Brazil Argentina Common Currency Par Kaam Kar Rahay Hain. Doosray South American Countries Ko Invite Karna Bhi Un Kay Plan Ka Hissa Hay. Agar Aisa Hua To Eurozone Kay Baad Dunya Ki 2nd Biggest Monetary Union Ban Jaey Gi.

Is Currency Ka Naam Kya Hoga? Suggest To ‘Sur’ Kia Ja Raha Hay, Jo Spanish Mein South Ko Kehtay Hain, Laikin Agar Hum Say Pochain To Is Currency Ka Naam ‘Loco’ Hona Chahiye, Yani Pagal-Pan. Kyunke Ye Mansooba Hi Pagal-Pan Hay.

Hum Ye Nahi Keh Rahay Ke South America Ko Wo Importance Hasil Nahi Jo Europe Ko Mili Hui Hay. Balke Waja Hay European Union Ka Bhayanak Tajurba, Jo Puri Dunya Kay Liay Warning Hona Chahiye.

Single Currency Aur Weak Members

Raftar Bharne Do

Single Currency Say Sub Say Bara Khatra Economically Weak Members Ko Hota Hay. European Union Kay Kamzor Mulk Samajh Rahay Thay Ke Rich Countries Kay Sath Currency Share Kar Kay Unhain Faida Puhanchay Ga. Laikin Phir Hua Kya? Global Financial Crisis Nay Eurozone Crisis Ko Janam Dia Aur PIIGS Nay Janam Lia Yani Portugal, Italy, Ireland, Greece Aur Spain Ki Mini Market Nay.

Wo Apnay Interest Rates Ko Adjust Karnay Ya Currency Ko Devalue Karnay Main Nakaam Rahay Aur Phir In Mulkon Ko Majboor Ho Kar Austerity Programs Qubool Karna Paray. Aaj Tak Wo European Central Bank Ki Taraf Dekhtay Rehtay Hain. Jo Ameer Taqat-War Mulkon Kay Mafaad Mein Chalta Hay.

Geographical Inequalities Ko Compensate Karnay Wali Full Fiscal Union Na Honay Ki Waja Say Sirf Aik Hi Raasta Reh Jata Hay Ke Gharib Mulk Apni Economic Sovereignty Surrender Karday.

South America Different Hay, Laikin...

Raftar Bharne Do

Haan! Aap Keh Saktay Hain Ke Europe Kay Muqablay Mein South America Mein Cultural Unity Aur Cross-Border Solidarity Zyada Hay. Like, Zyada-Tar Log Aik Do Milti Julti Zabanain Boltay Hain, Yani Spanish Aur Portuguese. Laikin Masla Itna Saada Nahi, Aur Differences Buhat Zyada Hain. Sirf GDP Per Capita Hi Lay Lain, Buhat Disparities Nazar Aayen Gi. Ye Uruguay Ki 18,083 USD Hay To Bolivia Ki Sirf 3,431.

Phir Doosra Masla Economy Size Ka Bhi Hay. Brazil Ki Economy South America Ki 2nd Biggest Economy Yani Argentina Say 3 Guna Bari Hay. Eurozone Mein Germany Sab Say Bara Hay, Laikin Wo France Say Itna Aagay Nahi Hay. Germany Ka Zaur Chalta To Hay, Laikin Counterweight Maujood Hay.

Phir Political Dangers Bhi Hain. Is Waqt To South America United Hay, Zyada-Tar Mulkon Mein Democratic Left Politicians Ki Hukoomat Hay, Laikin Pendulum Right Ki Taraf Bhi Swing Ho Sakta Hay. Especially Brazil Mein, Jahan Far-Right Zaur Pakar Raha Hay.

Waisay Aisi Instability Hi Hay Jo Single Currency Ko Buhat Attractive Banata Hay. Theoretically To Aik Shared Central Bank Acha Lagta Hay Laikin Practically Ye Ghoray Kay Agay Gari Bandhnay Jaisa Hay. Kisi Stable Political System Ko Sustain Rakhna Kisi Monetary Union Ka Kaam Hay Hi Nahi.

Yaad Rakhain! Eurozone Ab Tak Sirf Is Liay Bacha Hua Hay Kyunke EU Ki Establishment Aisa Chahti Hay Aur Aisa Karnay Kay Qabil Bhi Hay. Chahay Kuch Bhi Ho Jaey, Wo Is System Ko Defend Karay Gi. Laikin Kya South America Main Aisay Halaat Hain?

شیئر

جواب لکھیں