14 August 1947 Ko Pakistan Ban Gaya Tha, Bangalion Kay Chahrey Khushi Aur Fakhar Say Chamak Rahay Thay, 1906 Main Dhaka Say Shuru Honay Walay Azadi Kay Safar Ko Manzil Mil Gayi. Bangali Aksariat Kay Is Mulk Main Bharat Ki Mashriq Main East Pakistan Jabkay Dusri Taraf 2000km Kay Faslay Par West Pakistan. Waqt Kay Sath Ye Faslay Kam Honay Ke Bajaye Barhtay Gaye Aur Nateeja Fall Of Dhaka Ki Surat Main Nikla.
Zaban Aur Politicians Ka Imtehan
Pakistan Banany Kay Baad Bangali Khush Thay Kay Unku Apnay Mulk Main Shanakhat Milay Gi,Apni Zaban Milay Gi. Magar Dusri Taraf Maghribi Pakistan Main Qaumi Yakjehti Kay Liye Aik Qaumi Zaban “Urdu” Par Zor Dia Ja Raha Tha. Quaid-e-Azam Azadi Kay Baad 1948 Main East Pakistan Gaye Aur Sirf Urdu Ko Qaumi Zaban Qarar Day Diya. Unhon Nay Kaha Kay Agar Bangali East Pakistan Main Bangali Ko Official Language Banana Chahain Tou Is Main Koi Haraj Nahi.
Bangali Is Baat Par Naraaz Thay Aur Dhaka Universty Is Gham-o-Ghusay Ka Mehvar Bun Chuki Thi. Zaban Ki Larai Chalti Rahi Aur Akhir-e-Kar 1956 Main Bangali Ko Bhi Qaumi Zuban Ka Darja Day Dia Gaya. Magar Is Kay Liye Kai Bangalion Ko Jaan Deni Pari.
Zaban Ka Masla Hal Hua Tou Mulk Main Martial Law Aa Gaya.
1958 Ayub Khan Ka Martial Law
Ayub Khan Nay Martial Law Laga Kar Bangladesh Bananay Main Aham Kirdar Ada Kia.
Mulk Main Shuru Honay Walay Taraqqi Kay Safar Main, Maghribi Pakistan Khargosh Ki Tarah Jabkay Mashraqi Pakistan Kachhway Ki Tarah Agay Barhany Laga. Developments Funds Aur Mansubay Abadai Kay Tanasab Ko Nazar Andaz Kar Kay Maghrabi Pakistan Main Ziada Lagnay Lagay Aur Martial Law Ki Waja Say Bolnay Ki Pabandi Nay Tafreeq Ko Zarab Daina Shuru Kia.
Maulana Bhashani Nay 1949 Main Zaban Kay Masalay Par Jo Awami Muslim League Banaye Thi Wo Aik Popular Siyasi Jamat Ban Chuki Thi. Ye Jamaat 1954 Main Subai Elections Main Sab Say Bari Numainda Jamat Bun Kar Samany Ayi. Tab Bhi Subai Khudmukhtari Ka Naara Awami League Ka Sab Say Bara Nara THa. Wifaq Kay Paas Defence Aur Khazana Kay Sath Aik 2 Aur Mehkamay Baqi Sab Subon Kay Paas Hona Chahaye. Isi Siasi Jid-o-Jehad Main Awami Muslim League Awami League Ban Gai.
Awami League Ko Maqbool Tareen Banany Aur Alag Watan Ka Beej Dalany Main Ayub Khan Aur West Pakistan Ki Bureaucracy Ka Aham Kirdar Tha. Imtiazi Faisloon, Muashi Istehsal Aur Zabaan Bandi Nay Tabahi Ka Sara Samaaam Paida Kar Diya Tha.
1965 Kay Sadarti Intakhabaat Main Ayub Khan Ko East Pakisatn Say Buri Tarah Nakami Ka Samna Karna Para. Bangalion Nay Khul Kar Martial Law say Narazi Ka Izhaar Kiya Magar Fatma Jinnah Ki Shikasat Say East Pakistan Main Bohat Mayusi Phail Gayi. Alag Watan Ki Soch Paida Hona Shuru Ho Gai.
Mujib Kay 6 Nukaat , Fall Of Dhaka Ki Bunyad Thay?
Mujib Kay 6 Nukaat Shayed Mulk Ke Donon Bazuoun Ko Ikattha Rakhnay Ki Akhri Koshish Thi. In Main Say Beshtar Nukaat Awami Leagu Kay 1954 Kay Manshoor Kaa Bha Hissa Thay Jis Kay Tehat Wo 1954 Kay SUbai Intakhabaat Jeetay Thay. Ayub Khan Kay Martial Law Nay In Nukaat Main Fauji Aur Neem Fauji Dastoon Kay Nuktay Ka Izafa Kara Dia. Yeh Nukta Pak Fauj Say Ziada Martial Law Kay Khilaaf Tha. Ayub Ki Dictatorship Nay East Aur West Pakistan Kay Darmiyan 2000km Kay Fasaly Ko Hazaroo Kilometer Main Badal Dia.
1970 Kay Election Aur Fauji Operation
Ayub Khan Kay Baad Martial Law Nay General Yahya Ka Roop Dhaar Lia Tha. Bangalion Kay Liye Halaat Bud Say Budtar Ho Rahay Thay, Imtiazi Muashi Faisalon Nay Pakistan Ki Jarain Bohat Kamzoor Kar Di Theen.
1970 Kay Elections Kay Result Nay Aik Baar Phir Sabit Kar Diya Kay Awami League Mulk Ki Sab Say Bari Jamaat Hay. 300 Kay Aiwaan Main 160 Seats Kay Sath Sheikh Mujib Sada Aksariat Hasil Kar Chukay Thay. Zulfiqar Ali Bhutto West Pakistan Main 81 Seats Jeetnay Main Kamyaab Huvey. General Yahya Nay In Nataij Ko “Alag Watan” Ka Referendum Samajh Kar Siyasi Hal Ki Kaghazi Si Koshish Ki Jis Main Maghribi Pakistan Ki Siyasi Quwat PPP Nay Bhi Apna Kirdar Ada Kia.
Election Kay Nataij Ko Tasleem Kar Kay Assembly Ka Ijlaas Bula Kar Iqtadar Mujib Ku Dainay Ke Bajaye General Yahya Nay Bangladesh Main Fauji Operation “Operation Search Light” Shuru Kar Dia Jo Yahya Khan Ki Bohat Bari Siyasi Nakaami Tha. Aur Shayed Pakistan Ki Bhi. Fauji Operation Kay Jawab Main Bungali Ghussa "Mukti Bahini" Guerrilla Force Ki Shakal Ikhtiyar Kar Gaya Aur Bharat Ki Madad Say Awami League Nay 16 december 1971 Ko General Niazi Ko Hathyaar Dalnay Par Majboor Kar Diya.
Aur Aik Siyasi Nakaami Fauji Nakaami Bani Aur Fall Of Dhaka ho Gaya.
Maulana Bhashani, Hussain Shaheed Suhrawardy Aur Mujib Jis Subai Khud Mukhtari Kay Liye Lartay Lartay Alag Ho Gaye. West Pakistan Main Yeh Azadi Bangladesh Banany Kay 39 Barsoon Baad 8th April 2010 Ko 18th Amendment Ki Shakal Main Mili. Is Siyasi Aur Fauji Nakami Ka Sabaq Hum Nay 39 Barsoon Baad Seekha Wob Bhe Na Mukammal Sa…