Chaawal Kisay Pasand Nahi? Biryani To Ab Hamari National Dish Yani ‘Qaumi Pakwan’ Ban Chuki Hay. Laikin 1 Minute Kay Liay Sochain Ke Aap Space Mein Hain, Ya Mars Par Ban’nay Wali Pehli Human Colony Kay Settlers Mein Shamil Hain. Kya Wahan Biryani Milay Gi? Pareshan Na Hon, China Isi Par Kaam Kar Raha Hay.

Hairan Hain Na? Aray Bhai Chinese Astronauts Nay Space Main “Rice Seeds” Grow Karnay Ka Tajarba Kar Lia Hay. Ye Astronauts China Kay Shenzhou XIV Spacecraft Per Maujoud Thay.

Ye Hua Kaisay?

Shenzhou XIV Spacecraft China Kay Ilaqay Inner Mongolia Mein Wapis Utra. Is Tajrubay Main Space Main Chaawal Kay Beej Grow Kar Kay Ye Dekha Gaya Kay Micro Gravity Kay Rice Growth Par Kya Asraat Hotay Hain.

Future Main, Jab Long Term Space Explorations Hon Gi, To Aisay Tests Food Source Main Help Karain Gay.

Is Space Mission Mein Shenzhou XIV Spacecraft 183 Days Orbit (Madaar) Main Raha. Is Dauran Astronauts Nay Tiangong Space Station Ki Completion Mein Hissa Lia Aur Kai Life Sciences Experiments Bhi Kiye.

Experiment Ki Khas Baat

In Life Experiments Main Rice Production Ki Entire Life Cycle Bhi Shamil Thi. Is Dauran Rice Seed Ko Seedlings Main Bantay Huay Bhi Dekha Gaya. Is Kay Baad, Yahi Seedlings Mature Plant Ban Ker New Seeds Dena Bhi Shuru Hogaey. Is Experiment Ka Aghaz 29th July Ko Kiya Gaya Tha Aur Orbit 120 Days Baad, New Cosmic Grains Successfully Reproduce Huay.

Yeh Rice Seeds Aur Doosray Bio- Samples Beijing Main Chinese Academy Of Sciences Ko Research Kay Liye Dai Diye Gaey Hain, Takay In Per Mazeed Research Ki Ja Sakay.

Space Experiments Main Arabidopsis Thaliana Per Bhi Research Ki Gai Hai, Jo Mustard Family Ka Aik Plant Hay.

Space Grown Seeds Per Research

Chinese Academy Of Sciences Ki Taraf Say Bataya Gaya Kay Researchers In Seeds Ka Microbiological, Cellular Aur Metabolic Analysis Kerain Gaey. Is Research Main Microgravity Kay In Seeds Par Affects Molecular Level Per Jan'nay Main Madad Milay Gi.

Academy Kay Center For Excellence Mein Molecular Plant Sciences Kay Researcher Zheng Huiqiong Nay Bataya Kay New Crops Ki Reproduction Kay Liye Seeds Bauhat Zaroori Hotay Hain. In Research Kay Zariye Space Main Humanity Ki Long Term Survival Main Support Milay Gi.

Raftar Bharne Do

Zheng Huiqiong Nay Yeh Bhi Bataya Kai Initially Scientists Ko Zameen Per Grow Honay Walay Rice Aur Space Grown Rice Main Interesting Differences Milay Hain.

Ager Yeh Experiments Successful Rahay Tou Woh Waqt Doar Nahi Kay Hamari Markets Main Basmati Aur Degar Rice Brands Kay Sath Space Rice Bhi Dastiyab Hoga, Taham Iskay Liye Intezar Zara Ziada Kerna Hoga.

شیئر

جواب لکھیں