First World War Se Pehlay Hi Turkey Ko ‘Sick Man Of Europe’ Kaha Janay Laga Tha. Kiun Ke Us Waqt Tak Khilafat-e-Usmania Zawal Ka Shikar Ho Chuki Thi. Aik Ke Baad Aik Elaqa Turkey Ke Qabzay Se Nikal Kar Europe Ke Qabzay Main Ja Raha Tha. Jangi Maidan Main Shikast Ke Saath Economic Front Per Bhi Mushkilat Barhnay Lagi Theen. Mulk Main Har Taraf Ghurbat Aur Be Rozgari Phel Chuki Thi. Logon Ka Maiyar-e-Zindagi Musalsal Kam Ho Raha Tha. Economic Crisis Se Turkey Ki War Power Mazeed Kam Ho Gayi Aur Aakhir-e-Kar Ottoman Empire Ka Khatma Ho Gaya.

Pakistan Bhi In Dinon Sangeen Economic Crisis Ka Shikar Hay. Mulk Ke Default Honay Ka Khatra Sar Per Mandla Raha Hay. Tamam Indicator Buri Halat Ki Gawahi De Rahay Hain. Yehi Wajah Hai Ke Pakistan Ko ‘Sick Man Of South Asia’ Kaha Ja Raha Hay. Pakistan Har Sector Main Region Ke Eham Mulkon Se Peechay Reh Gaya Hay.

Pakistan Region Main Kahan Khara Hay?

The Pakistan Business Council Ke Report Ke Mutabiq India, Bangladesh Aur Sri Lanka Ke Muqablay Main Pakistan Ki Per Capita Income Sab Se Kam Ho Chuki Hay. Aik Agricultral Mulk Honay Ke Ba Wajood Pakistan Ke 40% Bachay Stunting Ka Shikar Hain.44% Bachay Regularly School Nahi Jatay.  Jo School Jatay Hain Un Ko Aisi Mediocre Level Ki Education Milti Hay. Baray Shehron Ka Aksar Hissa Slums Per Mushtamil Hay. Jahan Saaf Pani Samait  Zindagi Ki Bunyadi Sahulatein Bhi Nahi Milteen. Abadi Main Izafa Tashveeshnak Raftar Se Jari Hay. Almost 5 Million Afrad Unemployed Hain Jin Main Har Saal 2 Million Ka Izafa Ho Raha Hay. Mulk Ko Waqt Se Pehlay Deindustrialized Kar Diya Gaya Hay. Hum World Exports Main Apna Shares Khotay Ja Rahay Hain. Hamari Economy Consumption Oriented Ho Gayi Hay Jo Imports Per Depend Karti Hay. Pakistan Un Mulkon Main Shamil Hay Jahan Electricity Ka Tariff Dunya Main Sab Se Zyada Hay. Pakistan Productivity Rate Main Bhi Dunya Ke Lowest Rank Mulkon Main Aata Hay. Agriculture Ka Haal Bohat Kharab Hay, Pani Zaya Hota Hay. Food Shortage Ki Wajah Se Na Sirf Inflation Na Qabil-e-Bardasht Ho Chuki Hay Bulkay Mulk Ki Food Security Ko Bhi Khatra Hay. Sharmnak Baat Ye Hay Ke Kabhi Hum Wheat, Cotton Waghera Export Kartay Thay Lekin Ab Import Kartay Hain.

Raftar Bharne Do
The 'Sick Man' Of South Asia 1

Socio Economic Indicators

Socio Economic Indicators Dekhen Tou Pakistan Health Security Index (of 195), Malnourished Children, Malnourished Children, Primary School Attendance, Upper Secondary School Attendance, Upper Secondary School Attendance, Human Development Index (of 188) Aur Quality of Life Index (of 111) Main India, Bangladesh Aur Srilanka Se Peechay Hain.

Report Ke Mutabiq 1961-70 Ke Dauran Pakistan Ki Long Term Growth Rate Jo 7.2% Per Tha Kam Ho Kar 4 Per Aa Gaya Hay. Dusri Taraf South Asia Kay Long Term Growth Rate Main Izafa Hua Hay. Pakistan Ko Waqt Se Pehlay Deindustrialized Kar Diya Gaya. Yehi Wajah Hay Ke Pakistan Ki GDP Main Manufacturing Ka Hissan Deegar Mulkon Ke Muqablay Main Bohat Kam Hay.

Raftar Bharne Do
The 'Sick Man' Of South Asia 2

Isi Tarah GDP Ka Manufacturing Ka Bohat Bara Hissa Hota Hay. Manufacturing Kam Honay Se GDP Growth Per Bhi Asar Parta Hay Aur Per Capita Income Bhi Kam Hoti Hay. Pichlay 20 Saal Main Pakistan Ki Per Capita Income Region Main Sab Se Kam Barhi Hay.

Pakistan Economic Crisis
The 'Sick Man' Of South Asia 3

Economic Crisis Ke Causes Kiya Hain?

Report Ke Mutabiq Poor Resource Mobilization Ki Wajah Se Human Capital, Physical Infrastructure Aur Natural Resources Ki Management Main Munasib Investment Nahi Hui.

Pakistan Ka Tax Base Bohat Kam Hay. Energy Prices Region Main Sab Se Zyada Hain. State Owned Enterprises Economy Ka Khoon Peetay Hain. Hum Wo Items Bhi Import Kartay Hain Jo Khud Peda kar Saktay Hain. Hamri Export Basket Bhi Narrow Hay Aur Bohat Zyada West Per Dependent Hay.

Industry Ko Discourage Kiya Jata Hay. Trade Deficit Aur Fiscal Deficit Ki Wajah Se 23 Baar IMF Ke Paas Jana Para.

Economic Crisis Ka Hal Kiya Hay?

Pakistan Business Council Ka Kehna Hay Ke Consistent Policies And Policy Continuity Se Hamesha Mulk Ko Faida Hota Hay. War On Terror, BISP/Ehsaas Programme, Power Generation Expansion Aur Covid-19 Se Nimantnay Ki Policies Is Ki Misaal Hain. In Sab Main Consensus Aur Continuity Se Kamyabi Mili. PBC Ke Mutabiq Pakistan Ko Aik Economic Crisis Se Nikalnay Ke Liye Aik Reforms Programme Ki Zarurat Hay. Is Programme Per Consensus Paida Kiya Jaye Aur Continuity Se Amal Kiya Jaye.

Low Se Middle Income Population Ke Living Standard Ko Barhaya Jaye.

Agriculture Sector Ko Behtar Bana Kar Food Security Ko Yaqeeni Banaya Jaye. Awam Ko Mehngai Se Bachaya Jaye. Rural Economy Ko Uplift Kiya Jaye. Imports Kam Ki Jayen Aur Exports Barhai Jayen.

Economy Ko Formalize, Deruglarize Kiya Jaye. Civil Service Ko Transform Kiya Jaye Aur NAB Law Main Reforms Laayi Jayen.

Waqt Se Pehlay Honay Wali Deindustrialization Ko Reverse Kiya Jaye. ‘Make In Pakistan’ Appraoch Ke Zariye Jobs Aur Value Added Exports Barhai Jayen Aur Imports Main Kami Layi Jaye.

شیئر

جواب لکھیں