Author: محمد انوار

14 August 1947 Ko Pakistan Ban Gaya Tha, Bangalion Kay Chahrey Khushi Aur Fakhar Say Chamak Rahay Thay, 1906 Main Dhaka Say Shuru Honay Walay Azadi Kay Safar Ko Manzil Mil Gayi. Bangali Aksariat Kay Is Mulk Main Bharat Ki Mashriq Main East Pakistan Jabkay Dusri Taraf 2000km Kay Faslay Par West Pakistan. Waqt Kay Sath Ye Faslay Kam Honay Ke Bajaye Barhtay Gaye Aur Nateeja Fall Of Dhaka Ki Surat Main Nikla. Zaban Aur Politicians Ka Imtehan Pakistan Banany Kay Baad Bangali Khush Thay Kay Unku Apnay Mulk Main Shanakhat Milay Gi,Apni Zaban Milay Gi. Magar Dusri Taraf Maghribi…

مزید پڑھیں

Lt. General Syed Asim Munir Ko Naya Army Chief Laga Dia Gaya. Ye News Sun’nay Kay Baad Main Nay Kuch Duston Kay Sath Apna Tajzia Share Kia Aur Ghar Chala Gaya. Raat Gaye Kisi Dost Kay Sath Islamabad Kay Aik Mehngay Tareen Ilaqay Kay Aik Banglay Main Puhancha, Jahan Mulk Kay Kuch Baray Siasatdaan, Hukmaran, Qanoondan, Anchors, Adakaar, Tajziakaar Aur Security Idaron Kay Log Mojoud Thay Aur Syed Asim Munir Ki Taqarruri Par Baat Cheet Chal Rahi Thi. Main Shehr-e-Iqtadar Main Naya Tha Is Liye Khamoshi Say Aik Konay Main Baith Gaya Aur Tabsaray Sun’nay Laga. Aik Sahib Bolay Ke:…

مزید پڑھیں

Wo Faisla Hogaya Jis Ka Sab Ko Intezar Tha. Lt. Gen Asim Munir Naye Chief Of Army Staff Honge. Wazir e Azam Ne Asim Munir Ko Army Chief Aur Lt. General Sahir Shamshad Mirza Ko Chairman Joint Chiefs Of Staff Committee Muqarrar Karne Ki Summary President Arif Alvi Ko Bhijwadi. Is Eham Tareen Faisle Ka Ailan Information Minister Maryam Aurangzeb Ne Apne Tweet Mein Kiya https://twitter.com/Marriyum_A/status/1595666264256831488?s=20&t=6bEu45_Tf45Xv9-sLPivwA Arif Alvi Ki Manzori Ke Baad Hi Appointment Ka Notification Jari Hoga. Imran Khan Keh Chuke Hain Kay Sadar Arif Ali Rabtay Main Hain Un Say Mushwara Karain Ge. https://twitter.com/Haider4PTI/status/1595420536301309952?s=20&t=6bEu45_Tf45Xv9-sLPivwA Defense Minister Khawaja Asif…

مزید پڑھیں

FIFA World Cup 2022 Ho To Qatar Mein Raha Hay, Laikin Is Mein Dunya Bhar Kay Rang Mojoud Hain, Especially China Kay. Jis Ki E-Buses Qatar Ki Roads Par Daur Rahi Hain. China Ki Bus Manufacturer Company Yutong Ki 1,500 Buses Is Waqt Qatar Main Hain. Jo World Cup Daikhnay Walon, Officials Aur Journalists Ko Hotels Say Stadiums Aur Markets Tak Shuttle Service Faraham Kar Rahi Hain. In Buson Main 888 Electric Buses Bhi Hain. Yutong Ka China Say Bahir Kisi Bhi Mulk Say Electric Buses Ka Yeh Sab Say Bara Order Hay, Balkay Ye Dunya Main E-Buses Ka Bhi…

مزید پڑھیں

Pakistan Main Jab Petrol Nay “Double Century” Ki To logon Nay Electric Vehicles (EVs) Ka Naam Laina Shuru Kardia. Laikin Dunya To Is Say Buhat Pehlay Petrol Car Ki Bajaye EVs Ko Tarjeeh Daina Shuru Ho Chuki Thi. Especially Chinese EVs Ki Market To Aagay Hi Aagay Ja Rahi Hay. China Car Manufacturing Main To Buhat Dair Say Ayaa, Magar EV Manufacturing Main West Ka Muqablay Karnay Aur Us Say Bhi Aagay Nikal Janay Kay Saray Intazamat Kar Raha Hay. Chinese EVs Aur 2014 (Photo: AFP) China Main EV Manufacturing Ki Baat Karain To 2014 Buhat Aham Saal Hay. Us…

مزید پڑھیں

Parveen Rahman, Us Kay Kai Jurm Thay, Kai Ghaltian Theen, Jis Ki Waja Say Jaraim Paisha Afrad Ko Majboran Usay Qatal Hi Karna Para. Pehla Jurm Dhaka Kay Mushkil Tareen Halat Main Pakistan Say Mohabat Pehla Jurm Tha. Mashriqi Pakistan Kay Khatmay Kay Baad Ye Apni Family Kay Sath Karachi Shift Ho Gaeen. Doosra Jurm Parveen Nay Architecture Main Graduation Kay Baad Aik Roshan Mustaqbil Ki Bajaye Karachi Kay Har Lower Middle Class Kay Ghar Kay Sapnay Ko Sach Karnay Ka Faisla Kia. Orangi Pilot Project Main Internship Say Aghaz Kia Aur Samaji Khidmaat Ki Waja Say 1988 Main Isi…

مزید پڑھیں

30th November Ko Naye Army Chief Apni Seat Sanbhaal Lain Gay, Ya Aisa Keh Lain Kay General Qamar Javed Bajwa Ka 6 Sala Daur Khatam Ho Jaye Ga. General Qamar Javed Bajwa NI(M), HI(M) (2016-2022) General Qamar Javed Bajwa Kay Daur Main Nawaz Sharif Ki Hukoomat Ka Khatma Hua. 2018 Kay Election Huey. Imran Khan Wazeer-e-Azam Banay. Chairman Senate Ka Intakhab Hua. Imran Khan Ki Hukoomat Kay Khilaf Adam-Aetmaad Hua. Shehbaz Sharif Wazeer-e-Azam Banay. Sab Say Aham Ye Kay Is Arsay Main Social Media Say Tareekhi Tanqeed Ki gai. Pehlay PMLN Nay ‘Vote Ko Izzat Do’ Ka Naara Laga Ker…

مزید پڑھیں

Aaj Likhtay Likhtay Thak Kar Kuch Jugat Bazi Sun'nay Ku Dil Kia Tu Youtube Par Tariq Teddy Likh Kar Search Ka Button Dabaya Tu Dil Beth Sa Gaya. “Tariq Teddy Intaqal Kar Gaye” Lakhon Chehron Par Hansi Lanay Wala, Tariq Mughal Teddy Jigar Ki Bimari Say Haar Gaya. Chotta Sa Teddy Tariq Teddy 1976 Main Faisalabad Main Paida Hoye, Jis Ko Jugat Capital of Pakistan Bhi Kaha Ja Sakta Hay. Walid Sahib Aur Bhai Carpenter Ka Kaam Kartay Thay, Primary Main Walid Sahib Kay Sath Hath Batana Shuru Kiya Magar Dil Na Laga. Apna Naam Teddy Kaisay Para, Is Havaly…

مزید پڑھیں

Arsa Ho Gaya Hum Buhat Shor Suntay Thay Ke Pakistani Startups Ka Scene "On" Hay. Magar Ye Sab Ghalat Nikla Kyunke Pakistan To Startups Kay Ma’mlay Mein Dunya Mein Door Door Tak Nahi. Global Startup Ecosystem Index 2022 Kay Mutabiq Pakistan Dunya Mein 76th Number Par Hay. Mulk Kay Shehron Mein Karachi Dunya Kay Top 300 Shehron Main Shamil Hay. Ranking Main Karachi Ka Number 291 Hay. Lahore 305th Number Par Hay Aur Capital Islamabad Ka Rank 438th Hay. Dukh Ki Baat Ye Ke Faisalabad, Rawalpindi, Multan Aur Jhelum 2021 Main Dunya Kay 1,000 Shehron Main Shamil Thay, Laikin 2022…

مزید پڑھیں

Main Office Main Baitha Hua Tha Kay Aik Call Ayi Kay Channel Kay Malik Kay Relative Ko Dr Mala Ali Say Waqt Dila Dain. Main Nay Aik Producer Ka Number Day Kar Jaan Chhurai, Kuch Dair Baad Air Reporter Aya Aur Bola Kay “Sir Mobarik Ho, Dr. Mala Ali Say Waqt Mil Gya. Mujhay Apnay Baitay Ko Dikhana Hay.” Pichhlay Ramzan Main Pakistan Main Sab Say Ziada Maang Dr. Mala Ali Kurdistani Ki Thi. Hazaron Log Pagalon Ki Tarah Dr. Mala Ali Say Dam Karanay Kay Muntazir Thay. Aur Phir Kuch Din Baad August 2021 Mein Dr. Mala Ali Turkey…

مزید پڑھیں