Canada Ke Immigration Ke Wazir Sean Fraser Ne November Ke Shuru Main Aik Press Conference Ki. Jis Ke Baad Dunya Bhar Ke Naujawanon Ne Khwab Dekhne Shuru Kar Diye Hain.
Sean Fraser Ne Immigration Policy Ka Ailan Kartay Huye Khush Khabri Sunai Ke Aglay 3 Saal Main Dunya Bhar Ke 14 Lakh 50 Hazar Logon Ko Canada Main Entry Di Jaye Gi.
Sean Fraser Ne Bataya Ke Canada 2023 Main 465,000 Naye Mustaqil Bashindon Ko Apnay Mulk Main Khush Aamdeed Kahay Ga. 2024 Main 4 Lakh 85 Hazar Afrad Ko Immigration Di Jaye Gi. 2025 Main Mazeed 5 Lakh Afrad Mustaqil Rihayish Ke Liye Canada Mein Entry Karen Ge.
Un Ka Kehna Tha Ke Tarkeen-e-Watan Ko Canada Mein Basanay Ke Hadaf Mein 13% Izafa Kya Gaya Hay.Immigration Ke Wazir Ka Kehna Tha ‘Sada Si Baat Hay, Canada Ko Logon Ki Zarurat Hay. Hum Apni Labor Force Ko Barhana Chahtay Hain Kyun Ke Covid-19 Ki Waba Ke Baad is Mian 10 Lakh Afrad Ki Kami Hui Hay.
Wazir-e-Azam Justin Trudeau Ne Bhi Tweet Kiya Tha Ke Pichlay Saal Canada Ne 405,000 Logon Ko Immigration Di. Jo Kisi Bhi Saal Main Sab Se Bari Taadad Hay. Hum Is Ko Aagay Barha Rahay Hain Aur Aanay Walay Barson Main Baray Target Set Kar Rahay Hain. Kyunke Hamari Economy Ko Barhanay Ke Liye Immigration Bohat Zaruri Hay.
Canada Main Kitne Immigrants Hain?
Canada Ke Is Iqdam Ka Maqsad Mukhtalif Mehakmon Main Mulazimon Ki Kami Ko Pura Karna Hay. Jahan Ke Mukhtalif Mehakmon Main Hazaron Mulazmaten Dastyab Hain Jo Khali Pari Hain.
Dusri Janib Canada Main Taqreeban 10 Lakh Afrad Be Rozgar Bhi Hain. Magar Is Ki Barri Wajah Ye Hay Ke Wo Afrad Aisi Mulazmat Nahi Karna Chahtay Jo Market Mail Mil Rahi Hain Ya Wo Kaam Karnay Ke Qabil Nahi Hain. Is Liye Canada Ko Bahar Se Afradi Quwat Dar Amad Karni Parti Hay.
Sarkari Census Agency Ki Halya Report Ke Mutabiq Canada Main Tarkeen-e-Watan Ki Taadad Mulki Aabadi Ke 23% Tak Pohanch Chuki Hay Jo 150 Saal Main Sab Se Zyada Hay. Yani 3 Crore 80 Lakh Abadi Main Se Taqreeban 88 Lakh Immigrant Hain. 3 Saal Main 14.5 Lakh Afrad Ke Izafay Ke Baad Tarkeen-e-Watan Ki Taadad 1 Crore Se Tajawuz Kar Jaye Gi.
Canada Ko Kin Logon Ki Zarurat Hay?
Canada Ke Immigration Ke Wazir Sean Fraser Ka Kehna Tha Ke Naye Immigration Plan Se Mukhtalif Shobon Main Mulazmeen Ki Talash Main Madad Milay Gi. In Main Health, Construction Sector, Manufacturing, Hotel/ Restaurant Aur Tourism Samait Kayi Sector Shamil Hain.
Sean Fraser Ne Kaha Kay Humain Har Elaqay Main Har Sector Main Mazeed Karkunon Ki Zarurat Hay. Chahay Wo Front Line Health Worker, Truck Driver, Construction Labor Hon Ya Software Engineer.
Canadian Hukumat Ke Mutabiq Skilled Worker Ki Shortage Tamam Shobon Main Hay. Lekin Khas Tor Por Health Care Main Mahir Afrad Ki Sab Se Zyada Kami Darpesh Hay.
Visa Kese Apply Karen?
Canada Ki Is Immigration Policy Ke Tehat Mukhtalif Programs Ke Zariye Visa Apply Kiya Ja Sakta Hay. Is Ke Liye Canadian Government Ki Website Per Ja Kar Sab Se Pehlay Tou Apni Eligibility Check Karen. Agar Aap Kisi Category Ke Liye Matlooba Point Hasil Karnay Main Kamyam Ho Jayen Tou Apna Profile Jama Karayen. Aap Ki Ehliat Ke Mutabiq Aap Ko Job Offer Ki Jaye Gi Jis Ke 60 Din Ke Andar Visa Ke Liye Apply Karna Hoga. Express Entry Main 4 Se 6 Mahinay Main Visa Mil Jata Hay. Deegar Programs Main Zyada Waqt Bhi Lag Sakta Hay.
Aik Aham Baat Yaad Rakhen Ke Canada Main Work Visa Ke Liye English Zaban Aani Zaroori Hay. English Ke Elawa French Bhi Wahan Ki Sarkari Zaban Hay. Tou Agar Aap Ko French Bhi Aati Ho Tou Us Ke Extra Point Mil Saktay Hain.
Bon Voyage!