Twitter Monetization Ke Mutaliq Aksar Logon Ke Zehn Main Sawal Paida Hotay Hain. Kya Twitter Se Dollar Kamana Mumkin Hai? Kya Twitter Par YouTube Ki Tarha Views Per Paisay Mil Saktay Hain Hai?

In Ka Saada Sa Jawab Kuch Din Pehlay Tak To Yeh Tha Ke Aisa Mumkin Nahi Hai. Jis Tarhan Log YouTube Par Apne Content Se Paisay Kamate Hain. Twitter Par Aisa Nahi Hota. Twitter Par Kisi Brand Ki Promotion Ya Followers Ki Janib Se Di Jane Wali Tips Ya Super Followers Ki Fees Ke Zariye Kamaai Mumkin Thi. Lekin Ab Khushi Ki Khabar Yeh Hai Ke Twitter Par Bhi Sab Ke Liye Monetization Shuru Honay Wali Hai.

Elon Musk Ki Twitter Monetization Ki Khushkhabri

Duniya Ke Sab Se Daulatmand Shakhs Elon Musk Twitter Par Logon Ko Daulat Kamanay Ka Mauqa Dena Chahtay Hain. Un Ka Daawa Hai Ke Twitter Content Creators Ko YouTube Se Bhi Ziyada Compensation Day Ga.
Elon Musk Ne Chand Din Pehlay Twitter Par Aik Graph Share Kya Tha Jis Mein Monetizable Daily Active Users Ke Numbers Diye Gaye Thay. Musk Ne Likha Ke Twitter Par Last Wake 16 Laakh Daily Active User Barhay Hain Jo All Time High Hai.

Is Tweet Par MrBeast Ne Reaction Diya. MrBeast Ke YouTube Par Sab Se Ziyada Follower Hain. Unhon Ne Likha Ke ‘Mein Soch Raha Hon Ke YouTube Par Kitney Daily Active User Hon Ge’

Is Ke Jawab Mein Elon Musk Ne Likha Ke ‘Dekhte Hain Jab Twitter Achi Video Par YouTube Se Ziyada Compensation Day Ga Phir Kya Hoga...’


Yani Elon Musk Ne Batadiya Ke Twitter Bhi YouTube Ki Tarha Monetization Shuru Karne Ja Raha Hai. Jahan Content Create Karne Walay Apne Account Ko Monetize Kar Saken Ge Aur Un Ki Videos Ke Views Ke Mutabiq Unhein Compensation Miley Ga. Is Ke Sath Sath Musk Ne Yeh Achi Khabar Bhi Sunai Ke Text Content Ki Monetization Bhi Hosakay Gi. Aik User Ne Sawal Kya Tha Ke Kya Sirf Vide Creatrors Ka Content Monetize Hoga. Is Par Musk Ne Jawab Diya Ke ‘Likha Hua Content Bhi’

Twitter Monetization
Twitter Se Bhi Dollar Kamao..! 1

Twitter Par Text Monetization Shuru Hui Tou Yeh Bhi Aik Inqalabi Qadam Hoga. Kyunkay Likhay Hue Content Par Monetization Bohat Hi Kam Platforms Par Hai. Is Ke Ilawa Yeh Bhi Kaha Ja Raha Hai Ke Twitter Par Ab Lambi Post Karna Mumkin Hoga. Ab Tak Aik Tweet Mein 280 Lafzon Ki Pabandi Hai. Aap Ko Taweel Baat Likhni Ho To Thread Banana Parta Hai.

Elon Musk Ne Yeh To Nahi Bataya Ke Twitter Par Video Aur Text Monetization Kab Shuru Hogi. Nah Unhon Ne Yeh Bataya Ke Yeh Compensation Ad Revenue Mein Share Ke Zariye Miley Gi Ya User Apne Account Par Paywall Laga Kar Paisay Kama Saken Ge. Tech Mahireen Ka Kehna Hai Ke Agar Twitter YouTube Ko Takkar Dena Chahta Hai To Usay Paywall Ke Bajaye Ad Revenue Se Share Dainay Ke System Par Amal Karna Hoga.

Twitter Mein Kya Kya Badal Chuka Hay?

Elon Musk Ki Janib Se Twitter Ka Control Sambhalay Ke Baad Se Idaray Mein Kayi Tabdeeliyan Aa Chuki Hain. Musk Ne Aadhi Se Ziyada Work Force Ko Naukari Se Nikaal Diya Hay. Twitter Par Blue Tick Ke Liye 8 Dollar Fees Program Shuru Kya. Lekin Kuch Problems Samnay Anay Ke Baad Is Par Amal Rok Diya Gaya. Chand Din Pehlay Elon Musk Ne Bataya Tha Ke Ab Twitter Par 3 Tarha Ke Verified Account Hon Ge. Gold Tick Companiyon Ke Liye Hoga. Grey Tick Hukoomati Idaron Ke Liye Aur Blue Tick Individual Account Ke Liye. Musk Ke Mutabiq Is Par Amal Daraamad Jummay Kay Roz 2 December Se Hoga.

Is Waqt Twitter Par 4 Lakh Say Zyada Blue Ticks Hein, Jo Mukhtalif Celebrities, Politicians, Journalists, Government Departments Aur Bari Corporations Kay Hain. Laikin Musk Ka Kehna Hay Ke Ab Blue Tick Sab Kay Liay Hay, Chahay Wo Celebrity Ho Ya Na Ho.

Last Quarterly Results Kay Mutabiq Twitter Kay Daily Approx. 238 Million Users Hain. Laikin Musk Ki Janib Say Khareeday Janay Kay Baad Ye Ta’daad 250 Million Users Kay Sath All-Time High Ho Gai Hay.

شیئر

جواب لکھیں