Har Guzartay Din Kay Sath Pakistan Mein Uncertainty Barhti Jaa Rahi Hay. Yahi Samajh Nahi Aa Raha Ke Aakhir Halaat Kitnay Kharab Hon Gay? Remittances Kam Ho Rahi Hain, Mehengai Urooj Par Hai. Political Uncertainty Ki Waja Say Pakistan Economy Crisis Us Jaga Par Puhanch Chuka Hay Ke Investment Karne Se Sab Ghabra Rahay Hain.

Raftar Bharne Do

Russian Oil Trade Cancelled?

Ab Russia Se Oil Trade Plan Mein Ek Blockage Agaya Hay. United States Ne Ek Price Mechanism Design Kiya Hai Pakistan Bhi Uske Mutabiq Operate Kar Raha Hai, Aur Russia Iss Mechanism Ke Sakht Khilaaf Hai .

Ab Moscow Plan Kar Raha Hai Ke Wo Ek Presidential Decree Establish Karay Ga Jis Sey Russian Companies Aur Traders Un Companies Se Oil Trading Nahi Kar Paen Gi Jo Russia Ke Price Cap Mechanism Ke Khilaaf Hon. Ab Agar Pakistan US Ke No Objection Certificate (NOC) Ke Mutabiq Chalega Tou Wo Russia Se Oil Trading Nahi Karsakta.

Pakistani Government Officials Ka Kehna Hai Ke Pakistan Ki Oil Market Ko Saudi Arabia Aur Kuwait Ne Qaboo Kiya Hua Hai Aur Qatar Ne Gas Market Ko, To In Situations Ko Madd-e-Nazar Rakhte Huwe Russia Se Ek Proper Deal Hona Abhi Bhi Possible Hai. Iske Ilawa Government Ne Russia Se Mazeed Muzakarat Karne Kay Liay Ek High Level Committee Bhi Banali Hai Jo Pakistani Delegation Ko Assist Karegi.

Is Saal, Islamabad Aur Moscow Ke Beech Jab Oil Aur Gas Ki Trading Ki Baatein Chal Rahi Theen, Tabhi Sab Se Bara Jhatka Laga Tha Jab Russia Ne Ukraine Par War Declare Kardi, Aur Ye Sari Deal Aur Tradings Ruk Gaeen.

Raftar Bharne Do

IMF  9th Review Mazeed Delayed

Ab Baat Aati Hai IMF Ke Review Ki, Jo Ke Kabse Delay Hi Hoti Chala Ja Raha Hai. Pakistani Financing IMF Ki Demands Ko Meet Nahi Kar Rahi Aur Isi Waja Se Delays Dikhai Dey Rahe Hein. Finance Team Ka Kehna Hai Ke Wo Ek Macroeconomic Framework Negotiate Kar Rahe Hein Par Suna Ye Jaraha Hai  Ke Finance Ministry Ka Ye Plan Complete Hone Ke Kareeb Bhi Nahi.

Asal Masla Numbers Mein Nazar Nahi Aa Raha Kyun Ke Numbers Hi Kahin Sahi Nazar Nahi Arahe. Ek Jaga Ishaq Dar Sahab Kehte Hein Ke Floods Se Itna Pakistan Ko Affect Nahi Hua Hai Aur Expenses Under Control Hein Aur Dusri Taraf Isi Government Ke Officials Kehte Hein Ke Mulk Floods Se Buhat Ziada Mutasir Hua Hai Aur Wo Agricultural Plan Jaari Kardete Hein Jo Floods Affected Logo Ko Finance Karta Hai. 

Ishaq Dar Ne Iss Saal Jab Finance Minister Ka Oath Lia, Unhone Ne Aatey Hi Petroleum Levy (PL) Mein Kami Kardi Jo Ke Ek Bari Ghalti Thi. Iski Waja Se Government Jo PL Se Non-Taxes Par Thora Buhat Kamati Thi Revenue Generate Karne Ke Liye Ab Us Se Bhi Mehroom Ho Chuki Hai. Is Ka Solution He High PL Jari Karna, Wo Bhi Takreeban 10-17%, Petrol Aur Diesel Dono Par.

Raftar Bharne Do

Analyst/ Economist Opinions

Economists, Jin Mein Ex-Finance Minister Miftah Ismail Bhi Shamil Hein, Sab Ka Kehna Hai Ke Pakistan Ki Economy Ko Bachane Mein Ab Buhat Dair Ho Chuki Hai. Ye Mulk Jo Google Ko $34 Million Nahi Pay Kar Sakta, Saudi Arabia Ab Petrol Dene Se Mana Karta Hai Aur Kehta Hai Ke Pehle $400 Million Advance Jama Karaya Jaey, Banks Letter of Credits (LCs) Khulne Se Mana Kardete Hain.

Haan Kuch Log Kehte Hein Ke Agar Kuch Measurements Sahi Se Liye Jaen, Proper Planning Ki Jaey Aur Mulk Ki Natural Resources Ko Utilize Kiya Jaey Bajae Bahir Mulk Se Bailout Package Mangney Ke, Tou Pakistan Achi Position Mein Shayad Ajaey, Laikin 2028 Tak.

شیئر

جواب لکھیں