30th November Ko Naye Army Chief Apni Seat Sanbhaal Lain Gay, Ya Aisa Keh Lain Kay General Qamar Javed Bajwa Ka 6 Sala Daur Khatam Ho Jaye Ga.

General Qamar Javed Bajwa

NI(M), HI(M) (2016-2022)

General Qamar Javed Bajwa Kay Daur Main Nawaz Sharif Ki Hukoomat Ka Khatma Hua. 2018 Kay Election Huey. Imran Khan Wazeer-e-Azam Banay. Chairman Senate Ka Intakhab Hua. Imran Khan Ki Hukoomat Kay Khilaf Adam-Aetmaad Hua. Shehbaz Sharif Wazeer-e-Azam Banay.

Sab Say Aham Ye Kay Is Arsay Main Social Media Say Tareekhi Tanqeed Ki gai. Pehlay PMLN Nay ‘Vote Ko Izzat Do’ Ka Naara Laga Ker Naam Lay Kar Tanqeed ki. Us Kay Baad Imran Khan Bhi Haqeeqi Azadi Kay Naray Kay Sath Naam Lay Lay Kar Tanqeed Kartay Rahay.

Aisay Halat Main Pak Fauj ki Baag Doar Aik Naye General Kay Hath Main Aa Rahi Hay, Jin Kay Samnay Bohat Say Challenges Hain.

Naye Chief Kay challenges

Social Media

A, B Ya C, Koi Bhi COAS Banaye, Un Ko Is Seat Par Tareekhi Masail Ka Samna Karna Paray Ga. Naye Army Chief Ko Sab Say Bara Challenge Social Media Say Fauj Par Honay Wali Tanqeed Ko Kam Say Kam Karna Balkay Khatam Karana Hay, Jis Kay Liye Kai Iqdamat Karnay Haun Gay.

Anay Walay Sarbarah Ko Aik Dairpaa Policy Follow Karna Hogi. Is Hawalay Say Siyasi Jamaton Ko Bhi Apna Kirdar Adaa Karna Huga.

Idaray Ko Siasat Say Door Karna!

Pak Fauj Ko Siasat Main Apna Kirdar Khatam Karna Hoga, Agarchay General Bajwa Aur DG ISPR Is Hawalay Say Pehlay Hi Aham Ailanaat Kar Chukay Hain, Magar Amli Iqdamat Ki Zarurat Hay, Jinhain SOPs Kay Taur Par Apnaya Jaye. Doosri Taraf Jo Bhi Hukmaran Jamat Ho Us Ko Kharija Policy Aur Qaumi Salamati Kay Ma’amlaat Main Pak Fauj Say Input Laini Chahye.

Apna Apna Kaam, Masail Ka Ikhtatam

Pakistani Constitution Main Har Idaray Ka Aik Kirdar Hay. Bad-Qismati Say Koi Bhi Apna Kirdar Adaa Nahi Kar Raha Hay. Parliament, Adlia Ho Ya Security Idaray, Kaheen Bhi Apnay Kirdar Ki Adaigi Wazah Nahi Nazar Ati. Sab Zimmedar Hain Aur Sab Ko Mil Kar Haal Talash Karna Hay. Sab Say Aham Kirdar Siasat-danon Ka Hay Magar Adlia Aur Naye Chief Ka Kirdar Kisi Surat Kam Nahi Hay.

Pak-India Taaluqat, Agay Daikhna Hay Yaa Peechhay?

Army Chief

Pakistan Aur Bharat Kay Darmyan 2 Jangain Aur Kai Laraiyan Ho Chuki Hain. Halat Yahan Tak Puhanch Chukay Hain Kay Cricket Bhi Jang Ki Tarah Kheli Jati Hay. Ilzamat Aur Adam-Aetmaad Ki Aik Lambi Tareekh Dono Mulkon Kay Roshan Mustaqbil Kay Rastay Main Aik Bari Rukawat Ban Kar Kharri Hay. Naye Army Chief Aur Hukoomat Ko Bharat Kay Sath Kaisay Ta’aluqat Bananay Hain, Yeh Bohat Bara Sawal Hay. Dunya Bhar Main Ikhtalafat Ko Kam Kar Kay Tijarat Ko Bharhaya Jaa Raha Hay. Hamari Defence Policy Main Sab Say Aham Pak-Bharat Taaluqat Hi Hain. Agar Solution-Based Baat Cheet Ki Jaye To Ye Pakistani Siasi Aur Askari Qayadat Ki Taraf Say Pakistani Awaam Ko Bohat Bara Tuhfa Hoga.

Pak-US, Pak-China Policy Aur Naye COAS

Pakistan Ko 3 Barri Taqaton Kay Darmyan Aik Tawazun Qaim Karna Hay. US Kay Sath Tijarat Aham Hay To China Kay Sath CPEC Jari Hay. Doosri Taraf Russia Kay Sath Mustaqbil Kay Taaluqaat Bananay Hon Gay. Jaisay Sasta Oil Aur Gas, Road Connectivity Samait Kai Shobon Main Ta’luqaat Ki Ibtada Karni Hay. In Sab Iqdamat Main Naye COAS Aur Prime Minister Kay Darmyan Close Coordination Buhat Aham Hay.

Defence Aur Foreign Policy Main Aik Page

Army Chief

Aik Page Waqt Ki Aham Zarurat Hay, Jo Naye COAS Kay Liye Aik Challenge To Hay, Laikin Hukumat Aur Wazeer-e-Azam Kay Liye Bhi Sochnay Ki Baat Hay. Qaumi Salamti Committee Kay Platform Say Sab Mil Kar Faisla Sazi Karain Aur Is Main Aanay Wali Naslon Ka Mufad Madd-e-Nazar Rakhain To Naye Army Chief Ko Har Koi Yaad Bhi Rakhay Ga, Balkay Har Kisi Kay Dil Say Niklay Ga “Janay Ki Batain Jany Do!”

شیئر

جواب لکھیں