Ki Neend Disturb Hoti Hay. Phir, Cellphone Nazdeek Honay Say Neend Aap Ko Mushkil Ho Sakti Hai. Jaisa Ke Achanak Phone Ki Beep Bajnay, Koi Message Anay Ya Cellphone Say Koi Aur Alarm Bajnay Say Aap Ki Neend Urr Sakti Hai. Neend Tootnay Say Aap Ka Sukoon Muta'sir Ho Sakta Hai Aur Is Baat Ka Zehn Per Zaroor Asar Paray Ga.

شیئر

جواب لکھیں