“Main Nay America Ja Kar Shuru Main Bartan Saaf Kiye.”

"Aik Hotel Main Safai Ka Kaam Meri Pehli Job Thi."

"Mujhay Aik Store Main Helper Kay Taur Par Kaam Karna Para.”

Aisi Jobs Karnay Walay Pakistanion Main Say Buhat Kam Aisay Hotay Hain Jo Kisi Achay Rozgaar Tak Puhanch Saktay Hain. Ya Us Mu’ashray Main Pehlay Darjay Kay Shehri Ban Sakain.

Agar Aap School Ya College Main Parhtay Hain Ya Aap Parents Hain Aur Sochtay Hain Kay Aap Kay Bachon Ko America, Canada Ya Europe Main Jaa Kar Mushkil Ka Samnaa Naa Karna Paray, Wo Ba-Izzat Rozgaar Kama Sakain Aur Izzat Say Ji Sakain. To Ye Post Aap Hi Kay Liay Hay.

Highly Paid Jobs Hasil Karnay Kay Liye Yeh Jan’na Bohat Zaroori Hay Kay America Ya Europe Main Kaun Si Skills Ki Sab Say Ziada Demand Hay, Aur Pakistanion Ko In Mulkon Main Janay Kay Liye Kaunsi Degrees Hasil Karni Chahiyen? Aur Kaunsi Skills Zaruri Hain? Taakay Aap Wahan Jaa Kar Acha Nahi Balkay Bohat Acha Rozgaar Hasil Kar Sakain.

America Highly Paid Jobs Ki Details Ye Hain:

Specialist Doctors

Average Annual Income: 46.8 Million Rupees

Highly Paid Jobs

Anesthesiologis, Oral Surgeon, Obstetrician and Gynecologist, Orthodontist, Psychiatrist.


Physician

Average Annual Income: 46.46 Million Rupees

Ye Specialist Doctors Nahi Balkay MBBS Hotay Hain. In Ki Salary Specialist Say Thori Si Kam Hay.


CEOs 

Average Annual Income: 41.50 Million Rupees

Highly Paid Jobs

Kisi Bhi Company Ka Sarbarah Hota Hay, is Kay Liye MBA Ki Degree Chahiye.


Pediatrician 

Average Annual Income: 39.44 Million Rupees

Bachon Kay Doctors Ya Child Specialist. Jabkay Nurse Anesthetist KI Salana Amdani Bhi Is Kay Aas Pass Hi Hoti Hay.


Dentist

Average Annual Income: 35 Million Rupees

Highly Paid Jobs

Ye Danton Kaa Aam Ilaaj Kartay Hain.


IT, Architectural And Engineering Manager

Average Annual Income: 32.93 Million Rupees

Doctors Kay Baad IT, Architect Aur Engineering Managers Jis Main Petroleum Engineer Bhi Shamil Hain, Ki Job Hoti Hay. Pakistan Main IT, Engineering Aur Architectural Graduations Baray Shehron Ki Sarkari Aur Private Universities Main Karai Jati Hain.


Marketing, Sales And Financial Manager

Average Annual Income: 30.79 Million Rupees

Highly Paid Jobs

Aanay Walay Dinon Main Khas Taur Par Social Media Marketing Manager Bohat Barra Professtion Hoga. Jabkay Financial Managers Ki Maang Kabhi Kam Nahi Hogi.


Pharmacist

Average Annual Income: 28.82 Million Rupees

Bachelor Of Pharmacy, America Main Pharmaceutical Aik Bari Industry Hay. Inki Ziada Tar Maang Isi Industry Main Hay.


Podiatrist 

Average Annual Income: 28.40 Million Rupees

Podiatrist Pair Aur Takhnay Ka Specialist Ko Kaha Jata Hay.


Pilots

Average Annual Income: 27.32 million Rupees

Highly Paid Jobs

Pakistan Main Is Ka Training School Maujood Hay.


Optometrist 

Average Annual Income: 22.92 million Rupees

Ye Eye-Specialist Patients Ka Regular Check Up Karnay Kay Baad Glasses Aur Lenses Recommend Kartay Hain.


Actuary Aur Financial Advisors

Average Annual Income: 24.37 million Rupees

Highly Paid Jobs

Pakistan Main Actuary Karaya Jaa Raha Hay, In Ki Ziada Tar Jobs Insurance Industry Main Hoti Hain. Financial Advisors Companies Ya Individuals Ko Investment Advisory Daitay Hain, Is Kay Liye CA, ACCA, FCA, MBA Finance Karna Hota Hay.

شیئر

جواب لکھیں